Mere dil dhadkane ka aalam na poocho

by Deepati on December 08, 2008, 05:22:08 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
Print
Author  (Read 6512 times)
Deepati
Guest
«Reply #75 on: December 30, 2008, 02:27:12 AM »
Nice sharing Deepa

Thanks, Rajesh Ji Usual Smile
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #76 on: December 30, 2008, 10:02:10 PM »
Yun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne,
Apni Aankhonse Bhi Main ZakhM Chhupaun Apne,

Main To QaeM Hoon Tere GaM Ki Badaulat Warna,
Yun Bikhar Jaun Ke Khud Haath Na Aaun Apne,

Sochta Hoon Ke Bujha Dun Main Ye KaMre Ka Diya,
Apne Saaye Ko Bhi Kyon Sath Jagaun Apne,

Uski Talwar Ne Wo Chal Chali Hai Aisi,
Paanv Kattein Hai Agar Haath Bachaun Apne...

Nm
Logged
Pooja
Guest
«Reply #77 on: December 30, 2008, 10:03:06 PM »
nice sharing lil bro
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #78 on: December 31, 2008, 12:34:34 PM »
wah bahut khoob, very nice sharing jahanasheen

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #79 on: January 01, 2009, 05:17:48 PM »
Shukriya Didijaan,.
And Jasbir Bhai,.
Logged
Deepati
Guest
«Reply #80 on: January 02, 2009, 02:45:32 AM »
Yun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne,
Apni Aankhonse Bhi Main ZakhM Chhupaun Apne,

Main To QaeM Hoon Tere GaM Ki Badaulat Warna,
Yun Bikhar Jaun Ke Khud Haath Na Aaun Apne,

Sochta Hoon Ke Bujha Dun Main Ye KaMre Ka Diya,
Apne Saaye Ko Bhi Kyon Sath Jagaun Apne,

Uski Talwar Ne Wo Chal Chali Hai Aisi,
Paanv Kattein Hai Agar Haath Bachaun Apne...

Nm

Very nice sharing, Jaanashaan Ji Usual Smile
Logged
Deepati
Guest
«Reply #81 on: January 02, 2009, 03:21:05 AM »
Dard ki baarish sahi madham zara ahista chal
dil ki mitti hai abhi tak namm zara ahista chal

tere milne ke aur bichhad jaane ke beech
faasla rusvayi ka hai kuch kam zara ahista chal

apne dil hii mein nahin hai us ki mahruumi ki yaad
uski aankhon mein bhi hai shabnam zara ahista chal

koi bhi ho hamsafar "Rashid" na ho khush is kadar
ab ke logon mein wafa hai kam zara ahista chal


"Mumtaz Rashid"

Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #82 on: January 02, 2009, 07:24:47 AM »
Wao Deepati, u reminded me of this very beautiful ghazal, i presume, sung by Pankaj Udhas .... Thanks for Sharing this.


DOOR NIGAOH KEY SAHI, PAAS TUM REHTEY HO
SAPNEY JA JAYE BIKHAR, JARA AAHISTA CHAL
DIL KI MITTI HAI ABHI TAK NAM, JARA AAHISTA CHAL


JASBIR SINGH
Logged
Deepati
Guest
«Reply #83 on: January 02, 2009, 09:22:08 AM »
Wao Deepati, u reminded me of this very beautiful ghazal, i presume, sung by Pankaj Udhas .... Thanks for Sharing this.


DOOR NIGAOH KEY SAHI, PAAS TUM REHTEY HO
SAPNEY JA JAYE BIKHAR, JARA AAHISTA CHAL
DIL KI MITTI HAI ABHI TAK NAM, JARA AAHISTA CHAL


JASBIR SINGH

Shukriya, Jasbir Ji

Aapka andaaza bilkul sahi hai - This ghazal is sung by "Pankaj Udhas"

Very nice lines by you too.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #84 on: January 02, 2009, 09:26:59 AM »
Shukriya, Jasbir Ji

Aapka andaaza bilkul sahi hai - This ghazal is sung by "Pankaj Udhas"

Very nice lines by you too.

Thanks Deepati ... it indeed is a very beautifully sung Ghazal

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #85 on: January 02, 2009, 09:48:32 AM »
Kamaal ki Sharing Hai, Deepati Partner,.
Aur Jasbir Bhaiya, Nice One Yaara,.
Logged
Deepati
Guest
«Reply #86 on: January 03, 2009, 09:10:31 AM »
Kamaal ki Sharing Hai, Deepati Partner,.
Aur Jasbir Bhaiya, Nice One Yaara,.

Shukriya, Jaanasheen Partner Usual Smile
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #87 on: January 03, 2009, 03:47:19 PM »
Kamaal ki Sharing Hai, Deepati Partner,.
Aur Jasbir Bhaiya, Nice One Yaara,.

oh thanks Dildara, jahanasheen, tusi vi bahut kamaaal yaara


jasbir singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #88 on: January 03, 2009, 03:49:20 PM »
Shukriya, Jaanasheen Partner Usual Smile


OH hellooooooooooooooooooooooooooooo helllooooooooooooooo

sher humsey sajatey ho
partner jahnasheen koh banatey ho
bada khooob rishta nibhatey ho
hamey partner ku nahi banatey ho  Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard


jasbir singh
Logged
Deepati
Guest
«Reply #89 on: January 04, 2009, 08:06:14 AM »

OH hellooooooooooooooooooooooooooooo helllooooooooooooooo

sher humsey sajatey ho
partner jahnasheen koh banatey ho
bada khooob rishta nibhatey ho
hamey partner ku nahi banatey ho  Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard Laughing hard


jasbir singh

 Feared. Feared. Feared. Winking tongue3


Main khayal hoon kisi aur ka, mujhe sochtaa koi aur hai
sar-e-ayina mera aks hai, pas-e-ayina koi aur hai

main kisi ke dast-e-talab mein hoon, main kisi ke harf-e-dua mein hoon
main naseeb hoon kisi aur kaa, mujhe maangtaa koi aur hai

kabhi laut aaye tou naa poochhna, sirf dekhna bade gaur se
jinhe raaste mein khawar hui ki yeh raasta koi aur hai

ajab aitbaar-ba-aitbaari ke darmiyan hai zindagi
main qareeb hoon kisi aur ke, mujhe jaanta koi aur hai

wahi munsifon ki rivaayatein, wahi faislon ki ibaaratyein
mera jurm tou koi aur thaa par meri sazaa koi aur hai

teri roshni merii khaddo-khaal se mukhtalif tou nahin magar
tuu qareeb aa tujhe dekh loon, tuu wahi hai yaan koi aur hai



"Saleem Kausar"
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:24:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer