Mere dil dhadkane ka aalam na poocho

by Deepati on December 08, 2008, 05:22:08 AM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
Print
Author  (Read 6570 times)
Rajesh Harish
Guest
«Reply #60 on: December 23, 2008, 05:08:12 PM »
wah bahut khoob Deepati,



AAP DOSTI NIBHAOGEY HO TOH HUM BHI PICHEY REHNEY WALEY NAHI
TANHA AAP KOH CHODD, BEWAFA HUM BHI HONEY WALEY NAHI

AAP KI ANOKHI ADA HAMEY BHAA GAYI
KHUDD NAHI SAMJEY, HAMEY SAMJA DI

AISEY HI DOSTOH SEY HUM KHUSH RAHA KARTEY HAI
JOH MILTEY HAI HASS KEY AUR HASAYA KARTEY HAI



JASBIR SINGH


Nice Jasbir Ji
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #61 on: December 23, 2008, 07:47:39 PM »
Nice Jasbir Ji


Thanks Rajesh

Jasbir Singh
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #62 on: December 24, 2008, 11:57:22 AM »
Dil ki dharkan tak yuhin ham guzarne lag gaye
yeh kis nazuk mod se ham guzarne lag gaye

mere dil dhadkane ka aalam na poocho
guzarati hai kaise shab-e-gam na poocho

woh ik baat jisko nazar kah gayi hai
wohi baat honthon se hardam na poocho

na roke gaye gul ke aansoo kisi se
udi kaise phoolon se shabnam na poocho

koi dil ki nazuk ragyein choomata hai
jawaan kis kadar hai yeh mausam na poocho

tumhe kyon bataayein ham apni haqeeqat
hamaara bhi hai koi hamdam na poocho


NM

Wah Kya Baat Hai Deepati.. Aaj Aapka Naam Yahan Yo Par Pahali baar Dekha to Socha Ki aapka Likha Zaroor padha Jaye..!! Aapka Yahan Tahe dil se Swagat hai..!!!

Babut accha Likha Hai aapne.. Nice Sharing...!! Applause Applause


**~** Mann **~**
Logged
smardia
Guest
«Reply #63 on: December 24, 2008, 12:40:42 PM »
JIS KISI BHI SHAYAR KA YE KALAM HE....
LAJAVAB HAI...
THANKS FOR SHARING

SURENDRA
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #64 on: December 24, 2008, 03:27:19 PM »
Apna Gham Mujhe Auron Se Judaa Lagta Hai,.
Is Liye Haal Apna Kisiko, Main Sunaata Nahi,.

Hain Dil Mein Ghaav Itne, Iska Andaaz Maloom Nahi,.
Aur Bhi Zakham Lene Tayyar Hoon, Par Koi Mujhe Aazmaata Nahi,.

Itne Dard Chupe Hain, Ro Padoon To Zamaana Doob Jaaye,.
Aur Sab Kehte Hain, "Azeem" Tu Kyun Muskuraata Nahi,.

Logon Ki Fitrat Hai, Haal Sunna Aur Kinaare Ho Jaana,.
Sab Se Waakheef Hoon Main, Isliye Kisi Ko Kuch Bataata nahi,.

______________________________________-Jaanasheen-



Nice lines Jaanasheen Bhai
Logged
Deepati
Guest
«Reply #65 on: December 25, 2008, 02:10:36 AM »
Wah Kya Baat Hai Deepati.. Aaj Aapka Naam Yahan Yo Par Pahali baar Dekha to Socha Ki aapka Likha Zaroor padha Jaye..!! Aapka Yahan Tahe dil se Swagat hai..!!!

Babut accha Likha Hai aapne.. Nice Sharing...!! Applause Applause


**~** Mann **~**

Mann Ji,

Aap yahan aaye, aapne is Nazm ko saraaha  Usual Smile

Aapse mil kar behad khushi huyi aur Tah-e-dil se aapka bahut bahut Shukriya!!


Deepati
Logged
Deepati
Guest
«Reply #66 on: December 25, 2008, 02:12:12 AM »
JIS KISI BHI SHAYAR KA YE KALAM HE....
LAJAVAB HAI...
THANKS FOR SHARING

SURENDRA

Thank You, Surendra Ji
Logged
Deepati
Guest
«Reply #67 on: December 25, 2008, 02:19:07 AM »
Apna Gham Mujhe Auron Se Judaa Lagta Hai,.
Is Liye Haal Apna Kisiko, Main Sunaata Nahi,.

Hain Dil Mein Ghaav Itne, Iska Andaaz Maloom Nahi,.
Aur Bhi Zakham Lene Tayyar Hoon, Par Koi Mujhe Aazmaata Nahi,.

Itne Dard Chupe Hain, Ro Padoon To Zamaana Doob Jaaye,.
Aur Sab Kehte Hain, "Azeem" Tu Kyun Muskuraata Nahi,.

Logon Ki Fitrat Hai, Haal Sunna Aur Kinaare Ho Jaana,.
Sab Se Waakheef Hoon Main, Isliye Kisi Ko Kuch Bataata nahi,.

______________________________________-Jaanasheen-




Gam naa kar khushi kaa daur aayega
gam naa kar zamaana aur aayega

dekhna yeh raat kat hii jayegi
iske baad subah muskurayegi
ik naya jahaan dagmagayega

gam naa kar khushi ka daur aayega
gam naa kar zamaana aur aayega
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #68 on: December 25, 2008, 09:04:46 PM »
Gam naa kar khushi kaa daur aayega
gam naa kar zamaana aur aayega

dekhna yeh raat kat hii jayegi
iske baad subah muskurayegi
ik naya jahaan dagmagayega

gam naa kar khushi ka daur aayega
gam naa kar zamaana aur aayega


wah, bahut khoob Deepati.

HAUSLA AAP NEH BAHUT ACCHAA DIA
HAMARA DIL KUCH HALKA KIA

RAAT KEY BAAD FIR SUBAH AAYEGI
ISS YAKEEN PEH, KUCH TOH NEEND AAYEGI


JASBIR SINGH
Logged
Deepati
Guest
«Reply #69 on: December 28, 2008, 03:08:00 AM »
wah, bahut khoob Deepati.

HAUSLA AAP NEH BAHUT ACCHAA DIA
HAMARA DIL KUCH HALKA KIA

RAAT KEY BAAD FIR SUBAH AAYEGI
ISS YAKEEN PEH, KUCH TOH NEEND AAYEGI


JASBIR SINGH

Very nice lines, Jasbir Ji  Usual Smile
Logged
Deepati
Guest
«Reply #70 on: December 28, 2008, 03:19:31 AM »
Ae dard zara dam le, karvat tou badalaney dey
armaan bhare dil ko pahlu mein sambhalney dey

dam le, ki mere armaan, aankhon mein utar aaye
ro kar hii mere dil ke armaan nikalney dey

parwaane ke jalne se jalti hai tu kyon shama
likha hai agar yeh hii, jalta hai tou jalne dey


NM
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #71 on: December 28, 2008, 07:14:03 PM »
Very nice lines, Jasbir Ji  Usual Smile

thanks Deepati and very nice sharing from you.

Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #72 on: December 28, 2008, 07:19:29 PM »
Ae dard zara dam le, karvat tou badalaney dey
armaan bhare dil ko pahlu mein sambhalney dey

dam le, ki mere armaan, aankhon mein utar aaye
ro kar hii mere dil ke armaan nikalney dey

parwaane ke jalne se jalti hai tu kyon shama
likha hai agar yeh hii, jalta hai tou jalne dey


NM


bahut khoob, sach meh baar baar padney koh dil kar raha hai.

bahut hi badiya sharing aap neh ki hai DEEPATI.

Jasbir Singh
Logged
Deepati
Guest
«Reply #73 on: December 29, 2008, 10:28:20 PM »
bahut khoob, sach meh baar baar padney koh dil kar raha hai.

bahut hi badiya sharing aap neh ki hai DEEPATI.

Jasbir Singh

Shukriya, Jasbir Ji  Usual Smile
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #74 on: December 30, 2008, 02:06:01 AM »
Ae dard zara dam le, karvat tou badalaney dey
armaan bhare dil ko pahlu mein sambhalney dey

dam le, ki mere armaan, aankhon mein utar aaye
ro kar hii mere dil ke armaan nikalney dey

parwaane ke jalne se jalti hai tu kyon shama
likha hai agar yeh hii, jalta hai tou jalne dey


NM

Nice sharing Deepa
Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 26, 2025, 06:30:45 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.133 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer