<>*Mere Khuda*<>

by *KasaK*....Dil Ki on September 15, 2010, 12:09:21 PM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 2498 times)
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
<>*Mere Khuda*<>

Mere Khuda ye kya sitam kiya tune dil pe mere
Tere kahe ko pura kiya fir saza kyun ye pai maine

Jisko apna sab kuch maana use bhi na khush rakh saki
Tu hi bata aisi bhi kya khata ki hai maine

Kyun ye dard ye judaai ye taklif sahe har pal wo
Kyun iss tarah ki zindagi de di use maine

Na pyaar na wafaa na hi khushi ka ek bhi pal
Jab diya sirf dard hi diya hai use maine

Aaj sharm saar hun khudse hi main ee Khuda
Tabhi apni maut k badle uski zindagi mangi maine

Na kar ye sitam k ghut k reh jaun main yun
Apni naadani me ye kya gunaah kar diya maine

Ek hasti khelti bharpur zindagi dede khuda ab use
Barsa de khuda noor apna us par bas yehi manga hai maine




Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mere khuda by waheed_rose2004 in Shayari-e-Parastish
Eh! Mere Khuda! by RoshanShayar in Shayri-E-Dard
Mere Khuda.....!! by Talat in Shayari-e-Parastish
AA KHUDA MERE by megreatpoet in Shayri-E-Dard
Mere Khuda by @kaash in Shayari-e-Parastish
Rancho-D-Idiot
Guest
«Reply #1 on: September 15, 2010, 12:24:00 PM »
bahot hi dard bhara paigam hai yeh aapka...
kuchh hum bhi arz karenge aapke iss dard ko seene se laga ke..


Patha nahi ki zindagi ka safar me kya likha hai,
Kisika milna aur kisika bichhadna likha hai..

Imhtahan lethi hai zindagi har rishte ka,
Kisika juddna to kisika tutna likha hai..

Afsos kabhi na karna youn tut-te rishto ka,
Kunki tumhari kismat me un rishto se behtar,
Sayad kuchh aur likha hai..
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #2 on: September 15, 2010, 12:28:56 PM »
thnx rancho ji for these lines..aapne is dar ko mehsus kiya to dua kijiye k bhagwanji hamari sun lein..

kuch rishte zindagi bhar tutte nahin
paas na hone se wo dil se dur hote nahin

unke sath ruuh se ruuh ka bndhan hota hai
unke dard se aap aachchute rehte nahin

unki tadap aapko har pal tadpati hai
bhale hi aap unse kuch bhi kehte nahin

ye rishte zindagi jine ki wajah hote hain
bhale hi zindagi aap unke sath bitaate nahin........
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #3 on: September 15, 2010, 12:31:28 PM »
Hmmmmmmm.........Aapne dil se likha hai, hum bhi dil se jawab dege.

Apne aap par na itni tohmatein lagaya karo
Yu bevajah dil na hamara dukhaya karo
Kaise keh de ho kitne tum humko aziz
Gam jo bhi sataye humko de jaya karo.....

SG


Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: September 15, 2010, 12:36:24 PM »
Hmmmmmmm.........Aapne dil se likha hai, hum bhi dil se jawab dege.

Apne aap par na itni tohmatein lagaya karo
Yu bevajah dil na hamara dukhaya karo
Kaise keh de ho kitne tum humko aziz
Gam jo bhi sataye humko de jaya karo.....

SG




shukriya ghayal ji...bht apne pan se likha hai aapne...dil se dhanyawad aapka.....

khush rahen ap yunhi muskutrate rahen
na aaye koi gum bas yunhi jagmagatein rahen
bane roshni har jawaan mehfil ki aap
log aapke kalaamon ko sabko gaa gaa k sunaya karen...
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #5 on: September 15, 2010, 12:45:50 PM »
shukriya ghayal ji...bht apne pan se likha hai aapne...dil se dhanyawad aapka.....

khush rahen ap yunhi muskutrate rahen
na aaye koi gum bas yunhi jagmagatein rahen
bane roshni har jawaan mehfil ki aap
log aapke kalaamon ko sabko gaa gaa k sunaya karen...

Aapki duao aur dosti ke kabil to nahi, isiliye Allah ka skhur ada karta hu jo aapne mujhe apna dost samjha..........aapke khoobsurat jawab me jagmagatein lafz se ek khayaal dimag me dauda chala aaya..........aapki tarah khoobsurat nahi likh pata ha aapke sath likhna bohat khushi deta hai.......aap bohat imandari se likhti hai. Aapke lafzo ki masumiyat mujhe bohat pasand hai....

Main jugnu tum raat ho
Main sookha tum barsaat ho
Main phool tum khushboo ho
Main aaina tum rubaroo ho
Main kashti tum kinara ho
Main majboor tum sahara ho
Main paav tum payel ho
Main Kasak tum Ghayel ho
 
Logged
Rancho-D-Idiot
Guest
«Reply #6 on: September 15, 2010, 12:52:58 PM »
bhagvan sunta to sab ki hai par karata apani marji ke mutabik hi hai issliye zindagi ko usake hal pe chhod ke jeena hi sahi mayne me jeena hota hai..

thnx rancho ji for these lines..aapne is dar ko mehsus kiya to dua kijiye k bhagwanji hamari sun lein..

kuch rishte zindagi bhar tutte nahin
paas na hone se wo dil se dur hote nahin

unke sath ruuh se ruuh ka bndhan hota hai
unke dard se aap aachchute rehte nahin

unki tadap aapko har pal tadpati hai
bhale hi aap unse kuch bhi kehte nahin

ye rishte zindagi jine ki wajah hote hain
bhale hi zindagi aap unke sath bitaate nahin........
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #7 on: September 15, 2010, 12:54:24 PM »
Aapki duao aur dosti ke kabil to nahi, isiliye Allah ka skhur ada karta hu jo aapne mujhe apna dost samjha..........aapke khoobsurat jawab me jagmagatein lafz se ek khayaal dimag me dauda chala aaya..........aapki tarah khoobsurat nahi likh pata ha aapke sath likhna bohat khushi deta hai.......aap bohat imandari se likhti hai. Aapke lafzo ki masumiyat mujhe bohat pasand hai....

Main jugnu tum raat ho
Main sookha tum barsaat ho
Main phool tum khushboo ho
Main aaina tum rubaroo ho
Main kashti tum kinara ho
Main majboor tum sahara ho
Main paav tum payel ho
Main Kasak tum Ghayel ho
 


bht bht bht pyara likha hai sajid ji aapne.....kitne khubsurat andaaz me naam ka use kiya hai aapne.....behtareen ji.......
maza aagaya padhke...

aur aap jitna achcha jis din main likhne lagungi.. gr8 ban jaungi....

main Kasak tum Ghayel ho
sach me ekdum pagal ho
log kehte hain bhanwra tumhe
par tum chanchal badal ho....!!!
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #8 on: September 15, 2010, 12:54:56 PM »
bhagvan sunta to sab ki hai par karata apani marji ke mutabik hi hai issliye zindagi ko usake hal pe chhod ke jeena hi sahi mayne me jeena hota hai..


hmmmmm ...rancho ji sahi kehte ho aap
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #9 on: September 15, 2010, 12:58:46 PM »
Kasak Jee aadaab!

Bade shikwe shikayateN ki hai aapne khud ki hi...
Aapki kalam ke khayaal aur ahsaas behad gehre hai daad Jee....

Rancho jee and Ghayal Sahab aap dono ne bhi behad khoob reply kiye hai..... Daad Janab....

Hum bhi kuch likh deN... tongue3          



Kisse bhi humare the dastaaN bhi humari thi
Sunne wale bhi hum the zubaaN bhi humari thi

Kuch fark hi na pada unhe humari barbadi ka
Maal e zar humara tha dukaaN bhi humari thi

Hote raheN "ParwaaZ" Jis hathiyaar se zakhami
Teer bhi humare the woh kamaaN bhi humari thi

          


Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #10 on: September 15, 2010, 12:59:10 PM »
<>*Mere Khuda*<>

Mere Khuda ye kya sitam kiya tune dil pe mere
Tere kahe ko pura kiya fir saza kyun ye pai maine

Jisko apna sab kuch maana use bhi na khush rakh saki
Tu hi bata aisi bhi kya khata ki hai maine

Kyun ye dard ye judaai ye taklif sahe har pal wo
Kyun iss tarah ki zindagi de di use maine

Na pyaar na wafaa na hi khushi ka ek bhi pal
Jab diya sirf dard hi diya hai use maine

Aaj sharm saar hun khudse hi main ee Khuda
Tabhi apni maut k badle uski zindagi mangi maine

Na kar ye sitam k ghut k reh jaun main yun
Apni naadani me ye kya gunaah kar diya maine

Ek hasti khelti bharpur zindagi dede khuda ab use
Barsa de khuda noor apna us par bas yehi manga hai maine





Bahut Bahut Khoob Anuji.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

bas ek guzaarish aapse..koi bhi insaan kisi ke maut ki wajeh nahi ban sakta,yeh sab khuda ke hi haath mein hai..Aapne jinke Liye yeh likha ahi unki zindagi ke liye duayen zaroor maangiye par jhud ko kabhi kasoorvaar naa theharaye.. icon_flower
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: September 15, 2010, 01:03:26 PM »
Aapki duao aur dosti ke kabil to nahi, isiliye Allah ka skhur ada karta hu jo aapne mujhe apna dost samjha..........aapke khoobsurat jawab me jagmagatein lafz se ek khayaal dimag me dauda chala aaya..........aapki tarah khoobsurat nahi likh pata ha aapke sath likhna bohat khushi deta hai.......aap bohat imandari se likhti hai. Aapke lafzo ki masumiyat mujhe bohat pasand hai....

Main jugnu tum raat ho
Main sookha tum barsaat ho
Main phool tum khushboo ho
Main aaina tum rubaroo ho
Main kashti tum kinara ho
Main majboor tum sahara ho
Main paav tum payel ho
Main Kasak tum Ghayel ho
 


Kya Baat Hai sajid Bhai!!!

bahuttttttttt Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #12 on: September 15, 2010, 01:11:55 PM »
bht bht bht pyara likha hai sajid ji aapne.....kitne khubsurat andaaz me naam ka use kiya hai aapne.....behtareen ji.......
maza aagaya padhke...

aur aap jitna achcha jis din main likhne lagungi.. gr8 ban jaungi....

main Kasak tum Ghayel ho
sach me ekdum pagal ho
log kehte hain bhanwra tumhe
par tum chanchal badal ho....!!!

Jo bhavra banu, bano phool tum
Jo khata main karu, bano bhool tum
Jo kaata banu, bano chubhan tum
Jo badal banu, bano Gagan tum
Jo Kasak banu, bano sanam tum
Jo Ghayel banu, bano marham tum...
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #13 on: September 15, 2010, 01:14:18 PM »
Kya Baat Hai sajid Bhai!!!

bahuttttttttt Khoob Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


Shukriyaa.N Khwaish Bhai..........bas Kasak jee ke sath aaj likhna achcha laga.......socha thoda purane andaaz me kuch ho jaye.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #14 on: September 15, 2010, 01:24:01 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

Kia mehfil jami hai... Hum bhi kud jate per abhi hume jana hai..
Kasak jee and Sajid sahab... keep it up hum raat ko aakar join kareNge... :p     

Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:56:41 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.122 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer