----- /// Meri fariyaad ///-----

by klaskar on May 01, 2010, 12:10:18 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2583 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW

na main rishtey maangta hoon, na koi bandhan maangta hoon,
ab to main bas kisi apne ka thoda sa apnaapan maangta hoon,

na kisi dard ki dawa maangta hoon, na main muskaan maangta hoon,
ab to main bas kisi hamsafar ki thodi si wafaa maangta hoon,

na main chaand mangta hoon, na main chaandni maangta hoon,
andheri raat me kisi chiraag ki thodi si roshni maangta hoon,

na main nadi maangta hoon, na main samundar maangta hoon,
bas apni pyaas bujhaane k liye do boond paani maangta hoon,

na main mohabbat maangta hoon, na main chaahat mangta hoon,
main apne liye kisi apne ka kuch pal ka saath mangta hoon,

na to jannat maangta hoon, na ye jahaan maangta hoon,
bas kuch sukoon ki saanse tujhse mere khuda maangta hoon,

maanga to bahut kuch tha tujhse, par kuch bhi na de saka tu,
yahi wajah hai ki ab main tujhse bahut kam maangta hoon,

agar tu ab bhi meri fariyaad poori na kar sake, to zaraa ye sun le,
main tujhse apni kabar k liye do gaz zameen maangta hoon,

kya wajah ho mere jeene ki agar mere paas mera maanga kuch na ho,
ae khuda tabhi main aaj tujhse bas apni maut ki bheek maangta hoon...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Fariyaad by Sonu in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
fariyaad......... by Ninaah in Shayri for Dard -e- Judai
Fariyaad by aishwarya in Shayri-E-Dard
Fariyaad by jitesh in Gujarati
FARIYAAD............(K_A) by khamosh_aawaaz in Shairy-E-Watan
neelgold
Guest
«Reply #1 on: May 01, 2010, 12:18:29 AM »

...........

Its so beautiful...........so sososososo Good!!!!!!!!!!!!!!

Its vry vry gud creation ........... GUd Work keep it up !!!!!!
its vry painful though.............

Kush reho ........I jst vana dis ............


na main rishtey maangta hoon, na koi bandhan maangta hoon,
ab to main bas kisi apne ka thoda sa apnaapan maangta hoon,

na kisi dard ki dawa maangta hoon, na main muskaan maangta hoon,
ab to main bas kisi hamsafar ki thodi si wafaa maangta hoon,

na main chaand mangta hoon, na main chaandni maangta hoon,
andheri raat me kisi chiraag ki thodi si roshni maangta hoon,

na main nadi maangta hoon, na main samundar maangta hoon,
bas apni pyaas bujhaane k liye do boond paani maangta hoon,

na main mohabbat maangta hoon, na main chaahat mangta hoon,
main apne liye kisi apne ka kuch pal ka saath mangta hoon,

na to jannat maangta hoon, na ye jahaan maangta hoon,
bas kuch sukoon ki saanse tujhse mere khuda maangta hoon,

maanga to bahut kuch tha tujhse, par kuch bhi na de saka tu,
yahi wajah hai ki ab main tujhse bahut kam maangta hoon,

agar tu ab bhi meri fariyaad poori na kar sake, to zaraa ye sun le,
main tujhse apni kabar k liye do gaz zameen maangta hoon,

kya wajah ho mere jeene ki agar mere paas mera maanga kuch na ho,
ae khuda tabhi main aaj tujhse bas apni maut ki bheek maangta hoon...
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #2 on: May 01, 2010, 10:51:27 AM »
wah neel ji wah bahut khoob likha aapne ki
thoda hai thode ki zarurat hai.
 Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower
Logged
neelgold
Guest
«Reply #3 on: May 01, 2010, 01:55:23 PM »
Suresh Ji voh kethe hai na ki

Kabhi kissi ko mukmbal jaha nahi milta
Kahi Jameen Kahi asmaan nahi milta !!!!

SONG
wah neel ji wah bahut khoob likha aapne ki
thoda hai thode ki zarurat hai.
 Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower

Logged
riyaz106
Guest
«Reply #4 on: May 01, 2010, 06:09:49 PM »
Bahot achhi poem likhi hai Kapil ji. Bade saleeqe se aapne ALMIGHTY se apni tamannao ka izhaar kiya hai. Lekin aakhir ki 4 lines mein aakar poem main stream se hat gai hai. Hum Khuda se kuchh isliye mangte hain kyonke humein ye wishwaas hai ke usmein dua, fariyad ko pura karne ki shakti hai. Phir uspar shak karein ya usse mayoosi zahir karein to maangna hi behar hai.Hamari duaaein aksar isliye puri nahi hoti kyonke hum mangte bhi hain aur dil mein ye khyaal bhi aata hai ke pata nahi ye dua puri hogi ya nahi.
Ye mera apna view hai, ho sakta hai aapki soch isse alag ho. Isko aap criticism na samjhen. I am sorry if you dislike it.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #5 on: May 01, 2010, 07:24:52 PM »
bahut bahut shukriya Neel ji hamari kavita ko pasand karne k liye... agar maine aisa likh k aapko chot pahuchaya to main maafi chahunga... main flow me likhta chala gaya... main upset nahi hoon bas koshish ki kisi aise vyakti k dard ko shabdon me utaarne ki jo khuda se dukhi hai... ye main nahi hoon... mujhe uparwaale se koi shikayat nahi hai... main khush hoon aur chahunga ki aap bhi mera ye reply padhe aur samajhne ki koshish karen mere feelings ko... "it's not for me , it's on behalf of someone else who is so upset".... mujhe to abhi bahut jeena hai... duniya dekhni hai... sach....

Please smile
Thanx



Its so beautiful...........so sososososo Good!!!!!!!!!!!!!!

Its vry vry gud creation ........... GUd Work keep it up !!!!!!
its vry painful though.............

Kush reho ........I jst vana dis ............

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #6 on: May 01, 2010, 07:28:19 PM »
Suresh ji.... aapne shayad wrong number dial kiya hai.... Kripya number jaanch len.... Usual Smile

wah neel ji wah bahut khoob likha aapne ki
thoda hai thode ki zarurat hai.
 Clapping Smiley Clapping Smiley icon_flower icon_flower

Logged
neelgold
Guest
«Reply #7 on: May 01, 2010, 07:31:35 PM »
Its ok ......... i alrdy took my cmnt bak ...
Its ok kapil jaroori nhi saab ka nazriya same ho ..coz im difrnt kinda f person .... I vna b happy & vana othr ppl happy also..

Bus aur kuch nahi...... Agr aap vaha Pyar ki beekh likh dete Maut ki jagh to bttr hota .......tht 's vry hard word 2 digest me sp. frind lyk u .it makes me upset ....

its ok if its nt 4 u .......

Thnx 4 ur concern........ shyd tumne usse teek se samz hi nahi .....

bahut bahut shukriya Neel ji hamari kavita ko pasand karne k liye... agar maine aisa likh k aapko chot pahuchaya to main maafi chahunga... main flow me likhta chala gaya... main upset nahi hoon bas koshish ki kisi aise vyakti k dard ko shabdon me utaarne ki jo khuda se dukhi hai... ye main nahi hoon... mujhe uparwaale se koi shikayat nahi hai... main khush hoon aur chahunga ki aap bhi mera ye reply padhe aur samajhne ki koshish karen mere feelings ko... "it's not for me , it's on behalf of someone else who is so upset".... mujhe to abhi bahut jeena hai... duniya dekhni hai... sach....

Please smile
Thanx

Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: May 01, 2010, 07:41:23 PM »
Riyaz ji.... bahut bahut shukriya hamari kavita ko pasand karne ke liye. Main tahe dil se aapka shukriya adaa karta hoon.

Bahut achcha laga jo aapne apne feelings mujhse share kiye. Aap aisa q soch rahe hain ki humein bura laga hoga? Hum uparwaale se naakhush nahi hai. Humne to aaj tak usse kuch maanga hi nahi hai. Bin maange hi usne sab kuch mujhe de diya hai. Mujhe usse koi shikayat nahi hai. Ye to maine kisi aise vyakti k behalf pe likha hai jo maang maang ke pareshaan ho chuka hai aur uski sunwaai nahi hoti. Ye uski dard bhari fariyaad hai. Main aapke feelings ki qadar karta hoon. Aur samajh sakta hoon ki aapko ye baat q buri lagi. Aap chinta na karen meri aur aapki soch ek jaisi hi hai. aap jo kehna chah rahe hain main poori tarah samajh sakta hoon. Aur bilkul sahi keh rahe hain aap.

N please don't be sorry. I liked ur comment & feelings.

Regards

Bahot achhi poem likhi hai Kapil ji. Bade saleeqe se aapne ALMIGHTY se apni tamannao ka izhaar kiya hai. Lekin aakhir ki 4 lines mein aakar poem main stream se hat gai hai. Hum Khuda se kuchh isliye mangte hain kyonke humein ye wishwaas hai ke usmein dua, fariyad ko pura karne ki shakti hai. Phir uspar shak karein ya usse mayoosi zahir karein to maangna hi behar hai.Hamari duaaein aksar isliye puri nahi hoti kyonke hum mangte bhi hain aur dil mein ye khyaal bhi aata hai ke pata nahi ye dua puri hogi ya nahi.
Ye mera apna view hai, ho sakta hai aapki soch isse alag ho. Isko aap criticism na samjhen. I am sorry if you dislike it.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: May 01, 2010, 08:37:54 PM »
Thank u Neel ji...

Sorry, main aapko hurt nahi karna chahta tha... ab mujhse aur raha nahi gaya aur maine apni kavita ko edit kar diya... wo lines nahi rahe ab meri kavita me...

Sorry again...

Its ok ......... i alrdy took my cmnt bak ...
Its ok kapil jaroori nhi saab ka nazriya same ho ..coz im difrnt kinda f person .... I vna b happy & vana othr ppl happy also..

Bus aur kuch nahi...... Agr aap vaha Pyar ki beekh likh dete Maut ki jagh to bttr hota .......tht 's vry hard word 2 digest me sp. frind lyk u .it makes me upset ....

its ok if its nt 4 u .......

Thnx 4 ur concern........ shyd tumne usse teek se samz hi nahi .....

Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: May 01, 2010, 08:44:43 PM »

na main rishtey maangta hoon, na koi bandhan maangta hoon,
ab to main bas kisi apne ka thoda sa apnaapan maangta hoon,

na kisi dard ki dawa maangta hoon, na main muskaan maangta hoon,
ab to main bas kisi hamsafar ki thodi si wafaa maangta hoon,

na main chaand mangta hoon, na main chaandni maangta hoon,
andheri raat me kisi chiraag ki thodi si roshni maangta hoon,

na main nadi maangta hoon, na main samundar maangta hoon,
bas apni pyaas bujhaane k liye do boond paani maangta hoon,

na main mohabbat maangta hoon, na main chaahat mangta hoon,
main apne liye kisi apne ka kuch pal ka saath mangta hoon,

na to jannat maangta hoon, na ye jahaan maangta hoon,
bas kuch sukoon ki saanse tujhse mere khuda maangta hoon,

maanga to bahut kuch tha tujhse, par kuch bhi na de saka tu,
yahi wajah hai ki ab main tujhse bahut kam maangta hoon....


Good one Kapil
Bahut achchhi peshkash hai aap ki
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: May 01, 2010, 09:14:17 PM »
Thanx a lot Rajesh ji.... bahut bahut shukriya meri kavita ko apna waqt dene k liye aur use pasand karne k liye... !!!

Good one Kapil
Bahut achchhi peshkash hai aap ki
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #12 on: May 01, 2010, 11:12:55 PM »
Wah Kapil ji bahut khoob,aape dard aur ehsaaso ko bahut khoobsurti se likha.heart touching poem.great creation. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #13 on: May 01, 2010, 11:17:38 PM »
bahut bahut shukriya Madhu ji...!!!

Wah Kapil ji bahut khoob,aape dard aur ehsaaso ko bahut khoobsurti se likha.heart touching poem.great creation. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
neelgold
Guest
«Reply #14 on: May 02, 2010, 04:02:17 PM »
Im sorry

i think app ko bura lag gaya

it vs ok ... Shyd muze hi aisa nahikehna chiye tha evr1 has own point of view

AAGAINN SORRY>>>


Thank u Neel ji...

Sorry, main aapko hurt nahi karna chahta tha... ab mujhse aur raha nahi gaya aur maine apni kavita ko edit kar diya... wo lines nahi rahe ab meri kavita me...

Sorry again...

Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:36:47 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.161 seconds with 27 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer