Mera Jeevan

by Nino on October 16, 2004, 11:10:05 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1692 times)
Nino
Guest
Jane wale humari mehfil se chand taroon ko saath leta ja
Hum khizan se nibha kar lenge tu bahroon ko saath leta ja
Khizan ke daur mein haade bahr leta hoon
Koi bhi waqt ho main hans kar guzar leta hoon

Guloon se rang sitaroon se roshni lekar
Jamal e yaar ka naksha uttar leta hoon
Ye jo dewaane the do char nazar athe the
In mein kuch sahibe asrar nazar ate hai

Teri mehfil ka baram rakh ke soo jate hai
Warna ye log to bezaar nazer ate hai
Mere damen mein to kanto ke siwa kuch bhi nahi
Aap phoolo ke kharidar nazar ate hai

Hasher mein kaun gawahi meri dega sahil
Sab tumhre hi tarafdar nazar ate hai
Umer jalwoon mein basar hoo ye zarori to nahi
Har shabe gham ki seher ho ye zarori to nahi

Neend to dard ke bistar pe bhi aa sakti hai
Unki aaghosh mein saar ho ye zarori to nahi
Aag ko khel patongo ne samjh rakha hai
Sab ko anjaam ka daar ho ye zarori to nahi

Shaikh karta jo masjid mein khuda ko sajde
is ke sajdoon mein azer ho ye zarori to nahi
sab ki saki pe nazar ho ye zarori hai mager
sab pe saki ki nazar ho ye zarori to nahi

koi dil mein liye armaan chala jatta hai
koi koye hue ausaan chala jatta hai
husnewaloon se ye keh do ke na nikle baher
dikhne waloon ka imaan chala jatta  hai

                               
[/size]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jeevan by sonusonal in Shayri-E-Dard
~*~*Ye JeEvAn HaI~*~* by ghayal_shayar in Shairi - E - Zindagi
Welcome Jeevan by iAdmin in Tarruf Yoindia Sae : Give your Introduction
JEEVAN YE MERA........ by cara in Shairi - E - Zindagi
Jeevan Uska Jeevan Hai by Abul Asad in Shairi - E - Zindagi
Nino
Guest
«Reply #1 on: October 20, 2004, 07:09:26 PM »
Badelte hai haalat mager insaan nahi badelte
ye soochta raha mein umer bhar har roz
ek dali toot ke bhikhar gayi aur sunsan hogaya gulshan
ab to khizan bhi aa gaye to mere paas lutane ke liye kuch nahi
Logged
Nino
Guest
«Reply #2 on: October 20, 2004, 07:11:07 PM »
Main to nafaratoon ke sahere zinda raha har dum
pyaar aur mohobat ka to ehsaas bhi nahi mujhko
tumne jo dekh liya ek nazaar pyar se sirf
main to use hi khudai samaj baitha
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: October 20, 2004, 08:59:51 PM »
wah!!!!! bahot khoob Nino.....
Logged
akela
Guest
«Reply #4 on: October 20, 2004, 10:06:07 PM »
good one nino

jndagi dukh bhari hai,fir kya jina tho padega,
thodi khusia milenge ,tho thoda jahar bhi pina padega.
Logged
Nino
Guest
«Reply #5 on: October 21, 2004, 10:06:23 AM »
Thank u all
Logged
Nino
Guest
«Reply #6 on: October 29, 2004, 03:41:50 PM »
Maut ka intezaar kyu karoon main to yu bhi zinda nahi
us bahar ka intezzar kyu jis mein khizan ka aser nahi
tum shuak rakhte ho dil lagne ka us mein koi mazza nahi
ager maar ke bhi yaad na raha to meri wafaa mein wo adaa nahi
Logged
nishita
Guest
«Reply #7 on: October 29, 2004, 05:24:35 PM »
wah wah
Logged
Beena Jain
Guest
«Reply #8 on: October 30, 2004, 02:49:48 AM »
mera jeevan kora kaagaz nahin
ik adhhura sapna hei
khhuda nei poora na kiya tho
meiney maaf usey na karna hei *giggle*
Logged
Nino
Guest
«Reply #9 on: November 02, 2004, 06:45:26 PM »
Koi ehsass na ho aaisi to mohabat nahi, mere yaar ke dil mein meri awaaz naho aais to kudrat ki koi kismat nahi, dil to wo tood ke chal dete hai mager, unka khayal aane per meri aankhoo mein kaise hai nami
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: November 02, 2004, 06:55:37 PM »
wah nice!!!!!

Mera jeevan kora kaagaz kora hi reh gaya
Jo likha tha aansoon sang beh gaya
Ik hawa jhoonka aaya, Tuut dali se phool
Na pavan ki na chaman ki, Kiski hai ye bhool
Kho gayi kho gayi, Khushboo hawa mein kuch na reh gaya!!!! (nm)
Logged
Nino
Guest
«Reply #11 on: November 02, 2004, 07:02:43 PM »
Bahut khob pooja
Logged
Nino
Guest
«Reply #12 on: November 02, 2004, 07:04:13 PM »
Na likhta main to koi aur likhta
na bikta main to koi aur bikta
baser main to har koi kharidar hai
koi inse bhi puch le ki kis kis ka dil bimaar hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: November 02, 2004, 07:11:03 PM »
nice!!!
Logged
Nino
Guest
«Reply #14 on: November 02, 2004, 07:22:28 PM »
Thanx!!!!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:46:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer