Mere Khawabo ka har ek naksh....

by skumar on May 09, 2006, 09:26:46 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1231 times)
skumar
Guest
Mere khawabo ka har ek naksh mita de koi,
Sookhe patto ka bacha dher jla de koi....

Meri pehchan ka ek shaks isi shehr mein hai,
Main bhi jinda hoon jra usko bta de koi...

Kuch to tanhayi ka ehsaas mujhe kam hoga,
Mere saaye se agar mujko mila de koi....

                      -------Mere dil ko chu lene wali lines, pta nahi kisne likhi hai je
                                           shayad aap sab ko bhi achi lage -----
Logged
skumar
Guest
«Reply #1 on: May 20, 2006, 01:23:05 PM »
Hum ney kab uss se milne ka wada chaha
Door reh ker use aur bhi zyada chaha

Yaad aayi khuch aur bhi shiddet se
Bhool jane ka jab bhi irada chaha....
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #2 on: May 20, 2006, 11:32:00 PM »
good one skumar...

behte dariya sagar se milna hi hain
main aur tu kabhi milna hi hain

door pahad mein ek ghar hota
us ghar ke charo oar phool ki raashi

sard hawa ke laali sun'na hain
sone ke phool tujhe haste rehna hain...
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #3 on: May 20, 2006, 11:42:53 PM »
Quote from: "skumar"
Hum ney kab uss se milne ka wada chaha
Door reh ker use aur bhi zyada chaha

Yaad aayi khuch aur bhi shiddet se
Bhool jane ka jab bhi irada chaha....


wah wah wah!! kaya baat hai, bahoot khoob skumar!!
Logged
skumar
Guest
«Reply #4 on: May 21, 2006, 09:56:19 AM »
Quote from: "Pankhuri2"
Quote from: "skumar"
Hum ney kab uss se milne ka wada chaha
Door reh ker use aur bhi zyada chaha

Yaad aayi khuch aur bhi shiddet se
Bhool jane ka jab bhi irada chaha....


wah wah wah!! kaya baat hai, bahoot khoob skumar!!
Bahut bahut shukriya pankhuri ji....
apne bahut acha likha hai....

Tujhe chaha bhi magar izhaar karna na aaya
Kat gai umar magar pyar say khafa hona na aaya
Tum bewafaa ne to mangi hum say judai
Magar hum the ke inkaar karna bhi na aaya..

Bada armaan tha tere saath zindagi bitane ka Shikwa hai bas tere khamosh reh jane ka
Deewangi is se bad kar kya hogi
ke Hume aaj bhi intezaar hai tere aane ka......
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: May 21, 2006, 09:59:42 AM »
GUd Job Skumar ji
Logged
skumar
Guest
«Reply #6 on: May 21, 2006, 10:00:00 AM »
Quote from: "mrkotians"
good one skumar...

behte dariya sagar se milna hi hain
main aur tu kabhi milna hi hain

door pahad mein ek ghar hota
us ghar ke charo oar phool ki raashi

sard hawa ke laali sun'na hain
sone ke phool tujhe haste rehna hain...


shukriya mrkotian ji..... bahut khoob......

Duniya meri haalat se majboor bahut hai
khushiyon se tahi dard se mamoor bahut hai
Aankhon ke ishare,na tabassum,na takkalum
Nazdeek mere ho ke bhi wo door bahut hai...


Chand ki raaton mein sara jahan sota hai,
Lekin kisi ki yadoon mein koi badnaseeb rota hai..
Khuda kisi ko mohabbat pe fida na kare,
Agar kare to kisi ko juda na kare...
Logged
skumar
Guest
«Reply #7 on: June 22, 2006, 03:30:47 AM »
Ek do pal ki jindgi mein tanhayi kyun hai
Logo ko hamse ruswayi kyun hai
Is duniya me insaan kam to nahi
Phir mere saath sirf meri parchayi kyun hai.......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: June 22, 2006, 03:48:25 PM »
very nice...........

parchayi ne kab hamara saath hain nibhaya
aaye jab andhare toh chor gaya apna hi saya
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:57:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer