... Mera Naam Nahi ...

by Just_Hate_Love on July 16, 2006, 05:34:04 PM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 3676 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #30 on: August 23, 2006, 07:30:54 AM »
Quote from: "Just_Hate_Love"
Barbadiyo ki fikr karna tu chhod de aaj se,
Jo tumhe barbaad kar gaye wo tere apne na the,
Ab apne aapko aabaad karne ka bhi soch na sakte the,
Zinda the par aankhon mein meri sapne na the ...


Gham Kise Hai Yahan Barbaad Hone Ka,..
Jee Kar Bhi Yahan Koun Abaad Raha Hai,..
Hum To Mit Gaye Mohabbat ke Naam Par "Jaanasheen",.
Shayad Isliye Afsaana Mera sabko Yaad Raha hai,..

__________________________________-Jaanasheen-
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
usne mera naam by tushar_4u_im in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Mera Naam Hai Muhabbat.. by ImaN_ in Shayri for Khumar -e- Ishq
naam gum gaya mera by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
MERA NAAM TO NAHI by majid in Shayri-E-Dard
teraa nahi, tu mera bhe nahi khuda jaanaan! (NM) by vb in Miscellaneous Shayri
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #31 on: August 26, 2006, 05:47:41 PM »
Bahut khoob Janasheen ...


Aajkal nahi laate uske badan ki khushbu aur uske kadmo ki dhool,
Hawa ke jhonke jo roz mere ghar se hoke guzarte the,
Gum nahi un dooriyo ka jo darmiyaan thi hamare bich,
Kyunki mohabbat to hum teri dooriyo se bhi karte the ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: August 27, 2006, 07:02:18 AM »
bahoot khoob JHL JI, BS JI AND JaanSheen.....
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #33 on: August 27, 2006, 01:01:33 PM »
Shukriya JHL Bhai And Pooja Didi,..

Dard Bhi Bardhne Laga Hai Dil Mein Mere,..
Jab Unhone Muskuraate Hue Haal Poocha Mujhse,..

_________________________________-Jaanasheen-
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #34 on: August 28, 2006, 05:04:29 PM »
Haal-e-dil bayaan jab kiya humne usse,
Tab uski aankhon ne jhuk ke salaam kiya hame ...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: September 01, 2006, 07:55:10 AM »
good one lil bro and JHL JI

HAAL-E-DIL SUN KAR, UNSE KAHA NA GAYA
WAQAT RAHTE KAYUN TUJSE, YAH KAHA NA GAYA
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #36 on: September 04, 2006, 03:26:39 PM »
Hamari zindagi mein waqt hi waqt hi waqt ka gulam raha hai,
Jab bhi unki mehfil saji hamara pyaar sar-e-aam raha hai,
Kehna to tha humko bahut kuchh tujhe par keh na sake,
Tere dil se mere liye hamesha nafrat se chhalakta jaam raha hai ...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #37 on: September 04, 2006, 04:11:31 PM »
bahut khoob likha hai aapne JHL.........

teri khushboo jo laate the vo jhonke hamko pyare the
vohi to dooriyon par bhi hamare bas sahare the
mgar phir yun hua kuchh mosamon ke saath ae hamdam
ke un jhonko ke rukh badale jo bas ik silsila se the
kai din se khabar koi tera na naam hi hai suna
koi aata nahi aisa  khabar teri jo le aae
ghadi bhar ko sahi dil ko bhi apne chain aajaae
ye furqat kitani gahri hai na jaane kitani lambi hai
kabhi dekha tha kya tujhko nahi ab yaad aata hai
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #38 on: September 10, 2006, 04:29:04 PM »
Yaad karle tu wo haseen shaam jab hum pehli baar mile the,
Yaad kale tu wo jagah jaha khile phool bhi kitne rangile the,


Aur hame yaad karne de wo hahari judaai ki aakhri shaam,
Jab humne likha tha aakhri baar tere haathon pe mera naam ...

Thanks a lot Tabassum for appreciation and nice one too ...
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #39 on: September 11, 2006, 05:09:28 PM »
       thanx jhl

jo tujhse na mile the ham to hambhi to akele the
bas kuch ek gham kuchh ik aansu hi jeene ke vaseele the
tano tanha thi tanhaai na koi bhi sada hi thi
thi dil ki dhadkane tahanha ghamo ke sou jhamele the

kahin ansu ki baarish thi kahin khamosh rusvaai
kahin jangal ghamo ke the kahin qurbat ke mele the
teri aahat si jo aai khushi ik saath le aai
vagerna zeest thi meri sath dard ke qabeele the
         
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #40 on: September 18, 2006, 05:14:42 PM »
Ek aakhri saans mein hame unse ishq-e-izhaar karna tha,
Dil toota tha phir bhi usse be-inteha pyaar karna tha,
Bas khuda ki di hui mohlat khatm ho gayi aur saanse ruk gayi,
Aur na dekh sake wo pal jab use humpe aakhri vaar karna tha ...
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #41 on: September 19, 2006, 03:55:01 PM »
Waaah JHL ji.....Superb 4 lines me bahut badi baat keh gaye.....Superb...!!!!!!!!

Dil Bejaan hai lekin.....
Phir bhi tujhe kyu Dhadkan Sunai deti hai......

Dard dehek raha hai jaise Lafzon me mere.....
Phir bhi yeh tujhe kyu Armaani Ghazal dikhayi deti hai......

Khuda se na Wasta mera na hee ab waise Tabiyet hai.....
Dhoond raha hu ab apne kuch NiShaan aisi kuch meri Shaksiyat hai.....!!!!!!!!!!
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #42 on: September 24, 2006, 09:46:42 AM »
Thanks a lot B.Shayar for appreciation ...
You too have written fantastic lines ...
Keep writing ...
Logged
Just_Hate_Love
Guest
«Reply #43 on: September 24, 2006, 09:48:36 AM »
Na puchh kitne sadme uthake aaya hoon,
Mein tere sheher se thokre khake aaya hoon,
Kahi suni na gayi mere dil ke fariyaad,
Jaane kitne daro par sar jhukake aaya hoon ...
Logged
Tosha
Guest
«Reply #44 on: September 24, 2006, 09:55:21 AM »
is dil ne bhi mangi ti dua
dastakh uske dil pe di thi
per pith main khanjar mila
humne bewafa se mohabbat ji ki thi
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:31:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer