Meri chahat

by Pooja on August 27, 2004, 03:19:41 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 3356 times)
Pooja
Guest
«Reply #30 on: September 27, 2005, 04:41:46 PM »
nice lines Walee!!!

Meri chahat ne kitna muje sataya hai
sath nahi deta, mera khud ka jo saya hai
Duniya se larr kar, jab khud se mai larrati hu
kaise kahun, kin kin baato se mai darati hu
wo na ayye to khud ka kaya karugi mai
yahin soch kar ab, pal pal marugi main!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri chahat by shoz_soom in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Meri Chahat by anjali.sharma in Shayri for Dard -e- Judai
meri chahat by tabassum shakeel in Shayri for Khumar -e- Ishq
--- MERI CHAHAT --- by Jiya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Meri chahat... by punam in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Aryaan
Guest
«Reply #31 on: September 27, 2005, 05:52:19 PM »
Good One Pooja.....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: September 27, 2005, 05:54:26 PM »
Shukariyan Aryaan, app kuch likh kar nahi gai!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #33 on: September 27, 2005, 06:03:11 PM »
arz hai..

Tum aa kar bas jana mere khwaabon mein
Aur main hamesha sota rahoon ga...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #34 on: September 27, 2005, 06:06:15 PM »
Good one Aryaan!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #35 on: September 27, 2005, 09:12:27 PM »
Bohat shukriya Pooja...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #36 on: September 28, 2005, 04:34:02 PM »
Ulfat ka jab kisi ne liya naam ro pade
Apni wafa ka soch kar anzaam ro pade

Rona naseeb mein hai tu ouro se kya gila
Kudh sir liya ilzaam aor ro pade!!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #37 on: September 29, 2005, 03:15:11 AM »
Bohat khoob Pooja...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #38 on: September 29, 2005, 06:27:31 PM »
Tapish mere ansuu ki, dil ki agg ko dahkaati hai
jo na kabhi luat kar ayye, kayun aise ki yaad dilaati hai!!!
Logged
Ladke_hain_duffer
Guest
«Reply #39 on: September 30, 2005, 03:35:11 PM »
wah pooja kamal kitha tussi .... main bhi kuch likhti hun umeed sabko pasadn aaye!!

Chaha tu bahut tha lekin wo mila hi nahi,  
Laakh koshish ki mager yeh dil manta hi nahi,  
Na jany zamane ne majboor iss qader ker diya,  
Ke wo meri kisi sada pay thera hi nahi,  
Meri tamam ter koshisho ke bawajoud haar gai,  
Wo usse mil gya jis ne iss ko manga hi nahi,  
Her ik se poucha tere na milne ka sabub,  
Her ik ne kaha wo tere liye bana hi nahi,  
Itni shiddat se chaha tha us ko,  
Is duniya mein shayed wafa ka sila hi nahi
Logged
Pooja
Guest
«Reply #40 on: September 30, 2005, 03:48:35 PM »
wah!! kaya baat hai LHD!!! Bahoot hi acha likha hai apne!!!!
Logged
walee
Guest
«Reply #41 on: September 30, 2005, 04:39:34 PM »
V WELL DONE LHD AND POOJA G....

OPE U GUYZ CONSIDER IT WORTH LIKNESS...


PEHLAY SITAM  HUA,  AB  GHAZAB  HUA HOGA
NA  JAANE  AAJ  WAHAN  KYA  KYA HUA HOGA

PEHLAY TO SIRF BAATO K NASHTARR CHALTAY THAY
AB  YAKEENAN  KISI  KA  SARR  KALM  HUA  HOGA

NA HO AITBAAR TO BANN JAATI HAI ZINDAGI AZAAB
KYA KHABAR KAB USSE IS BAAT SE IKRAR HUA HOGA

ANGAARO PE LOTNAY SE KAM NAHI HAI KEHR-E-JUDAAI
UN NAMM AANKHO KO SHIDDAT SE YEH IHSAAS HUA HOGA

JAB TOOTA HO GA DIL KISI KA, JAB JAZBAAT KO ZARRB LAGI HO GI
ROOH KAAMP UTHI HO GI, DHADKANO KA AJAB HAAL HUA HOGA

-----------------------BHAIDI----------------------------------
Logged
Pooja
Guest
«Reply #42 on: September 30, 2005, 07:21:34 PM »
thanks walee!!
bahoot hi khoobsoorat alfaaz istemaal kiye hai apne!! bahoot khoob!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: December 08, 2005, 04:23:46 PM »
Meri chahat wo rang le aai
Judai, ab lagati nahi judai
her taraf wo hi to rahta hai
nahi wo ab kisi ka, hardum yah mujse kahta hai

Tasveer uski wahin ki wahin thahri hai
beet gai saalo saal, jeevan ki raftaar kab thahri hai
Tum to chale gai kab ke, meri zindagi wahin ki wahin thahri hai!!
Duniya ki samjh mai, apni muhabbat ajj bhi paheli hai!!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #44 on: August 28, 2007, 07:30:17 PM »
Quote from: "Ladke_hain_duffer"
wah pooja kamal kitha tussi .... main bhi kuch likhti hun umeed sabko pasadn aaye!!

Chaha tu bahut tha lekin wo mila hi nahi,  
Laakh koshish ki mager yeh dil manta hi nahi,  
Na jany zamane ne majboor iss qader ker diya,  
Ke wo meri kisi sada pay thera hi nahi,  
Meri tamam ter koshisho ke bawajoud haar gai,  
Wo usse mil gya jis ne iss ko manga hi nahi,  
Her ik se poucha tere na milne ka sabub,  
Her ik ne kaha wo tere liye bana hi nahi,  
Itni shiddat se chaha tha us ko,  
Is duniya mein shayed wafa ka sila hi nahi



Wafa per ab aitbaar nahi
Kah nahi sakti magar
Ki us se ab pyar nahi

Uski bewafai per
Ab yah dil gum-o-saar nahi
Is dil ko magar kahin karar nahi

Na pahunchi koi sada us tak meri
Bedard insaan ko, kyun mujhse pyar nahi

Mil gai usko jo manjil usne chahi
Mere liye hi bachi koi raah nahi.......
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:22:06 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer