mere geeto mein .....

by ranjana on August 21, 2006, 12:34:56 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1624 times)
ranjana
Guest
mere geeto mein jo tumhe  aag dikhaai deti hai
yeh toh woh sach jo apni jubaan khud hi kehti  hai

dard jitne mile hain mujh ko zamaane se
aaj mere geeto mein bas unki taap dikhaayi deti hai

jab bhi kured deta hai koi mere zakhamo ko
ek jhankaar ,laye .aah inmein dikhaayi deti hai

kabhi toh badlega is dikhawati  zamaane ka mijaaz bhi
mere geeto mein wahi ek madhur aas dikhaayi deti hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
DHOOM ACHA DE DHOOM>>> MERE DIL MEIN by fakharenaveed in SMS , mobile & JOKES « 1 2 3  All »
Hathon Mein Mehandi Mere Lahoo Ki,.. by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 3 4 »
!!~~~~!! Wah Mere Dil Mein Rahta Hai~~~!! by waheed_rose2004 in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
wo ladki....mere lab mein by thycreator in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
mere khayalon mein..... by aftab alam in Shayeri for Dard -e- Bewafai
ranjana
Guest
«Reply #1 on: August 21, 2006, 12:54:17 PM »
beete hue pal fir na doharaye jaayenge
mere geeto mein tere lafaz toh fir bhi aayenge

kis tarah daalenge hum seep mein fir se bichara moti
tute hue phoolo se kaise bagbaan meheka jaayenge

na jaane kab milegi mere bahakti zindagi ko panaah
is dil ki banjar jameen ko ab sirf mere ashq hi khila paayenge
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: August 21, 2006, 01:04:04 PM »
meri tanha raat mein fir se koi dard jaga do
band na ho meri palke ,aaj koi zakham fir se naya do

meri aankho mein ab naa aane paaye khawab koi
ab chand ,sitarro ko mera humsafar bana do

koi aa ke palko per ruki hai shab ki baraat
ek dhudhali hui is tasveer mein ab na koi rang naya do

jamti ja rahi hai sab avaaze tamaam
ek sanaate ka libaas fir se meri tanahi ko pehna do

hai nahi shikva koi mujhe tere kiye  vaado se
ho sake toh apna naam hamaari in yaado se mita do
Logged
Pooja
Guest
«Reply #3 on: August 21, 2006, 04:52:18 PM »
wah kay abaat hai, bahoot khoob Ranju.....

meri kavita mai uska hi roop najar atta hai
shabdo mere, kaha naam uska ruk paata hai
her shikwa shikayat yaha ho jaati hai
haqiqat mai to baat hi nahi ho paati hai....

geeto mai usko gunguna leti hu
dil ka haal suna deti hu
apne dhoko per, ansoo baha leti hu
kuch issi tarah se khud ko bahla leti hu
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: August 21, 2006, 06:03:14 PM »
shukriya pooja ..bahut khoob likha hai ..

aakhir kab tak in lafazo ke khel mein khud ko behlaaye
koi toh aa ke ab humaare ruthe dil ko manaaye

shaam dhalte hi yeh tanha raat hame daarti hai bahut
koi jaa ke ab suraj ko fir se roshan kar aaye

jal rahi hai dil mein kuch aarzooe.n
koi ab mere ratjaago ko khawab toh dikhaaye

mere geeto mein hai sirf aqs unka
koi mere yeh geet ab toh  ja ke unke kaano mein gungunaaye
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: August 21, 2006, 06:09:19 PM »
very  nice  sharing  Ranjana...... Pooja sis........

Tere  firaaq mein  be-asar nahi tha  main
tere  khayal  mujhe  poochne ko aata tha....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: August 21, 2006, 06:19:06 PM »
tere hi khyaalo mein basar hoti hain meri zindagi
har waqt teri yaado ka kaafila saath mere chalata hai

tu kehta hai apni baat chahye kisi bhi andaaz se
wahi lafaz ab mere geeto mein ja ke dhalata hai
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: August 21, 2006, 06:27:52 PM »
bahot  khoob  Ranajan  .....   nice  sharing..

yaad karta hoon jab  gujre  lamhon  ke  pal
mujhko  sabar  dilaati hain aankhen aansuon se
dard  uthta hai  jab yaadon se  jakham  se
marham phir lagatri hai aankhen aansuon se........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: August 22, 2006, 06:41:58 AM »
bahut khoob waheed.....

hum apne aansu se dawa ka kaam lete hain
yeh zheher hum hanste hanste gale se utaar lete hain
baat hoti hai ek choti si ishq mein yahan per
log afsaana bana ke khawabo ko tod diya karte hain
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #9 on: August 22, 2006, 08:24:22 AM »
woow nice thread

very good Ranjana Pooja and Waheed
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #10 on: August 22, 2006, 08:25:26 AM »
yeh jo aansu hai aag bhujhane chale aate hai
ban barish ki bunde kambhakht aag aur laga jate hai....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #11 on: August 22, 2006, 08:39:06 AM »
shukriya Vikas........

kabhi kabhi aisa bhi ho jaata hai
aasaman bhi dard dekh ke hamara aansu bahta hai
tab  boonde nahi barasti in badalo se
yeh barsta paani aur aag laga jaata hai
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #12 on: August 22, 2006, 08:42:20 AM »
good ranju.....

aasman mera mere sang roya karta hai
jahan bhi jata hun dard saath chala aata hai
chod diya hai maine maikhane mai jana
muhko har paimane mai tera chehra nazar aata hai
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: August 22, 2006, 08:51:40 AM »
good one....

har chehre mein talasha hai unhe
ek ajnabipan hi haath aaya
jab bhi uthaya duao ke liye haath
khuda bhi na jaane kyu laga paraaya
Logged
vikas2210
Guest
«Reply #14 on: August 22, 2006, 09:16:00 AM »
paraya hai dard mera
apna kuch bhi nahi
tere dil mai koi aur hai
teri yaado pe bhi mera koi haq nahi
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 02:25:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer