mere jaane ke baad...........

by Naya_Daur on December 11, 2006, 07:56:50 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 6770 times)
Naya_Daur
Guest
mere jaane ke baad tu mujhe samjh payegi
mere marne ke baad tu tadpati reh jayegi

matt kar Qadar meri vaffa ki,mujhe jala hijar mein
ek din khud hi  khud ko bewaffa keh kar roti jayegi

puchega na haal jab tumhara,tera apna koi
naa pass hoga seene se liipat jaane ko koi

uss waQt pal pal, teri dhadkan mujhe bhulayegi
iss begaane ki talaash tujhe har taraf bhatkayeigi

patharon mein reh kar shayad ajj tu bhi pathar ho chali hai
meri bhi shayad kismat ki rah kaanton se buni gayi hai

jab tak hoga sang tere yuh khamosh chalta jaunga
abb toh mujhe yeh teri adat umar bhar tadpayegi

jab bhi chahoge mujhe apne sath paoge,par itna toh baato
mere ansu sukh jaane ke baad yeh shama tu kis se jaleygi....Huh?
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere jaane kei baad by Arifa in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 8 9 »
Unke jaane ke baad... by Blue_angel in Shayri-E-Dard
Mere jaane k baad.....koyal by KOYAL46 in Shayri for Dard -e- Judai
---tere jaane ke baad--- by killbill in Shayri for Dard -e- Judai
mere chale jaane ke baad by poonamA in Share: Poetry of Pain
ranjana
Guest
«Reply #1 on: December 11, 2006, 08:19:36 AM »
mohbbat ke rang naye saanche mein dhalte hain
jinhe thee kabhi mujhse mohbbat wahi rang ab badalte hain

aaj bhi hai intezaar in aankho ko kiska
hum aaj bhi wahi usi mod per raha unko takate hain

har waqt gulo ki sej mile yeh nahi hai mumkin
aaj dil ke ghaav kaanto ki sej per palate hain

kaise kahe ki ab is dil mein kya hai tere liye
kuch baat hai yeh hai asi ki hum keh ke aur bhi marte hain !!

ranju
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: December 12, 2006, 05:45:59 AM »
wah kaya baat hai Jeet.. bahoot hi acha likha hai...

Good job Ranju...
Logged
paani
Guest
«Reply #3 on: December 12, 2006, 07:05:11 AM »
keep burning desire..!!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #4 on: December 12, 2006, 08:30:58 AM »
Quote from: "ranjana"
mohbbat ke rang naye saanche mein dhalte hain
jinhe thee kabhi mujhse mohbbat wahi rang ab badalte hain

aaj bhi hai intezaar in aankho ko kiska
hum aaj bhi wahi usi mod per raha unko takate hain

har waqt gulo ki sej mile yeh nahi hai mumkin
aaj dil ke ghaav kaanto ki sej per palate hain

kaise kahe ki ab is dil mein kya hai tere liye
kuch baat hai yeh hai asi ki hum keh ke aur bhi marte hain !!

ranju

mohabat kya hai !!! maine nahi jana kabhi
bas kadom mein tere apna aap bichaya hai

har uss benaam rishte ki tarah tujhe maine
aapni rooh,atama ki gehri mein basaaya hai

hai aaj bhi wohi kashish tere deedar ki mujhe
par kya ek pal tumNe meri yaad mein beetaya hai

Shikayat hai na tujhse,na koi narazgi JEET ko
yehi dastoor hai duniya ka,jo tumNe bhi nibhaya hai....
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #5 on: December 12, 2006, 08:35:59 AM »
Quote from: "majid"
Good job BD n RANJU ji keep going

thanks Majid janab....

Quote from: "paani"
keep burning desire..!!!!

sukriya paani... keeping desires burning :wink:

Quote from: "Pooja"
wah kaya baat hai Jeet.. bahoot hi acha likha hai...

Good job Ranju...

wah wah hi karte rahiyega aap... aap jaisi poetess shabdon ka jadu chaleye bagair kaise chale gayi :evil:
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: December 12, 2006, 10:44:21 AM »
Quote from: "burniing_desiires"
Quote from: "ranjana"
mohbbat ke rang naye saanche mein dhalte hain
jinhe thee kabhi mujhse mohbbat wahi rang ab badalte hain

aaj bhi hai intezaar in aankho ko kiska
hum aaj bhi wahi usi mod per raha unko takate hain

har waqt gulo ki sej mile yeh nahi hai mumkin
aaj dil ke ghaav kaanto ki sej per palate hain

kaise kahe ki ab is dil mein kya hai tere liye
kuch baat hai yeh hai asi ki hum keh ke aur bhi marte hain !!

ranju

mohabat kya hai !!! maine nahi jana kabhi
bas kadom mein tere apna aap bichaya hai

har uss benaam rishte ki tarah tujhe maine
aapni rooh,atama ki gehri mein basaaya hai

hai aaj bhi wohi kashish tere deedar ki mujhe
par kya ek pal tumNe meri yaad mein beetaya hai

Shikayat hai na tujhse,na koi narazgi JEET ko
yehi dastoor hai duniya ka,jo tumNe bhi nibhaya hai....

wah !!! bahut khoob ..

kya karoge hamse shikva tum sanam
tere saath  beeta har lamha hame pyaara hai

chali aandhi waqt ki kuch aise  zindagi mein
doobi wahi kishti  dikha hame jahan  kinaara hai

nibhaate rahe hum duniya ki rasme khamoshi se
nazar ko aaj bhi intzaar tera aur labo per naam tumhara hai

yun hi mil jaayegi ek din yeh hasti meri  mitti mein
sitam ka har lamha hamne hans hans ke gujaara hai!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #7 on: December 12, 2006, 11:26:18 AM »

hmmm......

dekh lete jo palat kar ek bar
har kadam mera tera sath tha

magar,mahroof rahe tum ghairon mein
tann se jaise mann kahin alag tha

kaya him'mat tujh par toh'mat laga du
yeh farz toh hamesha se tumhara tha

hum bas katputli ban kar reh gaye teri
JEET [/color]ki kashti ko,kabhi mila na kinnara tha.....

**written in one flow
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: December 12, 2006, 11:32:17 AM »
Jeet aur Ranju....Bohot khoobsurat hai aap ki yeh poems !! Good ones !!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #9 on: December 12, 2006, 11:39:00 AM »
Quote
dekh lete jo palat kar ek bar
har kadam mera tera sath tha

magar,mahroof rahe tum ghairon mein
tann se jaise mann kahin alag tha

kaya him'mat tujh par toh'mat laga du
yeh farz toh hamesha se tumhara tha

hum bas katputli ban kar reh gaye teri
JEET ki kashti ko,kabhi mila na kinnara tha.....

**written in one flow

wah ji wah ... Usual Smile

yun dikha ke apne tever hame sataaya na karo
hum yahi hai tere dil ke pass kabhi pyaar se bulaya toh karo

hai mohbbat mein ruthana manana bhi ke rasam
kabhi toh mere ruhte hue dil ko manaane tum aaya karo

dil mera najuk hai aur is mein hai ek surat teri
kabhi fursat ho toh do baat hamse bhi kar jaaya karo

yahan har pal doobe hain hum tumhare hi gum mein
yun gharion ke saath naam hamara jod jaaya na karo !! Usual Smile
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #10 on: December 12, 2006, 12:26:03 PM »
Ranju, Jeet

Too good yaar !

Keep it up :D
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #11 on: December 13, 2006, 02:40:25 PM »
Ek nazar toh mujhe dekh saaki
badnaam hu main,benaam nahi

GumSuum hai meri shabb-o-Sehar
Waqt ke hathon par main mohtaj nahi

Tehreer-e-jaffa toh abhi shuru nahi ki tumNe,phir
kayun Sil gaaye hain honth tere kuch kehte kehte

Mujriim hai tere saamne,mitta de mujhe,kar ada haQ Apna
vaffa nibhai hai IShQ mein maine,Jurm yeh toh koi amm nahi.....
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #12 on: December 13, 2006, 02:42:53 PM »
Quote from: "Rajbir"
Ranju, Jeet

Too good yaar !

Keep it up :D

thanks bro for appreciation n encouragement ... Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: December 14, 2006, 02:49:48 AM »
Gumo ki sham ajj phir se ghir aai hai
dard ne likha kuch, ankhon ne kahani dohraai hai

ek sa dard, ahsaas ne alag alag shakal paai hai
ek se ansoo, magar alag alag garmi paai hai

dil doobata hai mera, andhero ne panah paai hai
yaadon se bhara dil, ajj phir bahoot tanhaai hai!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #14 on: December 14, 2006, 04:08:08 AM »
ashk hai inn ankhon ,mein aor nighaa hai raaston pe
hai har fiza khamosh khaadi,aur aah meri sanson mein

laut kar main abb jana nahi,aor dard ki chah hai Mann mein
gar tehreer-e-vaffa yehi hai,maut bhi manjoor intezar mein
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:20:14 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer