Mera Dil TooT Gaya........

by Ghulam Haider on July 07, 2010, 03:59:54 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 13889 times)
Ghulam Haider
Guest
 sad10 Aisa Lagat Hai Saath ChhooT Gayaa.
 sad10 Hoke Bas Dil Udaas TooT Gayaa...

DostoN ye Dard Bhari Meri Aakhiri Ghazal Hai.
Mujhe Lagta Hai Ke MaiN Aap ki is MaHfil Ke Laaiq NahiN....
Na Jane KyoN Aaj Mera Dil Bhar Aaya Hai Aur Ye Ghazal Shikaayat Ban Gayi.

Baat koi nahiN suntaa, mera dil TooT gaya.
Raaz kya hai nahiN khulta, mera dil TooT gaya.

MaiN guzartaa hoN jidhar se bhi, udaasi hai udhar,
Koi mujh se nahiN milta, mera dil TooT gaya.

KyoN samajhte haiN yahaN mujh ko begana sab dost,
Kaash aisaa nahiN hota, mera dil TooT gaya.

Haosla, jhoot hi, koi to baRhaataa meraa,
Ye bhi koi nahiN karta, mera dil TooT gaya.

Aisa lagta hai ke ghairoN meN khaRa hoN tanha,
Koi apna nahiN lagta, mera dil TooT gaya.

Gar buraie hai koi mujh meN, bura khoob kaho,
Koi ye bhi nahiN kehta, mera dil TooT gaya.

Be-rukhi mujh se hi kyoN karte haiN aksar sab log?
Bas ye gham dil nahiN sehta, mera dil TooT gaya.

ChhoR kar bazm ye haider maiN chala jaoNga,
Ab yahaN dil nahiN lagta, mera dil TooT gaya.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
pyarr toot gaya!!! by nice_off_me in Shayri-E-Dard
Rishta bhi toot gaya by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 8 9 »
Toot Gaya... by angel4u in Shayri-E-Dard
Woh aaina ab toot gaya hai... by -Kashish- in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Dil Hi Toot Gaya by Surindernarang in Shayeri for Dard -e- Bewafai
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #1 on: July 07, 2010, 07:16:47 AM »
Haidar ji,

Aap bahut achcha likhte hain. Bahut hi khoob likhte hain. Hota hai kabhi kabhi ki hamara likha huwa log waqt pe nahi padh paate. Ya kabhi kabhi koi koi rachna andekhi reh jaati hai. Iska matlab ye nahi ki log kabhi nahi padhenge. Yahaan abhi aapke likhe huye posts sirf kuch hi hain. Abhi log aapko jaante nahi hain. Ye sambhaw nahi hai ki aapki har likhi hui rachna har koi padhe. Ho sakta hai aapke kisi poem pe log 10-12 ya usse jyada comment likhe ya ho sakta hai ki kisi poem pe ek bhi comment na aaye. Iska matlab ye nahi ki koi bhi aapki poem padh nahi raha. Kitne log aapki poem padh rahe hain uska count poem ke upar aa hi jata hai. bahut log aise hote hain jo poem padh k chale jate hain par comment nahi karte. Unke paas ya to waqt kam hota hai ya wo comment likhna nahi chahte. Par unme se kuch aise honge jo aapki poem se bahut impressed rehte hain aur laut laut ke apka likha hua padhte hain. Isliye meri aapse request hai ki aap mood kharab na karein aur upset na ho. Aapki poems yahin pe hain. Aur padhne waale mahino , saalon baad bhi comments likhte hain. Mere saath bhi kai baar aisa hota hai ki kabhi kabhi koi poem ek baar padh k pasand nahi aata. Main kabhi ghumte firte 2-3 mahine bad agar us poem ko dubara padh leta hoon to bahut achchi lagti hai. Tab main uspe comment karta hoon. Isliye aapse request karunga ki aap comments ke liye na sochen. Ye sochiye ki log kamsekam padh to rahe hain aapka likha hua.

Aapki ye dard bhari kavita bahut khoob hai. Bahut achcha likha hai aapne. Maine aapka specially for Yoindia waala poem " Yoindia hamaare diloN ki pukaar hai.(Special Nazm) " bhi padha hai. Mujhe achchi lagi par bas yunhi maine comment nahi likha. Kai baar aisa bhi hoga ki log aapke likhe huye ki burai bhi karenge. Par in sab ko ignore karna chahiye. Agar koi aapko kuch achchi salaah deta hai to usko bhi khushi khushi accept karna chahiye. Isliye yahi kahunga aapse ki in chhoti chhoti baato ke liye apna dil na tode. Likhte rahiye. Aapke chahne waale isko padh to rahe hain kamse kam.

Khush rahiye. Likhte rahiye. Bahut bahut khoob likhte hain aap. Ummeed hain main jo samjhana chah raha hoon aapko samajh me aa gaya hoga.

Dhanyawaad,
Ek dost

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #2 on: July 07, 2010, 07:22:35 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bahut khoob likha hai aapne Haider ji... dard bhari aapki ye kavita humein bahut pasand aayi...!!!
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #3 on: July 07, 2010, 02:42:32 PM »
Are Bhai ShayeroN ki baat hi kuchh aur hoti hai. Aap bhi pareeshaan ho gaye.
is ghazal ke a'laava aap ne meri Yoindia ke naam likhi hui nazm bhi to paRhi hai. Bhala kaise mumkin hai ke itni achchhi web ko koi chhoR de?Huh??
Kya aap ko sachmuch laga ke mera dil TooT gaya?Huh?Huh?Huh?
Ye ghazal to maiN ne bas dostoN ko iHsaas dilaane ke liye kahi hai.
MaiN ye nahiN kehta ke har koi har aik ki poetry ya prose kozuroor paRhe aur comment bhi kare, Lekin mere dost likhne wala kitni mehnat kar ke likhta hai, use kam se kam ye to pata chalna chahiye ki us ne jo likha hai us meN koi kharaabi ya kami to nahiN hai !!!!!!!!
MaiN ye bhi nahiN kehta ke har likhe huye ko achcha kehna chahiye, lekin likhne wala kaise apni ghalati door karega agar comment na ho to.
Khair, ye bhi koi baat nahiN hai, hameN to apne kaam se kaam rakhna chahiye. aap ki saari baateN mujhe achhi lagiN. Bohot 2 dhannyevaad aap ka.
      Haider
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: July 07, 2010, 06:42:14 PM »
U r welcome Haider ji...!!!
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #5 on: July 07, 2010, 11:54:59 PM »
U r welcome Haider ji...!!!
is pazeeraayi ke liye shukriya janab!

DiloN meN nafrateN bharna hamaara kaam nahiN.
DiloN meN pyaar baRhana hamaari a'adat hai.
Logged
riyaz106
Guest
«Reply #6 on: July 13, 2010, 07:35:31 AM »
Bahot khoob Haider Sahab, bahut dard bhari ghazal hai aapki. Takheer se nazar padi, mazrat khwah hun. Dheron daad hazir hain.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:12:17 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer