Mera Gham

by Nino on January 31, 2008, 06:14:18 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1471 times)
Nino
Guest
hum se damen chudaa ker chal diya
ghum se muhj ko mukammal ker chal diya
dhoke to kayi baar khaye hain maine
mager apni bewafai se gayel ker chal diya

kehta tha jo khud ko sahara meri zindagi
aaj wo haathoon se mera haath chuda ker chal diya
najane kis gunah ki mili hai sazza aaj muhjko
ki khuli hain aankhein meri aur wo qafaan pehna ke chal diya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mera Gham by Nino in Shayri-E-Dard
mera gham tho yeh hai? by aryan_mantri in Shayri-E-Dard
Unhen Raahatein Mubarak Mera Gham mughe Gawara by Qutubuddin in Shayri-E-Dard
**Byaah Hua Hai Dard Se Mera Aur Gham Se Meri Hui Sagaii** by *~*Pakeezah Aanchal*~* in Shayri-E-Dard
mera gham by mk.johri in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Nino
Guest
«Reply #1 on: January 31, 2008, 06:19:41 PM »
kuch gila tum karoo kuch shiqayet hum
koi baat tum chedoo kuch kisa hum
yuhin kat jaye ye zindagi sochte the hum
najane kis mukaam pe aaker ruk jaye dhadkan

char din to hai mere paas ab is mein na jodo koi gham
kabhi to muskarker dekhti ik nazer is taraf
to shayed pehchain sakti tum bhi mere sare gham
tum to kab ki ja chuki ho zindagi to phir kiyu hai meri ankhe nam
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #2 on: February 01, 2008, 08:47:05 AM »
log kehte hain ki jhoot ke paon nahin hoate

main heiraan hun aajtak

insaan ko chalta dekhkar
Logged
mehhekkk
Guest
«Reply #3 on: February 03, 2008, 07:58:17 AM »
bahut khub

duniya ka dastur hi hai yahi
jise apno mano wo gum ki tokari thama deta hai
jara kabhi gair ko apna banakar dekho
khushiyon ki saugat lekar aate hai.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #4 on: February 04, 2008, 06:39:03 AM »
Bohat acha likha hai Nino and all friends Usual Smile
Logged
zakhmola
Guest
«Reply #5 on: February 04, 2008, 07:27:56 AM »
wohh jo nigahon se peekar haathon tak ke jaam ko bhool gaye
magar fir bhi khud ko sharabi batate hain
na pila sharab saaki aisey deewano ko
jo maang te toh sharab magar mar shabab pe jaate hain.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #6 on: February 04, 2008, 08:53:15 AM »
very nice zakhmola..

Aab kisi se koi gila nahi hai..
joh aap na mile uska gila nahi hai..
Zindagi mein khaye hai dard-e-gam.. 
Iss mehfil mein hogaye akele hum..
Iss ka shikwa-e-dil kisi na kahe hum..
Logged
Nino
Guest
«Reply #7 on: February 04, 2008, 03:04:20 PM »
Pasand karna ka aap sab ko shukria
Logged
Nino
Guest
«Reply #8 on: February 04, 2008, 03:06:51 PM »
Janta hoon mein ki meri aashiqi mein teri ruswai hai
manta hoon main ki teri her ik aada mein teri bewafaai hai
kio gila koi shiqwa nahi rakhta ab main tuhjse bewafaa
per itna yakeen hain muhjko ki mere her zakhm per ankh teri bar aayi hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: February 04, 2008, 03:45:17 PM »
Mera gam, khud hi hai khud ko diya hia
shikayat karu to karu kis ko, sab kuch hai mera kiya hua
sisak rahi hai tanhaai, dard kahin thumta nahi
bebasi ka alam, mout ke siwa ab kuch sujhata nahi
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:31:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer