mere hi yaaro ne loota

by samnoj on January 13, 2005, 08:44:09 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 5438 times)
waheed_rose2004
Guest
«Reply #15 on: January 13, 2005, 04:04:55 PM »
wow wow wow wow sam...............nishita.......excellent work..........
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tuney to loota hai humme by shyama in Shayri-E-Dard
...ADAAON NE LOOTA ................ HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MENE HZARON KO LOOTA.....K@HIN@@R by Kohinoor in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Hume toh apnon ne loota by suman59 in Share:Funny Poetry
O mere yaaro.......... by aru12 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #16 on: January 13, 2005, 04:11:27 PM »
mere junoon ki dunya me ki aisi burai logo ne
ya tumne mujhe berbaad kiya, ya aag lagai logo ne
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #17 on: January 13, 2005, 04:24:38 PM »
mujhe dushman ke iraadu pay bhi piyaar aata hai
tere ulfat ne mohubbat mere Aadat kar dee
Mile jis ko dost tumhare jesa
use dushmann ki zaroorat hi kya hai...................
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #18 on: January 14, 2005, 06:43:13 AM »
mere junoon ki dunya me ki aisi burai logo ne
ya tumne mujhe barbaad kiya ya aag lagai logo ne

main ne kaha ki derd hai
usne kaha hua kare
main ne kaha ki merta hu
usne kaha mara kare
main ne kaha ki saas bhi ruk ruk ker aa rahi hai
usne kaha ki aaya kare
main ne kaha aisa na ho ki chal basu
us ne kaha khuda kare
ek mere lahu ki mahndi se rangeen badhai haatho ki
jis roz shaher me katl hua to eid manai logo ne
ya tumne mujhe barbaad kiya ya aag lagai logo ne
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #19 on: January 14, 2005, 06:46:24 AM »
Quote from: "waheed_rose2004"
mujhe dushman ke iraadu pay bhi piyaar aata hai
tere ulfat ne mohubbat mere Aadat kar dee
Mile jis ko dost tumhare jesa
use dushmann ki zaroorat hi kya hai...................



na tabeebo ki talab hai, na dawa maangi hai
main to chahe teri zulfo ki hawa maangi hai
dushmano haath uthao ki main jiyu berso
dosto ne mere marne ki duwa maangi hai
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #20 on: January 14, 2005, 07:29:26 AM »
khaber mere marne ki sunte hi dekho wo haatho me mahndi lagane lage hai
safar aakhri hai koi unse ye kahde, janaza mera sab uthane lage hai

khatae bhool ker mere guzre dino ki, kiya mujhko maaf mere dushmano ne
magar wo na aaye maiyat pe meri,lo hum ab ki dunya se jaane lage hai

sitam jeeteji usne mujh per hai dhaya, magar baad marne ke phir ye sitam hai
kabar me bhi mujhko kaha chain yaaro, yahan pe farishte satane lage hai

adawat ke sholo se sab rishte naate, khuloos-o-wafa ke hue khaak dekho
mere hum safar the jo ache dino me, wahi mujh se daman bachane lage hai

muddat hui, tamaam ye afsana ho gaya, dekho to shaher virana ho gaya
lo ja rahe hai qaid-e-anasir ko tod ker,azad her fikr se deewana ho gaya
udher surkh joda hai unke badan per, idher tan ko dhaka hai main ne kafan se
idher laas per meri matam hai 'ishrat', udher banke dulhan wo jaane lage hai

safer akhri hai koi unse ye kahde, janaza mera sab uthane lage hai
khaber mere marne ki sunte hi dekho,wo haatho me mahndi lagane lagane lage hai

. . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . ISHRAT
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #21 on: January 14, 2005, 07:47:43 AM »
kyun kise daman ko koi daag lagaate hain
hanste huye ghar mein aag laga dete hain
woh to khush hain apne is kaam ko anjaam de kar
unhein kya pata un ghar walonon ke ankhoon se khoon behte hain


. .. . . . . . . . . . . . . SUFYAN (yoindia member)
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #22 on: January 14, 2005, 10:58:30 AM »
samajha na mera Gham koi is baat ka gham hai
phir bhi mere dil kuch to vafaaon ki kasam hai
aankhon main ho aansoo bhi magar beh nahin paaye
kehne ko bahut kuch tha magar keh nahin paaye


. . . . . . . . . . . . . TALAT (yoindia member)
Logged
pandit
Guest
«Reply #23 on: January 14, 2005, 11:30:43 AM »
wah,,samnoj..
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #24 on: January 14, 2005, 03:14:10 PM »
aaj phir se mujhe khawaab wo purane aaye
aaj phir se mere dil ko wo dukhane aaye
kuch to wajah zaroor thi jo hum se khafa hai wo
bus yahi wo mujhko yaad wo dilane aaye
ye ajeeb silsila hai naraazgi ka unke
ke roothe hai ab 'mateen' wo manane aaye

. . . . . . . . . . . . .MATEEN (yoindia member)
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #25 on: January 14, 2005, 03:25:40 PM »
suni zindagi me hulchul mahsoos hui
bejan dil ki aaj dhadkan mahsoos hui
jane kyu aaj aisa laga shayed
shayed aapki kami mahsoos hui

. . . . . NM
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #26 on: January 14, 2005, 03:34:53 PM »
suna hai wakt hi akser ghumo ko dete hai
yahi wajah hai ki hum mahol ke ho lete hai
kisi ki yaad me ashko ko bhala berbaad kya kerna
'mateen' milte hai kai roz pe to ro lete hai

. .. . . . . . . . . . . . . . MATEEN (yoindia member)
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #27 on: January 15, 2005, 10:44:11 AM »
rasta kaat ke her bar guzar jata hai
jaise pardes me tyohar guzar jata hai
zindagi ishk me hi to guzri hai apni
jaise bazar se nadar guzar jata hai
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #28 on: January 15, 2005, 10:53:17 AM »
meri barbadi ka ab jushan manao yaro
gher mera samne mere hi jalao yaro
meri barbadi ka ab jushan manao yaro

kitni shiddet se to barsat bhi tum tum barse
jis trah teri yaad me chum chum barse
minnat koun kare ek gharonde ke liye
kahdo badal se barasna hai to jam jam barse
tum ko malom hai aayega na katil mera
der kyu karte ho maiyat ko uthao yaro
gher mera saamne mere hi jalao yaro

rahta nahi insaan to hota nahi dum bhi
ek roz zameen odh ke so jayege hum bhi
ha half-e-wafa shouk se uthaiye lekin
hum roz wafadar hai bigair-e-kasam bhi
zulm ki hudd se guzar ker mujhe pathar maro
ho sake to meri hasti ko mitao yaro
gher mera saamne mere hi jalao yaro

shumaar theek nahi hai ye aadmi ke liye
ki dil kisi ke liye hai wo zubaan kisi ke liye
na aitbaar-e-wafa ker ki wo nigah-e-shareek
kabhi kisi ke liye hai kabhi kisi ke liye
dushmano ne jo jalai hai kabar pe meri
wo shama-e-aakhir ab mil ke bujhao yaro
gher mera samne mere hi jalao yaro

meri berbadi ka ab jushan manao yaro
gher mera saamne mere hi jalao yaro

. . . . . . . . . . . . . DANISH
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 10 hours and 44 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #29 on: January 15, 2005, 11:14:53 AM »
hakeekat hai ki mer ker bhi unhe hum yaad rakhege
ye gulshan unki yaadon ka sada abaad rakhege
mere saath unka wada hai, meri koi khabar  na le
mere is akhri gher ki, wo khud bunyaad rakhege

. . . . . . . . . . . . . . . . SADIK
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 08:18:27 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer