Mere Dard Ki Kahani...

by Aryaan on June 20, 2006, 02:37:51 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 4969 times)
Aryaan
Guest
«Reply #15 on: June 27, 2006, 04:02:02 AM »

Aye Khudaya sunn meri faryaad
Tu tau kehta hai, Mujhe Pukaar
Main tau insaan ke zayada kareeb hoon
Tau.....
Sunn mere Maalik
Meri Qismat ki siyaah bakhti par
Tere karam ki baarish kab hogi
Meri tau sirf itni faryaad hai
Keh....!
Ya mujhe meri manzil ka pata bata
Ya phir hamesha ke liye faryaad karne waali
Zabaan khaamosh kar de
Kyunkeh.....
Ab aisi hayaat ki mujhe aarzoo nahi
Jis mein Mohabbat meri manzil na ho..
Logged
jalpari
Guest
«Reply #16 on: June 27, 2006, 11:47:28 AM »
very nice Aryaan!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #17 on: June 28, 2006, 12:18:37 PM »
Thanks alot Jalpari...
Logged
Tosha
Guest
«Reply #18 on: June 28, 2006, 12:20:34 PM »
bahut khoob ... meri dil ke kahani mere daard se poocho sad5
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #19 on: June 29, 2006, 01:45:40 AM »
Bohat shukriya Tosha....
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #20 on: June 29, 2006, 02:04:25 AM »


Kal ki shab chaand ki aakhri raat thi
Subha tak taare mujh ko jagaate rahe

Main badi deir tak khud ko bhoole raha
Tum badi deir tak mujhe yaad aate rahe

WaQt jaise yaheen aa ke tham sa gaya
Dhoop jaise zameen par thehar si gayi

Chaawon main ne kayi din se dekhi na thi
Roz-o-shab mujh ko sooraj jalaate rahe

Manzilein din ba-din door hoti gayin
Raaste din ba-din aur badhte gaye

Chale chalte mere paaon shal ho gaye
Faasle raaston ko badhaate rahe

Phir kadi dhoop uss ka muQaddar bani
Chand lamhon ko saaye mein thehra tha jo

Phir wohi sakhtiyaan phir wohi roz-o-shab
Raat bhar kuch diye timtimaate rahe

Tere jaane se sab kuch badal sa gaya
Woh hajoom-e-shanasaan bikhar sa gaya

Teri yaadein gale mil ke roti raheen
Log aapas mein milte milaate rahe

Kis Qadar ba-khabar log hain shehar ke
Kis Qadar waQeyi unn ko maloom hai

Main bhi chup chaap sunta raha
Aur woh meri baatein mujhi ko sunaate rahe
Logged
jalpari
Guest
«Reply #21 on: June 29, 2006, 12:49:22 PM »
very nice Aryaan, bohut hi acha likha hai!
Logged
jalpari
Guest
«Reply #22 on: July 05, 2006, 09:06:32 PM »
Aap ki aankh se gehra hai meri rooh ka zakham
Aap kya soch sakein ge meri tanhai ko!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #23 on: July 06, 2006, 05:57:17 AM »
Very very very nice aryaan... Marvellous fantastic, kya kahein tarif ke liye labz nai mil rahe hai Usual Smile

Baki sabne bhi bahut hi khoob likha hai..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #24 on: July 10, 2006, 05:12:09 AM »
Logged
angel4u
Guest
«Reply #25 on: July 10, 2006, 05:13:18 AM »
Logged
angel4u
Guest
«Reply #26 on: July 10, 2006, 05:14:52 AM »
Logged
angel4u
Guest
«Reply #27 on: July 10, 2006, 05:16:15 AM »
Logged
phoenix
Guest
«Reply #28 on: July 10, 2006, 06:09:50 AM »
bahut khoob angel and aryaan ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #29 on: July 10, 2006, 06:24:28 AM »
Thanks a lot phoenix ji...

Chehre Begane Sare Dil Bhi To Besahara Hai
Manzil Hai Khoyi Khoyi Raste Aawara Hai
Jane Na Jane Koi Kaisa Ishara Hai
Andheri RaahoMe Ye Dil Mara Mara Hai
* * * * *
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:46:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer