Mera dushman mera bhai mar gya..........soudagar

by soudagar on July 31, 2012, 08:02:13 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4978 times)
soudagar
Guest
Ek bahut hi ajeeb qalaam likh rha hun jo mujhse juda hai....... Haan shayd is ajeebogareeb qalaam ko samjhne mein thodi pareshani ho aapko...........






Bda dukh hua yeh jaankar mera dushman mera bhai mar gaya
apna nahi tha wo phir bhi na jane kaise dil mein ghar karr gaya

jab bhi vaar karta tha wo mere jism par vaar karta thaa
na jane kaise is baar wo apno ki tarah dil par chot kar gaya

use dekh yahi sochta tha main kash aise dusman mere apne hote
aastin mein nahi raha wo khule hi dusmani ka iqrar tha kar gaya

apne to roz ho mujhe chhup chhup kar ek nayi mout marte hain
ek wo hee to tha jo mujhe sare aam marne ki lalkar kar gayya

nahi hoti thi aankhtab bhi nam jab apne zakhm par namak chhidkate the
naa jaane kaise dusman ke chhod chale jane gam meri aankh nam kar gaya

Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #1 on: July 31, 2012, 08:13:45 AM »
Ek bahut hi ajeeb qalaam likh rha hun jo mujhse juda hai....... Haan shayd is ajeebogareeb qalaam ko samjhne mein thodi pareshani ho aapko...........






Bda dukh hua yeh jaankar mera dushman mera bhai mar gaya
apna nahi tha wo phir bhi na jane kaise dil mein ghar karr gaya

jab bhi vaar karta tha wo mere jism par vaar karta thaa
na jane kaise is baar wo apno ki tarah dil par chot kar gaya

use dekh yahi sochta tha main kash aise dusman mere apne hote
aastin mein nahi raha wo khule hi dusmani ka iqrar tha kar gaya

apne to roz ho mujhe chhup chhup kar ek nayi mout marte hain
ek wo hee to tha jo mujhe sare aam marne ki lalkar kar gayya

nahi hoti thi aankhtab bhi nam jab apne zakhm par namak chhidkate the
naa jaane kaise dusman ke chhod chale jane gam meri aankh nam kar gaya



chupa hua dushman khule hue dushman se zada khatrnaak hota hai.main buss itna hii samajh payaa aap ke kalaam se
Logged
Aarish
Guest
«Reply #2 on: July 31, 2012, 08:56:36 AM »
Bohut khoob saudagar jee, isi baat par ek shair yaad aa raha hai,


Faqat ye badhta hua dast E dosti hi nahiN,

HameN qubool hai wo bhi jo aastin meN hai....    N/M
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #3 on: July 31, 2012, 08:58:50 AM »
Wow,
bahoot alag see kalam hai ye.
Bilkul alag Theme.
Teen chaar baar es kalaam ko padaa tab jaakar kuch samajh aayaa.
Khair apne kalaamo se Yoindia Shayariadab ko gulzaar karte rahe.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #4 on: July 31, 2012, 10:07:59 AM »
bahut samvedansheel
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: July 31, 2012, 10:26:40 AM »
Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob Soudagar ji...!!! Bahut khoob likha hai aapne...!!!
Logged
mkv
Guest
«Reply #6 on: July 31, 2012, 04:07:55 PM »
heart touching Saudagar jee
Logged
soudagar
Guest
«Reply #7 on: July 31, 2012, 04:30:20 PM »
bahut sahi pehchana K_A aawaj ji........ bas ek baat aur khule dushman achha lagne lag jata hai jab humein pata ho ki apne humein kaise chhup chhup kar chot pahuncha rahe hai..
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #8 on: July 31, 2012, 04:30:49 PM »
 Applause
 Nice,soudagar ji.
Logged
roy
Guest
«Reply #9 on: July 31, 2012, 05:13:51 PM »
wwaaaahhh aapka khayab bohot he khob tha saudagar bhai

behad khoob likha apne Applause Applause Applause

mai apke us dushman bhai ki or se kehna chahunga
 
ye to is maut ne mujhe masroof kar dia

varna hum to unmai se hain
jo apne duhmano ko bhi akela hone nahi  dete
Logged
soudagar
Guest
«Reply #10 on: August 02, 2012, 03:00:48 AM »
bahut b ahut shukriya arish ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #11 on: August 03, 2012, 01:48:38 AM »
bahut bahut shukriya msoom sehzda ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #12 on: August 06, 2012, 05:26:01 PM »
bahut bahut shukriya saini sir
Logged
soudagar
Guest
«Reply #13 on: August 10, 2012, 03:22:11 AM »
bahut bahut shukriya hriday ji
Logged
soudagar
Guest
«Reply #14 on: August 11, 2012, 05:06:45 PM »
bahut bahut shukriya mkv ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 03:47:08 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer