-----/// Meri kahaani /// ----- Hriday

by ~Hriday~ on June 25, 2012, 03:58:19 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1250 times)
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
ek baar unhe kahaa thaa ki
tute huye kaanch ke tukde
dekhne me bahut achche lagte hain
par jaane unhe humse ye kaisi chaahat hui
ki wo hamaaraa dil kaanch ki tarha tod gaye

humne to ye soch ke kahaa tha
ki hum usme apne chehre ke
kai pratibimb dekh sakte hain
aur unhone soch liya ki
kuch alag lagaaw hai humein kaanch se
aur wo is dil ko tukdo me tod gaye

galti ye hamaari thi ki adhuraa kahaa
jo tha mere dil me wo kabhi na pooraa kahaa
aur wo meri khaamoshi ko jaane kya samjhe
ki wo humesha ke liye mujhe khaamosh kar gaye
mere kaanch ke dil me wo dher saaraa dard bhar gaye

hum to ye samjhe the ki mohabbat aasaan hai
jisme log bin kahe hi samajh lete hain
par kya maloom tha ki wo samajh kuch aur hogi
jo samjhenge wo, wo samajh hamaare khilaaf hogi
dekho na, kaise mujhse pyaar karke wo mujhe hi tod gaye
nibhaake saath kuch pal ka firse tanha chhod gaye

yun to aadat thi hume tanhaai ki unse pehle
par aadat meri badal ke wo jaane kahaan chale gaye
meri wafaa kaa sila apni bewafaai se wo de gaye
hum bhulaake khud ko unse mohabbat karne lage the
hum har roz kai kai baar unpe marne lage the
aur wo mujhse meri saanso ko cheen kar le gaye
dekho na, wo mujhe tanhaa chhod ke chale gaye

todke kaanch ki tarha mere dilko ko chale gaye
chhod ke mera saath sadaa ke liye wo chale gaye
wo chale gaye, wo chale gaye, wo chale gaye....

ab naa to kisi se pyaar karenge, na aetbaar karenge
par jeete rahenge jab tak, bas uusi ko yaad karenge...


*****HRIDAY*****
Logged
soudagar
Guest
«Reply #1 on: June 25, 2012, 04:05:15 PM »
is rachna ke liye kuch bhi nahi kaha ja sakta.....sorry hriday ji 8 hours mein sirf ek hi rau de sakte hai wo humne de dia thodi der pehle hi..........

par aapke liye hamare pass cadbury hai .............aap mohabat ke king hai aur usse jude dard se bhi achhi taraf se waqif hai.salute u

 Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
mkv
Guest
«Reply #2 on: June 25, 2012, 04:13:13 PM »
Bahut khoob
Sach me aap muhabbat ke king ho..par ye andaaj bhee utna hi jordaar...ise kahte hai..harfanmaula..
Applause Applause
Logged
roy
Guest
«Reply #3 on: June 25, 2012, 04:58:38 PM »
wwah wahh waaah waaah waaah  sir
lajwaab bohoot khoob bohoot umdaa

mere dil ko chuu gayii apki kahani

dherooooooon daad dil se pyar !!

sorry sir rau se vishwas uth gaya varna vo bhi deta

bohooot khoob likha apne
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #4 on: June 25, 2012, 05:55:52 PM »
kp....... marvellous...........
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: June 25, 2012, 06:20:04 PM »
Bahut bahut khoob .
Logged
masoom shahjada
Guest
«Reply #6 on: June 25, 2012, 08:21:57 PM »
Ek aour pyaari see peshkash bhoot pasand aayi hamei.
Hamaree mubarakbaad kabool keejeeye.
...........
Kya ab un kaach ke tukroo samhale rakhkhu.
Jo dard tum ne diya hai kya wo paale rakhkhu.
 
Logged
suman59
Guest
«Reply #7 on: June 25, 2012, 11:25:52 PM »

ek baar unhe kahaa thaa ki
tute huye kaanch ke tukde
dekhne me bahut achche lagte hain
par jaane unhe humse ye kaisi chaahat hui
ki wo hamaaraa dil kaanch ki tarha tod gaye

humne to ye soch ke kahaa tha
ki hum usme apne chehre ke
kai pratibimb dekh sakte hain
aur unhone soch liya ki
kuch alag lagaaw hai humein kaanch se
aur wo is dil ko tukdo me tod gaye




galti ye hamaari thi ki adhuraa kahaa
jo tha mere dil me wo kabhi na pooraa kahaa
aur wo meri khaamoshi ko jaane kya samjhe
ki wo humesha ke liye mujhe khaamosh kar gaye
mere kaanch ke dil me wo dher saaraa dard bhar gaye

hum to ye samjhe the ki mohabbat aasaan hai
jisme log bin kahe hi samajh lete hain
par kya maloom tha ki wo samajh kuch aur hogi
jo samjhenge wo, wo samajh hamaare khilaaf hogi
dekho na, kaise mujhse pyaar karke wo mujhe hi tod gaye
nibhaake saath kuch pal ka firse tanha chhod gaye

yun to aadat thi hume tanhaai ki unse pehle
par aadat meri badal ke wo jaane kahaan chale gaye
meri wafaa kaa sila apni bewafaai se wo de gaye
hum bhulaake khud ko unse mohabbat karne lage the
hum har roz kai kai baar unpe marne lage the
aur wo mujhse meri saanso ko cheen kar le gaye
dekho na, wo mujhe tanhaa chhod ke chale gaye

todke kaanch ki tarha mere dilko ko chale gaye
chhod ke mera saath sadaa ke liye wo chale gaye
wo chale gaye, wo chale gaye, wo chale gaye....

ab naa to kisi se pyaar karenge, na aetbaar karenge
par jeete rahenge jab tak, bas uusi ko yaad karenge...


*****HRIDAY*****


heart touching lines se aapne shuru kiya hai.. bahut bahut khoob  Applause
dil ko hilake rakh diye aapne hriday jee. very very good u deserve  Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #8 on: June 26, 2012, 02:01:06 AM »
very heart touching
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #9 on: June 26, 2012, 09:56:57 AM »
ek baar unhe kahaa thaa ki
tute huye kaanch ke tukde
dekhne me bahut achche lagte hain
par jaane unhe humse ye kaisi chaahat hui
ki wo hamaaraa dil kaanch ki tarha tod gaye

humne to ye soch ke kahaa tha
ki hum usme apne chehre ke
kai pratibimb dekh sakte hain
aur unhone soch liya ki
kuch alag lagaaw hai humein kaanch se
aur wo is dil ko tukdo me tod gaye

galti ye hamaari thi ki adhuraa kahaa
jo tha mere dil me wo kabhi na pooraa kahaa
aur wo meri khaamoshi ko jaane kya samjhe
ki wo humesha ke liye mujhe khaamosh kar gaye
mere kaanch ke dil me wo dher saaraa dard bhar gaye

hum to ye samjhe the ki mohabbat aasaan hai
jisme log bin kahe hi samajh lete hain
par kya maloom tha ki wo samajh kuch aur hogi
jo samjhenge wo, wo samajh hamaare khilaaf hogi
dekho na, kaise mujhse pyaar karke wo mujhe hi tod gaye
nibhaake saath kuch pal ka firse tanha chhod gaye

yun to aadat thi hume tanhaai ki unse pehle
par aadat meri badal ke wo jaane kahaan chale gaye
meri wafaa kaa sila apni bewafaai se wo de gaye
hum bhulaake khud ko unse mohabbat karne lage the
hum har roz kai kai baar unpe marne lage the
aur wo mujhse meri saanso ko cheen kar le gaye
dekho na, wo mujhe tanhaa chhod ke chale gaye

todke kaanch ki tarha mere dilko ko chale gaye
chhod ke mera saath sadaa ke liye wo chale gaye
wo chale gaye, wo chale gaye, wo chale gaye....

ab naa to kisi se pyaar karenge, na aetbaar karenge
par jeete rahenge jab tak, bas uusi ko yaad karenge...


*****HRIDAY*****


Dil Ko Chuu Jaane Wale Jazbaat Pesh Kiye Hai Aapne Hridayji..Bahut Khoob!~

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
livingbytheday
Guest
«Reply #10 on: June 28, 2012, 04:18:19 AM »


bahut hi lajawaab dil ko chuu gayi
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:07:16 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer