Mere Dil Ke kuch Lamhe..!!

by pinky on September 09, 2006, 12:06:56 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 16
Print
Author  (Read 13868 times)
pinky
Guest
«Reply #30 on: September 30, 2006, 07:07:15 PM »
Tahnx Angel dear!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mohabbat-kuch shireen lamhe by shayar_dildaar in Shayri for Khumar -e- Ishq
pinky
Guest
«Reply #31 on: September 30, 2006, 07:09:03 PM »
Tamannaon ki justju mein tu hi hai ab bhi..
chahaton ki Khwahish mein tu hi hai ab bhi..
Kyun nahi aata tujhe khayal mera..
Meri to har soch mein tu hi hai ab bhi..!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #32 on: September 30, 2006, 07:09:48 PM »
Mere zakhmo pe namak daal kar
Kehta hai wo main beimaan hoon..

Mere labon ki hassi churakar
kehta hai wo main beimaan hoon..

Meri har khushi se mujhe juda kar
kehta hai wo main beimaan hoon..

Meri har saans apne naam kar
kehta hai wo main beimaan hoon..

Meri zindagi mujhse cheen kar
kissi aur ke naam kar di..
aur kehta hai wo..
Main Beimaan hoon..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #33 on: September 30, 2006, 07:13:06 PM »
Quote from: "pinky"
Tamannaon ki justju mein tu hi hai ab bhi..
chahaton ki Khwahish mein tu hi hai ab bhi..
Kyun nahi aata tujhe khayal mera..
Meri to har soch mein tu hi hai ab bhi..!!


superbsssssssssss..........   bahot khoob  Nikki..........
Logged
pinky
Guest
«Reply #34 on: October 01, 2006, 08:31:50 AM »
Thanx waheed...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #35 on: October 01, 2006, 04:59:59 PM »
wonderful pinky...


Mujhko Yaqeen Hai Sach Kehti Thi Jo Bhi AMMi Kehti Thi,
Jab Mere Bachpan Ke Din The, Chand Par Pariyan Rehti Thi,
Ek Ye Din Hai Jab Apno Ne Nata Tod Liya,
Ek Wo Din The Jab Pair Ki Shakhein Bojh HaMara Sehti Thi,
Ek Ye Din Jab Saari Sadkein Ruthi Ruthi Lagti Hai,
Ek Wo Din The Jab Khushi Se Khaliyan Sari Galiyan Kehti Thi,
Ek Ye Din Jab Jagi Raatein Diwaron Ko Takti Hai,
Ek Wo Din Jab ShaaMon Ko Bhi Palkein Bojhal Rehti Thi,
Ek Ye Din Jab Lakhon GaM Aur Aana-Jaana Hai Aansu Ka,
Ek Wo Din Jab Ek Zara Si Baat Pe Nadiyan Behti Rehti Thi,
Ek Ye Din Jab Zehen Mein Sari Guzri Baatein Hai,
Ek Wo Din Jab Dil Mein Bholi Bhali Baatein Rehti Thi,
Ek Ye Ghar Jis Ghar Mein Mera Sazo SaMan Rehta Hai,
Ek Wo Ghar JisMe Budhi Naani Rehti Thi...
* * * * *
Logged
pinky
Guest
«Reply #36 on: October 01, 2006, 08:00:41 PM »
Meri Raahon mein fir chale aao tum,
Dhoondti hain ye nazarein tumhe ab bhi..

Meri baahon mein fir chale aao tum,
Chahta hai dil mujhe thaam lo tum ab bhi..

Meri saanso ko fir pehle ki tarah mehka do tum,
Khushbu tumhari aati hai hawaon mein ab bhi..

Aa jao mere sapno mein sapna bankar fir se tum,
Mere khwab adhure hain tum bin ab bhi..

Ban jao meri muskan ek baar fir tum,
Ye Lab khamosh hain ab bhi..

Ab aur derr na karo, aa bhi jao tum,
K Tumhari YAADEIN mujhe tadpaati hain ab bhi..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #37 on: October 02, 2006, 05:57:06 PM »

Kabhi Jo Mujhko Talash Karna,
To Chand Raaton Ki Chandni Mein
Gul-E-ChaMan Se Sawal Karna,
Udaas Kyon Ho?

Kyon Os Ke Qatron Mein Apne Aansu
Chhupa Rahe Ho,
Haseen MausaM Me Kiski Yaadon Mein,
Apne Dilko Jala Rahe Ho,
Gul-E-ChaMan Ye Sawal Sunkar
TuMhari AaMad Ka Haal Sunkar,
Kahega TuM Jisko Khojte Ho,
Wo In Baharon Ki Sari Khushbu
Chura Ke Ab Ek Naye ChaMan Mein
Mehek Raha Hai,

Udas Kar Ke Yahan Pe HuMko
Kisi ChaMan Me Chahek Raha Hai,
Gul-E-ChaMan Ka Ye Haal Sunkar
TuMhe Lagega Main Bewafa Hoon,
Udaas Kaliyon Ko Chod Kar Main
Nayi Baharon Ko Dhundti Hoon,
Magar Hakeekat Mein Is ChaMan Ke
TaMaaM Phoolon Ki Khwabon Ka
Aur In Ki NakaM Khwahishon Ka,
Haseen MausaM Ki Baarishon Ka,
Na Mere Dil Par Asar Hua Tha,
Na Mere Dil Par Asar Hua Hai,

Main Aaj Bhi Ek Naye ChaMan Mein
Purane Kisse Suna Rahi Hoon,
Jo Mere Chahat Ka Devta Tha
Main Aaj Bhi Usko Poojti Hoon,
Yakeen Nahi To Palat Ke Dekho,
Wahin Khadi Thi, Wahin Khadi Hoon...
* * * * *
Logged
pinky
Guest
«Reply #38 on: October 03, 2006, 06:09:34 PM »
wah!! Wah!!

hamesha ki tarah..
superb hai..!!
Usual Smile
Logged
pinky
Guest
«Reply #39 on: October 03, 2006, 06:09:51 PM »
Gham mila hai to
gila nahi kissi baat ka,

Kyun shikwa karein hum
apne dil ke haalat ka??

Chahat ki khwahish bhi humne
kii thi unke darbaar mein..

Ab kyun na sajda karein unke
diye hue jazbaat ka??!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #40 on: October 03, 2006, 06:10:08 PM »
Dard kii raahein hain,
Naseeb waale hi chala karte hain inn par..
Dil unhi ka toota karta hai,
Mohabbat ki rehmat hoti hai jinpar..
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #41 on: October 03, 2006, 06:17:55 PM »
Quote from: "pinky"
Dard kii raahein hain,
Naseeb waale hi chala karte hain inn par..
Dil unhi ka toota karta hai,
Mohabbat ki rehmat hoti hai jinpar..


wow..........awesome..................   bahot  khoob  Nikki........

manzilen duur bhii hain manzilen nazadiik bhii hain
apane hii paaon men zanjiir paDii ho jaise
kitnay naadaan hain tere bhulane Waale ke tujhe
yaad karane ke liye umr paDii ho jaise ........nm
Logged
pinky
Guest
«Reply #42 on: October 03, 2006, 06:54:15 PM »
wow!!

bahut hi achcha hai Waheed..

Thanx for the appreciation..

Usual Smile
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #43 on: October 05, 2006, 05:52:52 PM »
Thanxxxxxxxx   Nikki.........  :lol:
Logged
pinky
Guest
«Reply #44 on: October 05, 2006, 06:05:34 PM »
Hi Waheed .. Usual Smile
lo ek aur pesh hai..!!

Lamhe iss dil ke ik ik kar guzar jayenge
Jaane inn lamho mein kitno se
dil ke taar judd jayenge,
Sochti hu,
kabhi ik lamha aisa bhi aayega,
Jab inn dard bhare lamhon ko bhoolkar,
Hum chup chap kissi lamhe ki
aagosh mein so jayenge..
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 16
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:04:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer