Mere har khwab ko fansi de do.... manju

by manjum on June 09, 2011, 05:38:23 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4539 times)
manjum
Guest
"Mere har khwab  ko fansi de do"

Mere har khwab  ko fansi de do,
Mujhko tadpa rahe hain ye.
Mere arman ko dafan kar do,
Mujhko tadpa rahe hain ye.

Apne khwabo main rang bhar paun,
Kahan aasan tha ye kar pana.
Meri har aarzu qatal kar do,
Mujhko tadpa rahi hai ye.

Uska milna bhi tha bichhadana bhi,
Do kadam sath sath chalna bhi.
Mere is dil ko tum saza de do,
Mujhko tadpa raha hai ye.

Kaun kahta hai ishq mushkil hai,
Kar sako tum agar to mumkin hai.
Meri chahat ko mar dalo tum,
Mujhko tadpa rahi hai ye.

Uski khushiyo ka hai khyal mujh,
Mere gham ki use khabar hi nahin.
Mere ehasas ko khatam kar do,
Mujhko tadpa rahe hai ye.

Rahe mushkil thi fir bhi chalna tha,
Dekha apno ka rang badalna tha.
Meri khushiyon ko tum dafa kar do,
Mujhko tadpa rahi hai ye....

manju "mann"
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Mere bechain Khwab ¤ Yasir Inam by Yasirinam in Shayri for Dard -e- Judai
khwab me bhi mere sanam se bewafai naa karwah. . . by Mehrajankita Gora in Shayri for Dard -e- Judai
mere khwab by Peeyush pandey in Shayri for Dard -e- Judai
Mere khwab by Dhani in Share:Love Poetry
Mere khwab by Dhani in Share:Love Poetry
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: June 09, 2011, 06:07:15 AM »

Waah...Waah bahut khoob manjum ji

Very nice.

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #2 on: June 09, 2011, 06:08:18 AM »
"Mere har khwab  ko fansi de do"

Mere har khwab  ko fansi de do,
Mujhko tadpa rahe hain ye.
Mere arman ko dafan kar do,
Mujhko tadpa rahe hain ye.

Apne khwabo main rang bhar paun,
Kahan aasan tha ye kar pana.
Meri har aarzu qatal kar do,
Mujhko tadpa rahi hai ye.

Uska milna bhi tha bichhadana bhi,
Do kadam sath sath chalna bhi.
Mere is dil ko tum saza de do,
Mujhko tadpa raha hai ye.

Kaun kahta hai ishq mushkil hai,
Kar sako tum agar to mumkin hai.
Meri chahat ko mar dalo tum,
Mujhko tadpa rahi hai ye.

Uski khushiyo ka hai khyal mujh,
Mere gham ki use khabar hi nahin.
Mere ehasas ko khatam kar do,
Mujhko tadpa rahe hai ye.

Rahe mushkil thi fir bhi chalna tha,
Dekha apno ka rang badalna tha.
Meri khushiyon ko tum dafa kar do,
Mujhko tadpa rahi hai ye....

manju "mann"



bahut khoob manjum ji . ek bahut hi naya andaaz dekhne ko mila.


            kyon apne chaman ko mitana chahata hai tu,
    na kar fikr patjhar mein bhi rahe gaa baagh hara bahra sa
Logged
manjum
Guest
«Reply #3 on: June 09, 2011, 06:09:56 AM »
bahut bahut shukriy satishji.....

sath rahiega........
Logged
manjum
Guest
«Reply #4 on: June 09, 2011, 06:13:16 AM »
ji.. bahut bahut shukriya adilji..... pasand karne ke lie....

yun hi sath raihe...
Logged
heena i.s
Guest
«Reply #5 on: June 09, 2011, 06:21:31 AM »
kya likha hai aapne manjum ji
wah dil ke aarman khub bayan kiye hai aapne
mashallah
Logged
manjum
Guest
«Reply #6 on: June 09, 2011, 06:33:55 AM »
bahut bahut shukriya heenaji.... bas ek koshish hai....

sath rahie.....
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #7 on: June 09, 2011, 07:27:33 AM »
khub

ab to bus ye soch kar mar jayegr hum janab
udhar bhi teri yaad satai to kidhar jayege hum (NM)
"Mere har khwab  ko fansi de do"

Mere har khwab  ko fansi de do,
Mujhko tadpa rahe hain ye.
Mere arman ko dafan kar do,
Mujhko tadpa rahe hain ye.

Apne khwabo main rang bhar paun,
Kahan aasan tha ye kar pana.
Meri har aarzu qatal kar do,
Mujhko tadpa rahi hai ye.

Uska milna bhi tha bichhadana bhi,
Do kadam sath sath chalna bhi.
Mere is dil ko tum saza de do,
Mujhko tadpa raha hai ye.

Kaun kahta hai ishq mushkil hai,
Kar sako tum agar to mumkin hai.
Meri chahat ko mar dalo tum,
Mujhko tadpa rahi hai ye.

Uski khushiyo ka hai khyal mujh,
Mere gham ki use khabar hi nahin.
Mere ehasas ko khatam kar do,
Mujhko tadpa rahe hai ye.

Rahe mushkil thi fir bhi chalna tha,
Dekha apno ka rang badalna tha.
Meri khushiyon ko tum dafa kar do,
Mujhko tadpa rahi hai ye....

manju "mann"
Logged
manjum
Guest
«Reply #8 on: June 09, 2011, 07:29:30 AM »
bahut bahut shukriya manojji....

sath rahiega.........
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 09, 2011, 07:44:08 AM »
Bahut Bahut Khooob Anju Ji..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

"Uski Khushiyon Ka Hai Khayal Mujhe
 Mere Gham Ki Usse Khabar Bhi Nahi"

Yeh Do line Bhaut Kuch Keh Gayi..
Logged
manjum
Guest
«Reply #10 on: June 09, 2011, 07:57:17 AM »
bahut bahut shukriya khwaishji.....

acha laga ki aapko ye rachna pasand aai.. tun hi sath rahiega....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: June 09, 2011, 10:48:41 AM »
Manjum Jee Aadaab!


Behad achchi iltejaeN ki hai aapne Manjum jee..
Dard ke ahsaasoN ko darshati aapki yeH nazm achchi rahi.. Usual Smile

Humari janib se daad kabul kijiye... Usual Smile

Hume aik baat samjh nahi aayi ke aapne yeH iltejaa kis se kii hai..
Humara matlab hai ke aapne kia yeH iltejaaeN khuda se ki hai yaa
Apne habeeb se Usual Smile

Gar habeeb se kii hai to kahiN na kahiN habeeb ka zikra aana chahiye
tha.. Agar Khuda se ki to kuch iltejaa meiN ahsaas e Khuda bhi mehsus
hona chahiye tha.. Aisa hume lag raha hai..
Baki aapne bahut achchi koshish ki hai daad hazir hai.. Usual Smile

Chand ashar humari taraf se Usual Smile


DooriyaaN ghata do, fasle mita do
Chahe mere sanam tum mujhko saza do

YouN gair hokar mere zakham na chhedo
YouN dil na jalaao aise naa hawa do

Faisla ab tere haatoN meiN hai jaana
Mujhko thukra do yaa apnaa bana do


Likhati rahiye.. Khush O aabaad rahiye..
Aati rahiye ..
Khuda Hafez.. Usual Smile
Logged
manjum
Guest
«Reply #12 on: June 09, 2011, 11:45:32 AM »
bahut bahut shukriya parwazji.... ye ek koshish thi... aapne pasand kia hame bahut khushi hui....
parwazji... aapne jo sawal kia to ham khud chakkar main pad gaye ki hamne kisse ye iltzaye ki..... aur paya ki ye hamne apne aapse hi kaha hai... ye to mann ki mann se hui baat hai.....

"na habib hai na raqeeb hai.
 na hi kuch bhi mere karib hai.
 jise dhundhte rahe dar ba dar,
 na khuda mila ye nasib hai."

aapne bahut bahut khub likha hai....  Applause Applause Applause

shukriya itni khubsurat reply ke lie...
sath rahie...
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #13 on: June 10, 2011, 12:48:06 PM »
bht bht khoob di...
par itna gamgeen kyu ho rahe ho??
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #14 on: June 10, 2011, 01:54:55 PM »
"Mere har khwab  ko fansi de do"

Mere har khwab  ko fansi de do,
Mujhko tadpa rahe hain ye.
Mere arman ko dafan kar do,
Mujhko tadpa rahe hain ye.

Apne khwabo main rang bhar paun,
Kahan aasan tha ye kar pana.
Meri har aarzu qatal kar do,
Mujhko tadpa rahi hai ye.

Uska milna bhi tha bichhadana bhi,
Do kadam sath sath chalna bhi.
Mere is dil ko tum saza de do,
Mujhko tadpa raha hai ye.

Kaun kahta hai ishq mushkil hai,
Kar sako tum agar to mumkin hai.
Meri chahat ko mar dalo tum,
Mujhko tadpa rahi hai ye.

Uski khushiyo ka hai khyal mujh,
Mere gham ki use khabar hi nahin.
Mere ehasas ko khatam kar do,
Mujhko tadpa rahe hai ye.

Rahe mushkil thi fir bhi chalna tha,
Dekha apno ka rang badalna tha.
Meri khushiyon ko tum dafa kar do,
Mujhko tadpa rahi hai ye....

manju "mann"

Very Impressive ... Good Expressions ... Manjum Ji !
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 28, 2025, 01:56:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.18 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer