Mera Kasoor,.

by Jaanasheen on December 11, 2009, 04:43:28 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 3113 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Kya Kahoon Doston, Ek Haar Hi Mere Naseeb Mein Mukarrar Hai, Khair Ho Sake To Duaa Karna Mere Liye,.

Na Mili Khushi Hume Ghamon Se Daaman Bharpoor Hai,.
Shayad Rab Ko "Doston, Hamaari Arzi Na Manzoor Hai,.

Sirf Dhoka Milaa Mujhe, Umeed Jis Se Bhi Baandhi Thi,.
Shayad Bharosa Tordne Ka Ab Zamaane Mein Dastoor Hai,.

The Kal Tak Jo Khwaab Suhaane, Sab Khwaab Aaj Toot Gaye,.
Haraakar Aaj Mujhe, Meri Kismat Ko Khudpe Guroor Hai,.

Mili Nahi Jise Khushi Kabhi, Us Ka Bhalaa Kaun Chaahe,.
Main Muskuraa Baitha Har Haal Mein, Yahi Mera Kasoor Hai,.

Laut Aayi Fariyaad Meri, Shayad Rab Bhi Mujhse Naraaz Hai,.
Har Lamha, Bas Yahi Bataaye, Waqt Ke Aage Insaan Majboor Hai,.

Kaash Tu Bhi Rasam Zamaane Ki Samajh Paata "Azeem,.
Tu Barbaad Hua Apne Haaton Se, Ye Tera Hi Kasoor Hai,.

-Azeem-





Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kasoor na unka hai na mera. by Delicate_Doll in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
mera ki kasoor ??? by majid in Love Poetry in Punjabi
mujko mera kasoor by saahill in Shayri-E-Dard
Kasoor mera Batla Jana by shannlove in Shayri for Khumar -e- Ishq
yeh mera kasoor nahi by saahill in Miscellaneous Shayri
samir_bc
Guest
«Reply #1 on: December 11, 2009, 04:54:56 AM »
bahot hi badiya azeem bhai........... aapko jald hi uljhano se jeet mile. yehi dua karenge/
Logged
Sammual
Guest
«Reply #2 on: December 11, 2009, 07:31:19 AM »
Bahut Khoob Azeem Ji.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #3 on: December 11, 2009, 08:47:18 AM »
Bahut khoob Chote Bhai
Logged
rkswatian
Guest
«Reply #4 on: December 11, 2009, 08:53:38 AM »
very nice bro
lagey rahoo
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: December 11, 2009, 09:45:35 AM »
Azeem bhai dil chota mat kar ,sab teek ho jayega,aapke liye duaa karti hai aapke bahen,really touched ,great creation.God bless you. love4 love9 Thumbs UP Applause Applause Applause Applause
Logged
diya786
Guest
«Reply #6 on: December 11, 2009, 10:12:15 AM »
Mashallah apne dard ko lafzon ka sahara de kar
ba-khoobi pesh kiya hai aapne Azeem
mere paas alfaaz hi nahin hain aapki is nazm ke liye
maafi chahti hoon
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: December 11, 2009, 10:34:17 AM »
bahot hi badiya azeem bhai........... aapko jald hi uljhano se jeet mile. yehi dua karenge/

Shukriya Sameer Ji,.

Aameen,.


Bahut Khoob Azeem Ji.

Shukriya Samual Ji,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #8 on: December 11, 2009, 11:09:08 AM »
Bahut khoob Chote Bhai

Shukriya Rajesh Bhai,.

very nice bro
lagey rahoo

Shukriya rehan Bhai,.

bas Duaa Karein,.
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #9 on: December 11, 2009, 07:08:38 PM »
Ya rabbul alameen, ye kaisa jaahaan hai?
Kasuwaar nikal jaye, aur masoom ko saza hai?

Innka kya kasoor hai? inn ki taqleef me...
teri kaisi raza hai?

ek zakhm pe marham lagti nai, k dusra kahdra hota hai,
ub tak hai nishaan zakhmon k, lahoo ye kal ka hai.

inn ka kya kasoor, jissne aaj tak dil na duhkaya ho?
phir q tu aaj inse itna khafa hai?

khatm karde ub tu ranj-o-aafat ki barsaat ae rab,
meri tuhse duwa, ub yehi iltijaa hai


Sub duwa karaen, plz

Jaan, I am always with you. I Love You
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #10 on: December 11, 2009, 07:38:14 PM »
KYAA BAAT HAI AZEEM BHAI MASHA ALLAH BAHUT KHOOB Applause Applause Applause Applause
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #11 on: December 13, 2009, 05:32:05 AM »
Azeem Mere Bhai... Kya Khoooooob Likha Hai Yaaaar.. Har ek Lafz apni Kahaani Kahata sa Nazar aa raha hai.. Jazzbaaton Ko Lafzon Me Bakhoobi Bayan kiya hai Dost.. Bahut Khoooooooob.. Applause Applause


Sidraah Sis.. tumne Bhi Bahut Hi Accha likha Hai.. Applause



**~** Mann **~**
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #12 on: December 14, 2009, 06:39:56 AM »
Bahoot Bahoot Khoob Likha hai Azeem , well replied Sidra...
Logged
anjaan dharkan
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
10 days, 13 hours and 44 minutes.
-May Allah Bless You-

Posts: 1900
Member Since: Jul 2008


View Profile
«Reply #13 on: December 14, 2009, 12:50:00 PM »
thx sophi
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #14 on: December 14, 2009, 01:34:36 PM »
Bahut Hi sundar LIkha Hai Azeem bhai aapne and good response Sidrah Sis.
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 07:30:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer