~~"MERI GALTI"~~

by k.shael on June 27, 2008, 10:59:19 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 5403 times)
k.shael
Guest
TUJHE CHAHNA MERI GALTI THI,
TUJHSE PYAR KARNA MERI GALTI THI,

TUJHE DIL KI DHADKAN BANANA MERI GALTI THI,
TUJHE PALKO PE BETHANA MERI GALTI THI,

TUJHE SANSOO MEIN BASANA MERI GALTI THI,
TUJHE LAKEERO MEIN LIKHNA MERI GALTI THI,

TUJHE HAR BAAR MANANA MERI GALTI THI,
TERE PICHHE-2 JANA MERI GALTI THI,

TUJHE BHAGWAN SE MANGNA MERI GALTI THI,
TUJHE POOJNA MERI GALTI THI,

TUJHE PAANA MERI KHUSHKISMATI THI,
PAR MUJHE KHONA TERI BADNASIBI HAI....
BY. K.SHAEL
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
"meri nazar" by SINGROHA in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mein Aur Meri Qaid-e-Tanhai Ki "Pukaar" by Zamir Ka Qaidi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
AAO "PRIYE" MERI BAAHON MAIN by poem143s in Shayri for Dard -e- Judai
"YAQEEN MERI MOHABBAT PE AAYA" by k.shael in Shayri-E-Dard
~~"KYA TUMHE KABHI MERI YAAD AAYI"~~ by k.shael in Shayri for Khumar -e- Ishq
Muhammed
Guest
«Reply #1 on: June 27, 2008, 11:10:16 AM »
Beshak shally aapa,

Wo Badkismat Hi Ho Sakta Hai,
Jisne Wafaa Ka Daaman Chhoda Hai..!!

Simple But Too Nice,

TUJHE BHAGWAN SE MANGNA MERI GALTI THI,
TUJHE POOJNA MERI GALTI THI,

TUJHE PAANA MERI KHUSHKISMATI THI,
PAR MUJHE KHONA TERI BADNASIBI HAI.
Logged
k.shael
Guest
«Reply #2 on: June 27, 2008, 11:36:36 AM »
SHIDDAT SE CHAHA,
PAR USNE MANJOOR NA KIYA,
HAMNE TO JAAN TAK LUTA DI USS BEDARD
PE PAR ZIDD AISI KI USS ZALIM NE
YAQEEN NA KIYA....
BY. K.SHAEL
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: June 27, 2008, 12:06:38 PM »
Shally,

Insaan jab kisi se pyar karta hai
to yeh nahi sochta ki woh usko kho dega !

Magar aksar aisa ho he jaata hai...ki hum jis se dil-o-jaan se pyar karte hain..use kho dete hain sad5

Magar usmein NA MERI GALTI na USKI GALTI

Humein bas woh suhane pal yaad rakhne chahiye jo humne ek doosre ke saath bitaye the... B +ve Winking

Kalam bahut achcha tha !
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #4 on: June 27, 2008, 12:08:51 PM »
Ye Duniya Ek Zamelaa Hai,
Bedardo Ka Lagaa mela Hai,
Yahaa'n
Pyar Bikta Hai,
Muhabbat Bikti Hai,
Munafa Hi Munaafa,
Kharidaro Ka Huzum Lagta Hai...
                             
                          ---Raza

 
Logged
k.shael
Guest
«Reply #5 on: June 27, 2008, 12:12:26 PM »
Thanx Rajbir,
Kehna Aasan hai....
ham aage kuch nahi kahenge,
BY. K.SHAEL
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #6 on: June 27, 2008, 12:17:44 PM »
Hazaro Minnate Ki Jiske Liye,
Hazaro Shikayte Rab Se Ki,
Us k Diye Har Dard Ko,
Us K Diye Har Ilzaam Ko,
Maine Apne Sine Me Chhupa liya,
Phir Bhi,
Us Zaalim Ko ye Eateraaz Hai,
K Tum bewafaa Ho,
Garr Hum Bewafaa Hai,
Tum Bhi To Dildaar Nahi....

                   -- Raza     
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 09:37:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer