Mere Maut Ki Dua.....

by Alam Qazi on February 02, 2011, 07:06:06 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 5068 times)
Alam Qazi
Guest

Maine Dekha Tha Jo Khwaab, Wo Khwaab Hi Reh Gyaa
Hakikat Ka Rang Dene Ko, Dil Betaab Hi Reh Gyaa,

Hazaro'n Khwahishei'n Aisi Thi, Jo Khwahish Hi Reh Gayee
Laakho Aarzoo'n Ka Qatl, Mai Karta Chalaa Gyaa,

Tasveer Ki Shakl Mein, Kabhi Banee Thee, Ek Gazal
Wo Aks Mere Zehan Se, Dhuwa'n Banke Ud Gyaa,

Dard-O-Gham Se Na Tha, Mera Kabhi Bhi Waasta
Par Ab Dard Hi Mera, Aur Mai Dard Ka Ho Gyaa,

Dua Ko Hath Jab Uthe, Tou Khali Hi Reh Gaye
Ki Mere Maut Ki Dua, Mujhe Koi Aur De Gyaa,

Jise Dhundte Ho Tum, Jiski Hai Tumhein Talash
Wo Maut Ko Odhkar, Zamee'n Mein So Gyaa......

___________Alam
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #1 on: February 02, 2011, 07:25:28 PM »

Alam Qazi Ji ! aapki iss tehreer ke bhi sabhi ashaar dil ko chhuu gaye ... bahut umdaa soch ke saath likhaa hai aapne ... bahut gehraai hai .. asardaar adaayegi .. aapki shayri meN nazar aati hai .. dil se daad ... aise hi likhte rahen aage bhi ... khush rahen ... !

duaaon ke saath ... !
Logged
dead heart
Guest
«Reply #2 on: February 02, 2011, 09:11:51 PM »
'Par ab dard hi mera aur main dard ka hogaya'

Khoob Alam Sahab..
Bahaut bahaut khoob..
Yunhi likhte rahiye..
Khush rahiye..!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #3 on: February 06, 2011, 12:24:29 PM »
Bahut Khub Alam Ji
U Hi Likhte Rahiye
Aur Humesha Khush Rahiye Applause Applause
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:32:05 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.117 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer