mere hi yaaro ne loota

by samnoj on January 13, 2005, 08:44:09 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 5381 times)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #30 on: January 15, 2005, 11:19:08 AM »
ye dil, ye pagal dil mera, kyu bujh gaya ,awaargi
is yoindia me ek shahar tha, kya hua , awaargi

kal shab mujhe beshakal ki awaaz ne tadpa diya
main ne kaha tu koun hai, usne kaha, awaargi

ek tu ki sadyon se mera humraah, humraaz bhi
ek main ki tere se na aashna , aawaargi

ye dard ki tanhaaiyaan, ye dasht ka veeraan safar
hum log to ukta gaye, apni suna, awaargi

ek ajnabi jhoke ne poocha jab mere gham ka sabab
sahra ki bheegi ret par, main ne likha, awaargi

kal raat tanha chaand ko dekha tha main ne khwaab me
'samnoj', mujhe raas aayegi, shayed sada, awaargi

ye dil, ye pagal dil mera, kyu bujh gaya, awaargi
is yoindia me ek shahar tha, wo kya hua, awaargi
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tuney to loota hai humme by shyama in Shayri-E-Dard
...ADAAON NE LOOTA ................ HASAN by F.H.SIDDIQUI in Ghazals « 1 2  All »
MENE HZARON KO LOOTA.....K@HIN@@R by Kohinoor in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Hume toh apnon ne loota by suman59 in Share:Funny Poetry
O mere yaaro.......... by aru12 in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #31 on: January 17, 2005, 10:47:49 AM »
lo phir dil toot gaya bewafa ki bewafai se
main to tang aa gaya yaaro her roz ki judai se

badla bhi le to kisse, badduwa de bhi to kisko
badnaam kaise karde, chaha tha yaar jisko
shikayat kya labon per, yaad dilaya nahi karte
muhabbat karne wale ghum se ghabraya nahi karte

. . . . . . . NM
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #32 on: January 17, 2005, 11:00:46 AM »
ai dil jhoot aam tha dunya me is kader
tu ne bhi sach kaha to fasana laga mujhe
ab usko kho diya 'aadil' zara tu dekh
wo jise dekhne me zamana laga mujhe

. . . . . . . . AADIL
Logged
nishita
Guest
«Reply #33 on: January 17, 2005, 11:07:48 AM »
Quote from: "samnoj"
ye dil, ye pagal dil mera, kyu bujh gaya ,awaargi
is yoindia me ek shahar tha, kya hua , awaargi

kal shab mujhe beshakal ki awaaz ne tadpa diya
main ne kaha tu koun hai, usne kaha, awaargi

ek tu ki sadyon se mera humraah, humraaz bhi
ek main ki tere se na aashna , aawaargi

ye dard ki tanhaaiyaan, ye dasht ka veeraan safar
hum log to ukta gaye, apni suna, awaargi

ek ajnabi jhoke ne poocha jab mere gham ka sabab
sahra ki bheegi ret par, main ne likha, awaargi

kal raat tanha chaand ko dekha tha main ne khwaab me
'samnoj', mujhe raas aayegi, shayed sada, awaargi

ye dil, ye pagal dil mera, kyu bujh gaya, awaargi
is yoindia me ek shahar tha, wo kya hua, awaargi


mujhe hamesha se tera ye "awargi" bohat pasand hai sam..

aur pata hai koi dusre site me.. kisine apne siggi me ye teri "kal raat tanha chaand ko dekha tha main ne khwaab me
'samnoj', mujhe raas aayegi, shayed sada, awaargi " daala hai

lekin us dumbo ne "sam" hatana bhool gaya lol..
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #34 on: January 17, 2005, 11:12:29 AM »
shayed usko mera naam bhi acha laga hoga


zaman kuch bhi kahe uska ahteram na ker
jis ka zameer na jaage usko salaam na ker
sharaab pi ker bahekna hai to use na pi
halaal cheez ko is trah se haraam na ker

. . . . . . . . . NM
Logged
nishita
Guest
«Reply #35 on: January 17, 2005, 11:18:54 AM »
haan ho sakta hai.. Winking


Har khushi kam hai,
Tera gum bhulane ke liye,
Ek tera gum hi kaafi hai,
Mujhe umr bhar rulane ke liye


nm
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #36 on: January 17, 2005, 11:22:53 AM »
mayusiyon ke shaher me firta hu der bader
mujhko saleeke seekh ke kuch bhi nahi mila
main ne jo inke waaste 'aadil' diya kahu
phir bhi meri khushi ka koi gul nahi khila
Logged
nishita
Guest
«Reply #37 on: January 17, 2005, 11:28:58 AM »
bana bana ke tamanna mitaaii jati hai,  
tarah tarah se wafa aazmaaii jati hai,
woh mere dil ka pata mujhe nahi dete,
hamari cheez hami se chupaaii jati hai.......
Logged
samnoj
General Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 1
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
19 days, 8 hours and 57 minutes.

always smile

Posts: 15216
Member Since: Aug 2004


View Profile
«Reply #38 on: January 17, 2005, 03:00:10 PM »
aatish-e-ghum ke siwa kuch nahi de sakte
ashk-e-pahem ke siwa kuch nahi de sakte
tum hame bhool hi jao mere 'aadil' ab to
hum tumhe ghum ke siwa kuch nahi de sakte

. . . .. . . . . . . .AADIL
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:22:05 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.127 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer