**~Mere Naseeb Me Bhi Tu Pyaar Likhde~**

by *~*Pakeezah Aanchal*~* on March 24, 2007, 09:34:59 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2341 times)
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
Pesh hai mera ek purana kalaam,

Aksar mohabbat me hum dhoka khaate hain...lekin phir bhi mohabbat se bharosa kabhi nahi uthta hai...hum bhale hi kahein ke hamein pyar ki ab koi umeed nahi..koi zarurat nahi...lekin dil janta hai hamara ke hum ek sacchi mohabbat ke liye kitna taraste hain aaj bhi...jabbhi kisiko pyaar me hasta dekhte hain toh man chahta hai ke hum kyu nahi hain uski jagah..kyu hame pyaar se mehroom rakkha hai....din raat yahi dua karte hain ke aye khuda mere naseeb bhi tu pyaar likhde!mere naseeb me bhi tu pyaar likhde!!
------------------------------------------------------------------------------------

Mere dil ko har pal bas tera hi intezaar hai
Bada hi mushkil aye yaar ye jazba-e-pyaar hai

Kya bataun tum bin kaise katte hain pal mere
Tere wajood se hi jaan mera sabr-o-karaar hai

Kitna tarasti hain nigaahein tere deedaar ko
Teri furqat mei behte ye ashq bhi aabshaar hai

Dast uthaye jabbhi khuda se tujhko hi manga
Mere jism-o-jaan pe bas teraa hii ikhtiyaar hai

Accha nahi hai kisiko yun har ghadi tarsaana
Aa bhi jao ab ki tumbin zindagi badi bezaar hai

Mar na jaaye kahin raah tak tak ke "farhana"
Is akelepan ke saaye me jiina ab dushwaar hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
MERE NASEEB ME by jochahohojayein in Shayri-E-Dard
Judaai Mere Naseeb Mein Thi,.. by Azeem Azaad in Shayri for Dard -e- Judai
Mere Naseeb ke Khel,.. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard
uska gham mere naseeb by rubyali in Shayri-E-Dard
Yahi Mere Naseeb The,. by Azeem Azaad in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: March 24, 2007, 10:17:45 AM »
Farhana

Bahut khoob !

Aage bhi aise he achcha achcha likhte rahiye !
Logged
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
«Reply #2 on: March 24, 2007, 10:34:38 AM »
aap yuhin saath dete rahiyega aur hum yuhin accha accha likhte rahenge Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: March 24, 2007, 10:28:40 PM »
Bohot khoob Farhana ...very nice .... Usual Smile

Jis raah pe tum humko tanha chorh ke the chale gaye
Sadiyaan beeti hum usi rehguzar pe khade reh gaye

Intezaar ka yeh karb ek umar se seh rahe hain hum
Dil rota rehta hai par ashk aankhon se khushq ho gaye
Logged
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
«Reply #4 on: March 25, 2007, 09:20:35 AM »
waah talat..bahaut khoob aapne saath diya hai Usual Smile
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #5 on: March 25, 2007, 02:39:12 PM »
Waaah bohat hi khoob likha hai aapne :D mindblowing.
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: March 25, 2007, 05:13:26 PM »
Thanks Farhana Usual Smile
Logged
Pushkar_singh
Shayarana Mizaaj
**

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
47 minutes.
Posts: 87
Member Since: Jan 2007


View Profile
«Reply #7 on: March 25, 2007, 08:19:03 PM »
Bahut khoob farhana ji....!!!
Har ek lafaz dil ko chhu gaya....!!!bahut badhiya...!!!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: March 26, 2007, 03:15:23 AM »
Bohat khoob Farhana & Talat....
Logged
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
«Reply #9 on: March 26, 2007, 05:31:19 AM »
shukriya nidhi..yuhin saath deti rahiyega Usual Smile
Logged
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
«Reply #10 on: March 26, 2007, 05:32:10 AM »
shukriya pushkar sahab..aage bhi aate rahiyega Usual Smile
Logged
*~*Pakeezah Aanchal*~*
Guest
«Reply #11 on: March 26, 2007, 05:32:33 AM »
shukriya aryaan Usual Smile
Logged
hashmat
Guest
«Reply #12 on: June 27, 2007, 11:17:21 AM »
Farhanaji.........
Pyaar ki sacchaai aur jhuthapan judge karne waale hum kaun hote hain, nazar me hi hota hai pyaar. Pyaar hai to kisi ki berukhi, berahmi aur beganapan bhi bahut pyaara lagta hai aur agar nahi hai to koi jaan bhi de jaaye to paagalpan lagta hai. Logon se rashk khaane ke bajaaye kabhi khud ko kisi aur ki nazar se dekhiyega, jo aap ke liye kam hai, woh kisi aur ke liye  shayad kisi kuber ke khazaane ke baraabar hoga

Khush Rahne ki koshish kijiye
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #13 on: June 27, 2007, 12:15:57 PM »
Bahoot Acche Sabne Kamaal Ka Likha hai
Logged
NETRAPAL
Guest
«Reply #14 on: June 27, 2007, 12:27:18 PM »
Quote from: "*~*Pakeezah Aanchal*~*"
Pesh hai mera ek purana kalaam,

Aksar mohabbat me hum dhoka khaate hain...lekin phir bhi mohabbat se bharosa kabhi nahi uthta hai...hum bhale hi kahein ke hamein pyar ki ab koi umeed nahi..koi zarurat nahi...lekin dil janta hai hamara ke hum ek sacchi mohabbat ke liye kitna taraste hain aaj bhi...jabbhi kisiko pyaar me hasta dekhte hain toh man chahta hai ke hum kyu nahi hain uski jagah..kyu hame pyaar se mehroom rakkha hai....din raat yahi dua karte hain ke aye khuda mere naseeb bhi tu pyaar likhde!mere naseeb me bhi tu pyaar likhde!!
------------------------------------------------------------------------------------

Mere dil ko har pal bas tera hi intezaar hai
Bada hi mushkil aye yaar ye jazba-e-pyaar hai

Kya bataun tum bin kaise katte hain pal mere
Tere wajood se hi jaan mera sabr-o-karaar hai

Kitna tarasti hain nigaahein tere deedaar ko
Teri furqat mei behte ye ashq bhi aabshaar hai

Dast uthaye jabbhi khuda se tujhko hi manga
Mere jism-o-jaan pe bas teraa hii ikhtiyaar hai

Accha nahi hai kisiko yun har ghadi tarsaana
Aa bhi jao ab ki tumbin zindagi badi bezaar hai

Mar na jaaye kahin raah tak tak ke "farhana"
Is akelepan ke saaye me jiina ab dushwaar hai


abhi padha hai aapko bhoot acha likha hai aapne
netra....
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:39:00 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer