Meri Barbadi Ka Sabab Mat Pucho.

by majid on May 16, 2008, 12:48:43 PM
Pages: [1] 2 3  All
Print
Author  (Read 4834 times)
majid
Guest
Zindagi Ko bus Yun Hi Guzar Baitha Hoon
Ha Har Khushi Se Aaj Anjaan Baitha Hoon.
 
Har Dar Se Lauta Hoon Aaj Na Umeed Hokar
Ki Har Rishtey Ko Aaj Pehchan Baitha Hoon.

Aankh Yun To Meri Bhi Num Hai Aaj Yahan.
Fir Bhi Hothon Pe Muskan Sajaaye Baitha Hoon.
 
Yun Mehfilo Main Meri Barbadi Ka Sabab Mat Puchho
Kahin Apno Ke Naam Dil Main Chhupaaye Baitha Hoon.

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Meri Barbadi Ki Daastan Sunane Se Pehle..................... by waheed_rose2004 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Meri Barbadi........Rishi by Rishi Agarwal in Shayri for Dard -e- Judai
meri barbadi ka jasn by mkv in Share:Poetry of Betrayel
~princess~
Guest
«Reply #1 on: May 16, 2008, 12:51:19 PM »
toooo guddddddddddd
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #2 on: May 16, 2008, 12:52:39 PM »
Superbbbbbbbbbbb Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2008, 12:59:32 PM »

Iss zindagi ko ashkon men na naha, -
Khushiyon ki talaash ka saaman paida kar, -
Rishte hain anek par mayusi men na dhalja, -
Ek dar phir bhi sadaaon se hai khulta. -


(Syed Naami)

-=-=-=-=-=-=-=-=-=-=-
Cheer up, wonderful and so deep touched feelings.
Bravo!!
Logged
baadal102
Guest
«Reply #4 on: May 16, 2008, 05:04:38 PM »
bahoot khoob shihab ji  Applause






Baadal
Logged
punam
Guest
«Reply #5 on: May 16, 2008, 09:26:15 PM »
wow bahot khoob likha aap ne shihab ji...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #6 on: May 16, 2008, 09:56:49 PM »
Bahut acche shihab ji.....


Kabhi dil pe kabhi daman be daag lagte hain,
Vaada-e-ishq toh bas jaise khwab lagte hain,
Badi shiddat se hum ulfat nibhaye jaate hain,
Phir bhi dur wo mujhse janaab lagte hain....
Logged
k.shael
Guest
«Reply #7 on: May 17, 2008, 08:41:34 AM »
EXCELLENT WORK, Applause
SAHIHAB JI....
KEEP GOOD WORKING....
BY. K.SHAEL
Logged
syednaami
Guest
«Reply #8 on: May 17, 2008, 12:26:00 PM »
Bohat Bohat Shukariya Aap Sab Ka

Puanm Ji.


Oye thanks baad men par Punam ka naam to thheek likh. Itni jaldi bhi kya hai?   DOH
Logged
thycreator
Guest
«Reply #9 on: May 17, 2008, 10:44:07 PM »
Bohat Bohat Shukariya Aap Sab Ka

Roshni.

Big B.

Sayid Bhai.

Badal Ji.

Puanm Ji.

And thycreator Ji.

Bohat Pyaar Likha Hai Aap Ne
Sayid Bhai Aur thycreator ji...
Hum Baad Me Rep Denge

Thanks a lot Shihab ji..........jawab ka intezaar rahega hame...tongue3

Meri barbadiyon ka jashn dunia mananye jaati hai,
Mere kisso ka luft wo ba-shaukh utaye jaati hai,
Hum bhi badi shiddat se bayan kar dete hai apne gum,
Mere aansson se hi sahi, kissi ko toh hansi aati hai...
Logged
Roja
Guest
«Reply #10 on: May 18, 2008, 05:15:46 AM »
Zindagi Ko bus Yun Hi Guzar Baitha Hoon
Ha Har Khushi Se Aaj Anjaan Baitha Hoon.
 
Har Dar Se Lauta Hoon Aaj Na Umeed Hokar
Ki Har Rishtey Ko Aaj Pehchan Baitha Hoon.

Aankh Yun To Meri Bhi Num Hai Aaj Yahan.
Fir Bhi Hothon Pe Muskan Sajaaye Baitha Hoon.
 
Yun Mehfilo Main Meri Barbadi Ka Sabab Mat Puchho
Kahin Apno Ke Naam Dil Main Chhupaaye Baitha Hoon.



Wow lajawab... daad hazir hai Majid bhai.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #11 on: May 18, 2008, 06:41:30 AM »
sorry bhai achanak kaam aa gaya so
jaldi jaldi main ho gaya....

Achha kya warna daant padti... khush raho Shihab baba  Thumbs UP
Logged
natural
Guest
«Reply #12 on: May 18, 2008, 06:45:51 AM »
Zindagi Ko bus Yun Hi Guzar Baitha Hoon
Ha Har Khushi Se Aaj Anjaan Baitha Hoon.
 
Har Dar Se Lauta Hoon Aaj Na Umeed Hokar
Ki Har Rishtey Ko Aaj Pehchan Baitha Hoon.

Aankh Yun To Meri Bhi Num Hai Aaj Yahan.
Fir Bhi Hothon Pe Muskan Sajaaye Baitha Hoon.
 
Yun Mehfilo Main Meri Barbadi Ka Sabab Mat Puchho
Kahin Apno Ke Naam Dil Main Chhupaaye Baitha Hoon.


Bahut achha likha hai Shihab.... really touching lines.. Usual Smile
Logged
syednaami
Guest
«Reply #13 on: May 18, 2008, 07:25:33 AM »
Quote from: Shihab
Jin Pe Kiya Tha Bharosa Wo Log Badal Gaye Hai.
Mere Saare Khwab Mere Mann Main Hi Toot Gaye Hai.
Aaj Bhi Khada Wahi Khda Hoon Jahan Kal Khada Tha
Bus Kuch Raastey Hain Jo Anjaan Se Ban Gaye Hai.

Kissi ne kaha bharosa tum ne khud hi toda hai, -
Jin khwaabon se banaate the pyar ka mahal, -
Ussi mahal ko rait par ab banana hai ghalat, -
Rishta ab bhi hain magar naam badal chuka hai. -


(Syed Naami)
Logged
~princess~
Guest
«Reply #14 on: May 18, 2008, 09:34:15 AM »
Yeh lo Majid sahab...Apke liye phir se Likhna shuru kiya humesha rote ho na..reply nai karti hu MODIFIED hai but kuch to hia na..khush raho hehe tongue3




Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko
Apni Nazron Mai Basa Kar Na Giraana Mujhko

Tum ko Aankho Mai Tasavoor Ki Tarah Rakhti Hoon
Dil Mai Dhadkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujhko

Ek rishte mein basi hai Puri kaynaat meri
Is Kayanat se dur na lejana Mujhko

Baat Karne Main jo Mushkil ho Tumhein Mehfil Mein
Main Samajh Jaaongi Nazron Se Bataana Mujhko

Humne jal jal ke Zindagi guzari hai humdam
Hawa dekar phir se na Jalana Mujhko

Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho
Khwab Pura jo na ho wo na Dikhana Mujhko

Apne Rishte ki Nazaakat ka Bharam Rakhlena
Main to poojti hu tumhe..Diwani na banana Mujhko

Dil liya hai to sambhal karna nazuk saugat ko
Kadmo tale ronk kar na chod jana Mujhko

Bada Mushkil hota hai Bahon mein bhikarke sambhalna
Apna banaliya to beech rah mein na tukhrana Mujhko

Muflisi ke Zamane mein bhi khushiyan Thi tere sang
Shaan-O-Saukat pa kar Tanhai se na sajana Mujhko

Modified

Logged
Pages: [1] 2 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 23, 2025, 10:30:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.116 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer