<>*Mere Khuda*<>

by *KasaK*....Dil Ki on September 15, 2010, 12:09:21 PM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 2527 times)
Anshumali
Guest
«Reply #15 on: September 15, 2010, 03:15:17 PM »
<>*Mere Khuda*<>

Mere Khuda ye kya sitam kiya tune dil pe mere
Tere kahe ko pura kiya fir saza kyun ye pai maine

Jisko apna sab kuch maana use bhi na khush rakh saki
Tu hi bata aisi bhi kya khata ki hai maine

Kyun ye dard ye judaai ye taklif sahe har pal wo
Kyun iss tarah ki zindagi de di use maine

Na pyaar na wafaa na hi khushi ka ek bhi pal
Jab diya sirf dard hi diya hai use maine

Aaj sharm saar hun khudse hi main ee Khuda
Tabhi apni maut k badle uski zindagi mangi maine

Na kar ye sitam k ghut k reh jaun main yun
Apni naadani me ye kya gunaah kar diya maine

Ek hasti khelti bharpur zindagi dede khuda ab use
Barsa de khuda noor apna us par bas yehi manga hai maine



Kya Khoob Ashaar bayaan kiye hai ....KasaK ji ... bahut umda rahi aapki yeh peshkash...dil se daad...aise hi likhti rahen aage bhi... khush rahen...

duaaon ke saath...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mere khuda by waheed_rose2004 in Shayari-e-Parastish
Eh! Mere Khuda! by RoshanShayar in Shayri-E-Dard
Mere Khuda.....!! by Talat in Shayari-e-Parastish
AA KHUDA MERE by megreatpoet in Shayri-E-Dard
Mere Khuda by @kaash in Shayari-e-Parastish
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #16 on: September 15, 2010, 07:22:15 PM »
Ab Kasak Jee kuch aage kahe to baat aage badhe.........kahi anjaane me koi gustakhi to nahi ho gayee humse.
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #17 on: September 15, 2010, 07:29:05 PM »
Jo bhavra banu, bano phool tum
Jo khata main karu, bano bhool tum
Jo kaata banu, bano chubhan tum
Jo badal banu, bano Gagan tum
Jo Kasak banu, bano sanam tum
Jo Ghayel banu, bano marham tum...


waahhhhh sajid ji kya khubb kaha hai aapne.......
mast style hai ye aapke likhne ka.....

par mujhe abhi to kuch sujh hi nahin raha kasak aur ghayael se....
ok try karti hun...

tut jate hain mahobbat me dil deewanon k
ho jaati hain ruuh tak tab Ghayel unki

bhulne ki koshish me apne dilbar jani ko
KasaK dil ki ban k reh jati hai mahobbat unki
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #18 on: September 15, 2010, 07:41:17 PM »
waahhhhh sajid ji kya khubb kaha hai aapne.......
mast style hai ye aapke likhne ka.....

par mujhe abhi to kuch sujh hi nahin raha kasak aur ghayael se....
ok try karti hun...

tut jate hain mahobbat me dil deewanon k
ho jaati hain ruuh tak tab Ghayel unki

bhulne ki koshish me apne dilbar jani ko
KasaK dil ki ban k reh jati hai mahobbat unki

Kya baat hai kya baat hai hum to ek ek run lete hai aap to seedhe chakka maar deti ho........hahahahaha.

Waise aap Ghayel aur Kasak me na uljhe jo bhi man me aaye likhe jo mere likhe ke jawab sa ho........waise aap ke sath likhna sahi me aasaan nahi hai.....

Ek Kasak si dil me uthi hai

Maut kisi Ghayel ki hui hai

Gam iska nahi ke woh nahi raha

Hai afsos q pass apne zindagi hai....

Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #19 on: September 15, 2010, 07:53:37 PM »
shukriya ji tareef ka..waise bhi mujhe apni tareef sunna aur karna pasand hai ji..jitno chahiye karo bindaasssss....

hai pas zindgi baithi tere
fir bhi kyun maut ka dar hai
jante hain hum ye baat dost
zindagi hai bewafa aur
maut hi sachchi humdard hai
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #20 on: September 15, 2010, 08:03:11 PM »
Kya kehne aapki shayri ke bas thodaaaaaa saaaaa aur rhythm me aa jao, bohat zamane baat Ghayel kisi ke sath itna likh raha hai Yoindia par......

Bas itni si zindagi de maula

Jitni haskar guzar ho jaye

Unki godh me ho sar mera

Aur khatm Ghayel ka safar ho jaye....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #21 on: September 15, 2010, 08:13:05 PM »
wowwwwwwwwwwwwww
mastammmmmmmm'


yehi tamanna to ab meri bhi hai
teri baahon me mujhe panaah mil jaye
sir ho mera tere seene pe aur
aankh hamesha k liye band ho jaye
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #22 on: September 15, 2010, 08:25:58 PM »
Aa apni baho me chupa lu tujhko

Tere gamo se chura lu tujhko

Hai meri bandagi ka bas yeh shauk

Umr sari main Dua du tujhko..
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #23 on: September 15, 2010, 08:27:31 PM »
meri duaon me tum ho shamil
aaj ye main bata dun tujhko

tujhe hi manga hai humdum maine
aaja ruuh me basa lum tujhko
Logged
dead heart
Guest
«Reply #24 on: September 15, 2010, 08:33:13 PM »
Anamika di, bahaut khoob..Original nazm aur baki kay shaer kay liye dil se daad..

Rancho jee aur Parwaaz khubsoorat lines likhi hai apne..

Ghayel jee, apke kya kehne..sabko pata hai kay ap kitna acha likte ho..dil se daad..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #25 on: September 15, 2010, 08:39:37 PM »
Tujhko apni saso me basaya hai

Mujhme wajood tera samaya hai

Kitna gareeb tha main aaj se pehle

Tujhko paya mano jaha paya hai.....
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #26 on: September 15, 2010, 08:43:58 PM »
Anamika di, bahaut khoob..Original nazm aur baki kay shaer kay liye dil se daad..

Rancho jee aur Parwaaz khubsoorat lines likhi hai apne..

Ghayel jee, apke kya kehne..sabko pata hai kay ap kitna acha likte ho..dil se daad..

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

shukriya bhai.....pasand karne k liye....bas dil k dard ko zubaan mil jati hai likhne se to likh lete hain..warna to aap sab itna achcha likhte hain k khud ka kahin naam bhi nazar nahin aata......
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #27 on: September 15, 2010, 08:46:58 PM »
mere diye dard se to tu anjana hai
abhi to tune sirf mera pyaar paya hai

kuch waqt gazar jane de fir kahega
tujhe paa k maine apna sukun ganwaya hai
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #28 on: September 15, 2010, 08:49:07 PM »
Kya Khoob Ashaar bayaan kiye hai ....KasaK ji ... bahut umda rahi aapki yeh peshkash...dil se daad...aise hi likhti rahen aage bhi... khush rahen...

duaaon ke saath...

shukriya naresh ji....aur main koshish karungi k main achch alikhti rahu k sabko pasand aaye....
Logged
Sajid_Ghayel
Guest
«Reply #29 on: September 15, 2010, 08:58:08 PM »
Na ho jo gham khushi ki ehmiyat kya hai

Na ho jo mushkiley manzil ki haisiyat kya hai

Mukammal nahi yaha koi insaa.N

Na ho takraar jisme woh mohabbat kya hai...
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 08:52:20 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer