Mere Khuloos Ko Koi Naam Na Do

by javedarshad on April 26, 2012, 09:51:04 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1494 times)
javedarshad
Guest
Mere khuloos ko koi naam na do
kuin keh
Ikhlaas ke daire itne wasi hoote hain
In mein samana her bazarf ki baat nahin
Aur aazmaish mein
Main bahut choota lagne lagta hai

Her aik ke khuloos ke paimaane
Apne apne zarf ke mutabiq hoote hain
aur jab
Zarf ko meraaj ke paimane se  naapta hun
To bahut choota lagne lagta hun

Is ibnulwaqt,anaaparast,khud sanaash
Aur zoom se pur takalluf zamane mein
Jab khud ko aaine mein dekhta hun
To bahut choota lagne lagta hun

Main itna mudabbir aur zamana shanas nahin
Keh khuloos ko parakh ki saij per saja sakoon
Isliye
Mere khuloos ko koi naam na do

javed
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mere naam kar do~!~!~!~ by nice_off_me in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Khuloos by javedarshad in Shayri for Khumar -e- Ishq
toot te khuloos ka manzar dekho by sunildehgawani in Miscellaneous Shayri
lab pe mere naam tera by saahill in Ghazals
Mere Dushman Ka Khuloos by asma zehra in Miscellaneous Shayri
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #1 on: April 27, 2012, 03:07:00 AM »
acha hai janab
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #2 on: April 27, 2012, 03:43:14 AM »
Waah waah
ApplauseApplauseApplause
ApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: April 27, 2012, 09:18:43 AM »
 Applause Applause
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #4 on: April 27, 2012, 06:51:02 PM »
tx
 sahil sb




javed
Logged
sbechain
Guest
«Reply #5 on: April 27, 2012, 06:56:46 PM »
Mere khuloos ko koi naam na do
kuin keh
Ikhlaas ke daire itne wasi hoote hain
In mein samana her bazarf ki baat nahin
Aur aazmaish mein
Main bahut choota lagne lagta hai

Her aik ke khuloos ke paimaane
Apne apne zarf ke mutabiq hoote hain
aur jab
Zarf ko meraaj ke paimane se  naapta hun
To bahut choota lagne lagta hun

Is ibnulwaqt,anaaparast,khud sanaash
Aur zoom se pur takalluf zamane mein
Jab khud ko aaine mein dekhta hun
To bahut choota lagne lagta hun

Main itna mudabbir aur zamana shanas nahin
Keh khuloos ko parakh ki saij per saja sakoon
Isliye
Mere khuloos ko koi naam na do

javed


javed sahab,

  as salaam alaikum,
   janaab aap ne ikhlaas ko bakoobi bayaan kiya hai. per iski gahraai kisi kisi ko hi samajh aaye gi.
bahut bahut khoob..

 doa go sheba
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #6 on: April 27, 2012, 09:18:28 PM »
tx
masoom aur saini sb



javed
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #7 on: April 28, 2012, 12:27:46 PM »
Sheba ji
aap ne bilkul sahi fermaya

ia lahasil zamane mein aik bhi samajh gaya to humne apni kawish ke maqsad ko paliya
shukria

javed
Logged
iAdmin
Administrator
Yoindian Shayar
*****

Rau: 14
Offline Offline

Waqt Bitaya:
49 days, 23 hours and 12 minutes.

Posts: 3125
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #8 on: April 30, 2012, 06:56:42 AM »
Congratulations..

This work has been featured in Yoindia Shayariadab April 2012 newsletter. You may read more about it HERE.

Logged
javedarshad
Guest
«Reply #9 on: May 01, 2012, 11:08:53 AM »
tx








javed
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #10 on: May 03, 2012, 01:59:10 AM »
Bahut   khubsurat   aur   haqeeqat    per    mabni   
nazm   hai  ,  Jawed  bhai . Bahut   bahut   mubarakbad 
aur   daad  .  Khuda   aapko  khush   rakhhe. HASAN
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #11 on: May 03, 2012, 06:45:49 PM »
Bahut   khubsurat   aur   haqeeqat    per    mabni   
nazm   hai  ,  Jawed  bhai . Bahut   bahut   mubarakbad 
aur   daad  .  Khuda   aapko  khush   rakhhe. HASAN



Hasan Sb

nawazish aap ki


javed
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 04:20:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer