mere hi yaaro ne loota

by samnoj on January 13, 2005, 08:44:09 AM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 5400 times)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
hum gila kare to bhi kis se kare
hume apne hi chahne walo ne loota
jin ko chaha tha main ne zindagi ki trah
mujhko 'aabid' unhi dosto ne loota

saharo ne loota, pyaro ne loota
mujhko loota mere hi yaaro ne loota

khija se to shikwa hai ilzam us per
mujhe to jab loota baharo ne loota
saharo ne loota, pyaro ne loota

bahut hi the saade, bade pyar wale
daga mujhse hoga ye socha nahi tha
dil-o-jaan se jin ki pooja ki main ne
bade pyar se unhi pyaro re loota

mere dil ki baate hai logo ke lab per
mere raazdaa ne na koi raaz rakha
main kuch deewaro se hi tha kahta
mujhe mere gher ki deewaro ne loota

buri apni kismat ko kyu na kahu main
her ek mod per isne hai mujhko sataya
bhavar se jo bach ke nikla main yaaro
mere dil ka safeena kinaro ne loota

saharo ne loota, pyaro ne loota
mujhe loota mere hi yaaro ne loota

. . . . . . . . . . . . . . . AABID
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tuney to loota hai humme by shyama in Shayri-E-Dard
...ADAAON NE LOOTA ................ HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MENE HZARON KO LOOTA.....K@HIN@@R by Kohinoor in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Hume toh apnon ne loota by suman59 in Share:Funny Poetry
O mere yaaro.......... by aru12 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #1 on: January 13, 2005, 08:59:01 AM »
her dua ager kabool ho jaye
aadmi be asooll ho jaye
ranj-o-ghum rahto me shamil hai
werna insaan malwoon ho jaye

iska gila nahi ke bahut ghum uthae hai
her baaziya naseeb me pitwate aaye hai

main usko soch soch ke zinda hu aaj tak
aise bhi kuch fareb is dunya me khaye hai
her baaziya naseeb me pitwate aaye hai

milne ko wo mile hai meger ban ke ajnabi
kuch aise haadse bhi hume paish aaye hai
her baaziya naseeb me pitwate aaye hai

ahl-e-wafa se jab na hume roshni mili
phir dil ke daag humne hazaaro jalaye hai
her baaziya naseeb me pitwate aaye hai

'ishrat' na poocha usne mujhe mere jeete ji
ab kabr pe wo aansu bahane ko aaye hai
her baaziya naseeb ki pitwate aaye hai

. . . . . . . . . . . . . . . . . . . ISHRAT
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #2 on: January 13, 2005, 09:45:32 AM »
ye tera zulm hai ya takdeer ka sitam hai
kaise tumhe bataye kitne udaas hum hai
tufaan se ghire hai, milte nahi kinare
lo kooch ker rahe hai hum shaher se tumhare

tere mareez-e-ghum ki ab nabz tham rahi hai
ab mout dheere dheere sirhaane jum rahi hai
is haal-e-be kasi me koi kaha tumhe pukare
lo kooch kar rahe hai hum shaher se tumhare

koi ghum nahi muhabbat ke khareedaro se
dosti wo shai hai jo milti nahi bazaro se
hum to pahle hi dosti me jale baithe hai
kya darate ho dahakte hue angaro se
nafrat ki bheed me hum kuch aise ghir gaye hai
hum mout hi se pahle be mout mer gaye hai
her gerdisho ke sahme, takdeer ke sitare
lo kooch ker rahe hai hum shaher se tumhare

yu hi yr shaakh se patte gira nahi kerte
biched ke log bhi zyada jiya nahi kerte
jo aane wala hai mousam use shumaar karo
jo din guzer gaye hai unhe gina nahi kerte
muflis gareeb hum hai, aukaat kya humari
dherti ka bojh hai hum, nazro me tumhari
kaise bujhaye 'ishrat' hum dil ke ye sarare
lo kooch ker rahe hai hum shaher se tumhare
lo kooch ker rahe hai hum shaher se tumhare


. . . . .. . . . . . . . . . . . . . ISHRAT
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #3 on: January 13, 2005, 10:36:34 AM »
excellent samnoj..................all 3 are really cooool.
Logged
nishita
Guest
«Reply #4 on: January 13, 2005, 11:57:32 AM »
wah sam...bohat achhe Usual Smile

Tum Hum Se Ye Kehte Ho, Mohabbat NahiN Rahi
TumheeN Badal Gayey, Ya Woh Ulfat NahiN Rahi..

Har Baat Pe Tanaa Har Andaz MeiN TashheH
KiyoN Saaf NahiN Kehteh Mohabbat NahiN Rahi..

GheroN Pe Karam, ApnoN Pe Sitam Karte Ho
Phir Shaan Se Kehte Ho, Qurbatt NahiN Rahi..

Sehraa MeiN, Tapish Mein, Jab Tum Ne HumeiN ChoorDaa
Is Husn Ke Baazar MeiN Woh Qeematt NahiN Rahi..

Mana Ke Hum Se Bhi Bohat Ghaltiyan Hoi heN
Shaed Ke Darguzar Ki Tumhein Aadat NahiN Rahi..

Manzar To Wohii HaiN Halaat HaiN Badlay "Alvii"
Shaed Kay Ishq-e-Yaarr Ki Zarrorat NahiN Rahi..!!

nm
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #5 on: January 13, 2005, 01:25:52 PM »
ghum ke maare jo muskuraye hai
ansuon ko paseene aaye hai
kya gila hai mujhe nahi maloom
hum to bus naam sunte aaye hai
Logged
Delicate_Doll
Guest
«Reply #6 on: January 13, 2005, 01:50:30 PM »
nice.n gr8888888888 wrok all :D
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #7 on: January 13, 2005, 01:53:53 PM »
mout mujhko gawaara hai lekin
kya karu dum nikalta nahi hai
daal do apne aanchal ka tukda
meri mayiat pe chader nahi hai

Logged
yog
Guest
«Reply #8 on: January 13, 2005, 02:04:43 PM »
TUM BHI AAAJ SAHI JAGAH BAITHE HO ...LOL

NICE WORK ..
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #9 on: January 13, 2005, 02:17:32 PM »
wafa ker na saka jo wada wafa ka
usi be wafa ki wafa dhoondta hu
koi saath rota nahi hai aaj mere
apni hi maiyat pe tanha khada hu

jab apne hi kandho per lekar janaza
chala do kadam to her ek ne poocha
baharon ke mousam me khushbu laga ke
main sir ko jhuka ke kaha ja raha hu
koi saath rota nahi hai aaj mere
apni hi maiyat pe tanha khada hu

wo ho ke juda mujhse roya to hoga
aur usne kai baar ye socha to hoga
ki main uski chahat ko dulhan bana ke
khud apne hi haatho se dafna raha hu
koi saath rota nahi hai aaj mere
apni hi maiyat pe tanha khada hu

ager derd hota to ye soch leta
ager derd hota to ye soch leta
jo mere liye khizao me tadpa
usi ko baharo me tadpa raha hu
koi saath rota nahi hai aaj mere
apni hi maiyat pe tanha khada hu

jise chor ke tujhko chaha tha 'akhtar'
teri chahto me aaj phir mast hoker
usi sang dil ahal-e-dunya ke aage
tumhaare liye jholi phaila raha hu
koi saath rota nahi hai aaj mere
apni hi maiyat pe tanha khada hu

wafa ker saka na jo wada wafa ka
usi be wafa ki wafa dhoondta hu
koi saath rota nahi hai aaj mere
apni hi maiyat pe tanha khada hu


. . . . . . . . . . . . AKHTAR
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #10 on: January 13, 2005, 02:31:24 PM »
derd minnat kash dawa na huwa
main na acha hua, bura na huwa
jama karte ho kyu rakeebo ko
ek tamasha hua gilaa na huwa

. . . . . . . . . . . HALI
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #11 on: January 13, 2005, 02:49:54 PM »
asliyat ke bhi kaise kaise chahre hai,
dil ke sath sambandh dard ke gahre hai,
kisi ke wade ka bhi kaise aitbaar kare,
hum kyu, kaha, kab, yaha kis ke liya tahre hai

. . . . . . SONU (yoindia member)

 
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #12 on: January 13, 2005, 02:54:25 PM »
Har gam se haare hai,
har baazi jeet ke haare hai,
jitne paththar hai meri jholi main,
Sab mere doston ne maare hai.

. . . . . . . . . .RAJ
(yoindia member)
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #13 on: January 13, 2005, 03:13:17 PM »
Ek din ek udas lamhe ne
muskurate hue jo dekh liya
jaane kya dil main soch liya
raasta mera hans ke rok liya
aur seene se lag gaya aise
jaise bichra hua koi apna
ek muddat ke baad milta hai
tab se woh mere paas rehta hai
isliye dil udaas rehta hai


. . . . . . TALAT (yoindia member)
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 9 hours and 8 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #14 on: January 13, 2005, 03:16:18 PM »
koi ummeid ber nahi aati
koi surat nazar nahi aati
mout ka ek din mukarrar hai
neend kyu raat bher nahi aati
aage aati thi haal-e-dil pe hasee
ab kisi baat pe nahi aati
hum waha hai jaha se humko
khud humaari khaber nahi aati
qaba kis muh se jaoge 'ghalib'
sharam tum ko magar nahi aati

. . . . . . . . . MIRZA GHALIB
Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:19:48 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer