Mera chahat ka Pegaam

by deepika_divya on May 09, 2007, 06:03:13 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2194 times)
deepika_divya
Guest
Dil rondh  kar jane wala mera yaar
Raah mea mujhe khada mil gaya

Betab tha who bhi mere liye
Buli bisri yaado phir taza kar gaya

Khushi k mare mene hosh gava diye
Woh mujhse baat karne ko lalcha sa gaya

Har kata kabuli dono ne
Par ab who kisi aur ka ho gaya

Mangha tha kudha se uska saath
woh mere begair bitaye har gum ka pegaam suna gaya

Aaj bhi who mujhe betah chahta hai
Mujhe sangh apni Zindagi bitana chahta hai

Par ab yea mumkin nahi
Ab who kisi aur k sapno ka saudagar ho gaya

Chalo aaj who khush tho hai
Mujhe uska pyar na sahi Dosti ka hakk tho mil gaya

Divya tho hamesha se Sanam ki hi diwani thi
Aur woh agle janam mea sath nibane ka sapna dikha gaya

Yea Duniya kitni jalim hai
Is zalim duniya ke maasende humari pyar ki kasti dubo gaya

Kitne kush the hum, sirf ak dujhe ka khumar tha
Par ab sab kuch ak umeed ban dono ki ankho mea sama gaya

Kya kahu tumse ab , kuch baki hi nahi hai
Bas khudha ka Ashish aur Dosto ka sath Reh gaya…..


~*~Divya~*~
Logged
Krish_sweetypie
Guest
«Reply #1 on: May 11, 2007, 04:14:25 AM »
Dipi its really beauti full.. amazing.. keep writing...

Meri chaht ka pegam
sunaya meri sakhiyon ne.
dil ak pal k liye dhakna bhul gaya
jab sanm ne chupke ishaar kiya ankhiyon se

kya keh kesa khumar chaya tab is dil mea
haath tham sat chalen ka vada nibaya sanam ne

lobo par muskarat thi, ankho mea saram
jab mujhe apni bahon mea liye sajan ne


Love
Krish
Logged
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #2 on: May 11, 2007, 09:17:10 PM »
Very expressive Deepika_divya !
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #3 on: May 14, 2007, 06:25:51 AM »
Thank u so much , KRISH ..
Good one by U

Thank U so much RICKY JI. thank u
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #4 on: May 15, 2007, 03:56:34 AM »
Quote from: "deepika_divya"
Dil rondh  kar jane wala mera yaar
Raah mea mujhe khada mil gaya

Betab tha who bhi mere liye
Buli bisri yaado phir taza kar gaya

Khushi k mare mene hosh gava diye
Woh mujhse baat karne ko lalcha sa gaya

Har kata kabuli dono ne
Par ab who kisi aur ka ho gaya

Mangha tha kudha se uska saath
woh mere begair bitaye har gum ka pegaam suna gaya

Aaj bhi who mujhe betah chahta hai
Mujhe sangh apni Zindagi bitana chahta hai

Par ab yea mumkin nahi
Ab who kisi aur k sapno ka saudagar ho gaya

Chalo aaj who khush tho hai
Mujhe uska pyar na sahi Dosti ka hakk tho mil gaya

Divya tho hamesha se Sanam ki hi diwani thi
Aur woh agle janam mea sath nibane ka sapna dikha gaya

Yea Duniya kitni jalim hai
Is zalim duniya ke maasende humari pyar ki kasti dubo gaya

Kitne kush the hum, sirf ak dujhe ka khumar tha
Par ab sab kuch ak umeed ban dono ki ankho mea sama gaya

Kya kahu tumse ab , kuch baki hi nahi hai
Bas khudha ka Ashish aur Dosto ka sath Reh gaya…..


~*~Divya~*~


chod kar jane wale kaya milte hai kisee ko yaro
khushkismatee hai aapkee jo mil gyaa bichadne ke bad koi
ham bhee khade the intjar me, rah par wo intjar karte mil gaye yaro

netra.....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #5 on: May 15, 2007, 11:52:36 AM »
bahoot khoob netrapal ji

Milte nahi hai raah mea bichne wale kabhi
Isse do Kismat ka dokha kehte hai.

raah mea milne wale hi aksar
Mazil apni badal jaate hai

tarasa jate hai phir Milne ki umeedo ko
saath hote hue bhi tanha chod jaate hai
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #6 on: May 15, 2007, 12:19:22 PM »
Quote from: "deepika_divya"
bahoot khoob netrapal ji

Milte nahi hai raah mea bichne wale kabhi
Isse do Kismat ka dokha kehte hai.

raah mea milne wale hi aksar
Mazil apni badal jaate hai

tarasa jate hai phir Milne ki umeedo ko
saath hote hue bhi tanha chod jaate hai


theek kaha aapne divy jee par....

umeed kee dor pakad kar chala hoo rah me
paon ko nap kar rakhta hoo dagar par kante bhoot hai
chahtaa hoo ek saathee agar mil jaye rah me

dhokho me pale hai chot bhoot kayee hai dil par
aansoo bhee bah kar sookh gaye mere e musafir
aaj bhee hai chah, koi sathee mil jaye rah me  e musafir.

netra....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #7 on: May 16, 2007, 03:48:48 AM »
bhoot khoob Netrapal Ji

Aksar wakt k saath saath,
koi aur apna sa lagne lagta hai

par pehla pyar aur Uska Ehsaas
na katam hota hai, na mittha hai

aksar uski yaad bahoot tadpati hai
Yea tanhai , yea Judai badi tadpati hai

Dosti tho apnai hai uski maine
par Is DIL mea abhi wahi chah baki hai
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #8 on: May 16, 2007, 04:05:10 AM »
Quote from: "deepika_divya"
bhoot khoob Netrapal Ji

Aksar wakt k saath saath,
koi aur apna sa lagne lagta hai

par pehla pyar aur Uska Ehsaas
na katam hota hai, na mittha hai

aksar uski yaad bahoot tadpati hai
Yea tanhai , yea Judai badi tadpati hai

Dosti tho apnai hai uski maine
par Is DIL mea abhi wahi chah baki hai


bhoot achaa kaha aapne bhee,

tum gam ke saye me ho hame bhee game ishak hai musafir
tum bhee basaye baithe ho tasveer ek,  dile naadaan me
hamne bhee kee thee khata hamsafar banane ki kisi koo
ujada gaya hai ashiana hamara basane se pahale hee ai musafir
Logged
angel4u
Guest
«Reply #9 on: May 16, 2007, 05:18:11 PM »
all have written very very very good...
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #10 on: May 17, 2007, 04:06:31 AM »
Bahut khoob Netrapal Ji.... & thank U Anjel

Dil ke kone mea chupa rakha hai uska pyar
Jo kabhi na katam hone mea dungi

aa jaye kitni bhi tufaan ya muskile
har rrah mea Hudum bankar uska saath dungi

chahti hum mea usse, Zamane ki parwa nahi hai
khushiyan de usse , apne jholi kantese bar dungi
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #11 on: May 17, 2007, 04:33:58 AM »
Quote from: "deepika_divya"
Bahut khoob Netrapal Ji.... & thank U Anjel

Dil ke kone mea chupa rakha hai uska pyar
Jo kabhi na katam hone mea dungi

aa jaye kitni bhi tufaan ya muskile
har rrah mea Hudum bankar uska saath dungi

chahti hum mea usse, Zamane ki parwa nahi hai
khushiyan de usse , apne jholi kantese bar dungi





parvah nhai hoti jamane ko ishak me aye musafir
ishak  to pooja hai, n mano to ek nasha bee hai ishak
tasveer basaalee dil me, nikale se bhee nailtee nahi musafir

khushnaseeb hote hai wo, milte hamsafar aap jaise jinhe
badnaseebi dekho hamaree, kis tarah chale gaye chod kar hame
fool bichaye the rah me hamne jinke, kante chod gaye..aye musafir


netra....
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: May 17, 2007, 05:30:07 AM »
Dard har Dil  hota hai
koi pyar mea hasta koi rohta hai

Pyar ak baar jarur tadpata hai
saath chalte chalte , beech raaah mea chod jata hai

kya kare mohabbaht cheez hi hai aisi
Khuda Har chahne wale pariksha as baar tho jarur letahai

Kehte hai na jo hoga  ache k liye hoga
aur jo hua ache k liye hi hota hai
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #13 on: May 17, 2007, 08:38:58 AM »
Quote from: "deepika_divya"
Dard har Dil  hota hai
koi pyar mea hasta koi rohta hai

Pyar ak baar jarur tadpata hai
saath chalte chalte , beech raaah mea chod jata hai

kya kare mohabbaht cheez hi hai aisi
Khuda Har chahne wale pariksha as baar tho jarur letahai

Kehte hai na jo hoga  ache k liye hoga
aur jo hua ache k liye hi hota hai


dil toota hai rote to sabhi hai aye malik ishak me
tere dar par khada do ash mere bhee baha de e mailk
dil toota hai mera ansoo tak nahi dikh skta hoo hamsafar ko
aawaaj dil tootne kee bhee ansuni kare chale kaye wo e malik

netra....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #14 on: May 18, 2007, 04:51:59 PM »
wah wah wah!! bahoot khoob Netra ji and Divya!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:33:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer