Kabhi to ye behad apne lagte hain, kabhi ye sirf sapne lagte hain
neend aati hai to daur kar aa jaate hain ye sapne
subaha hote hi sharma kar kahin chhup jaate hain ye sapne
kaali andheri raaton ko meri rangeen kar jaate hain ye sapne
din gujarne ka koi maqsad de jaate hain ye sapne
har raat rang badal kar aate hain ye sapne
jeene ki koi nai wajah de jaate hain ye sapne
kehne ko hain ye hamsafar raaton ke magar
khayalon me har pal saath rehte hain ye sapne
naa koi rishta hai na naam inka, phir bhi
duniya ke tamaam rishton se jiyada saath nib.haate hain ye sapne
kahin ikSaar to kahi juda hain ye unse, jinhe ham,
kabhi hans ke to kabhi, mazboori me kehte hain apne
har roz, har pal rang badalte hain wo
jo rishte mei kuch na kuch lagte hai apne
waade karte hain janmo tak saath nibhane ka, lekin
kisi bhi pal hame akela chhor jaate hain wo apne
koi waada koi kasam nahi hai khai in ne magar
har raat wo aayenge, subah hote he chale jaayenge,
apne usulon ke itne pakke hain ye sapne
jab sada ke liye band ho jaayengi ye aankhen
nahi maloom tab kahan honge ye sapne, magar,
itna yakeen hai ke aankhon band hone tak,
band hoti in aankhon me, har raat aayenge ye sapne
inhe bhi khauf hai shaayad, meri tarah zamane ka
bheer me neend ke saath hi chale jaate hain ye sapne
raaton ki tanhai hain inhe bhi meri tarah pyari, shayad
akela mujhe paa kar, neend ke saath chale aate hain ye sapne
bahut diya hain sapno ne mujhe umr bhar yaa rub
mujhe bhi kuchh inke liye karne ka mauka dena
jab bhi koi toot.ta ho zindagi ki ummeedon se,
use bhi jeene ki koi wajaha zaroor dena,
na bachi ho saanse gar uski zindagi ke khaate me
kuchh aur na bane to,
mujhe hi us ki aankh ka ek sapna bana dena
mujhe hi us ki aankh ka ek sapna bana dena
AAMIN
[/shadow][/b][/size][/font][/color]