Meri kahani le le

by thycreator on September 05, 2008, 11:55:48 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 4293 times)
thycreator
Guest

Mere ashkon ki apne dil pe nishani le le,
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

Kai batein hai unkahi jo tumko sunani hai,
Meri majburiyon ka sabab tu jabani le le..

Naye lamhe bahut honge teri yadon ke aagan mein,
Aaj mujhse meri kuch yaadein purani le le...

Tere jawaa iradon ke nazar karun toh kya karun,
Jo pyar jee hi na saka tu uski jawani le le...

Mere dil ki dua hai tujhe khushi hi ho haasil,
Tere badhte kadamo mein meri sason ki rawani le le..

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri kismat ki kahani by gum in Shayri-E-Dard
Meri Kahani.. Meri Zubani by Aashique in Shayri-E-Dard
Na Poocho Meri Mohabbat Ki Kahani,.. by Azeem Azaad in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
meri kahani by Singh is king in Shayri for Khumar -e- Ishq
MERI KAHANI MERI JUBAANI by amarhellboy in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Kanta
Guest
«Reply #1 on: September 06, 2008, 12:20:34 AM »
(Tere jawaa iradon ke nazar karun toh kya karun,
Jo pyar jee hi na saka tu uski jawani le le...
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..)

ye lines ka kiya kehna creator, very interesting to read and touching.

Logged
thycreator
Guest
«Reply #2 on: September 06, 2008, 04:29:12 AM »
(Tere jawaa iradon ke nazar karun toh kya karun,
Jo pyar jee hi na saka tu uski jawani le le...
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..)

ye lines ka kiya kehna creator, very interesting to read and touching.

Thanks a lot Kanta ji........i am glad you liked it.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #3 on: September 06, 2008, 05:04:29 AM »
bohut khoob likha hai aapne creator ji
aapki creativity ka jawab nahi   Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: September 06, 2008, 08:57:17 AM »
Thanks a lot Bhawna ji.....apko pasand aaya, meri mehnat safal ho gayi....Usual Smile
Logged
baadal102
Guest
«Reply #5 on: September 06, 2008, 09:10:35 AM »

Mere ashkon ki apne dil pe nishani le le,
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

Kai batein hai unkahi jo tumko sunani hai,
Meri majburiyon ka sabab tu jabani le le..
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

Naye lamhe bahut honge teri yadon ke aagan mein,
Aaj mujhse meri kuch yaadein purani le le...
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

Tere jawaa iradon ke nazar karun toh kya karun,
Jo pyar jee hi na saka tu uski jawani le le...
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

Mere dil ki dua hai tujhe khushi hi ho haasil,
Tere badhte kadamo mein meri sason ki rawani le le..
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

bahut khoob or bahut hi aacha likha hai creator ji

Baadal
Logged
R-U-Sudha
Guest
«Reply #6 on: September 06, 2008, 09:25:59 AM »

thycreator ji, yun to har pankti se aah nikalti hai, parantu lal rang wali pankti ne to hamari atma ko jhanjhod ke rakh diya.
Bas yun samjhe ki mera is pankti se koi gehra rishta hai.  tearyeyed
Logged
R-U-Sudha
Guest
«Reply #7 on: September 06, 2008, 09:34:30 AM »
bas kuch dil ki baat keh dun aur kya karun.

aa ki ek bar meri dil ki dharkan de de,
suni hai har disha mujhe ek mulaqaat de de,
meri bhool ek nahin sou hain kshama de de,
mar gaya agar to chita ko to hi aag de de.
Logged
thycreator
Guest
«Reply #8 on: September 06, 2008, 09:45:38 AM »
bahut khoob or bahut hi aacha likha hai creator ji

Baadal

Thanks a lot Baadal ji.....mujhe ummend hai ki aap bhi kuch likhenge...Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #9 on: September 06, 2008, 09:52:24 AM »
thycreator ji, yun to har pankti se aah nikalti hai, parantu lal rang wali pankti ne to hamari atma ko jhanjhod ke rakh diya.
Bas yun samjhe ki mera is pankti se koi gehra rishta hai.  tearyeyed

Thanks a lot Sudha ji.....thank you very much....

Kayi yaddein purani hai, jo iss dil ko tadpayen,
Tere pehlu mein bitaye har lamhe hi yaad aayen,
Kabhi toh aake dekh le apne deewane ki tu haalat,
Ab toh har saans bhi apne aane ka ehsaan jatayen...
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: September 06, 2008, 10:25:59 AM »

Mere ashkon ki apne dil pe nishani le le,
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

Kai batein hai unkahi jo tumko sunani hai,
Meri majburiyon ka sabab tu jabani le le..
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

Naye lamhe bahut honge teri yadon ke aagan mein,
Aaj mujhse meri kuch yaadein purani le le...
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

Tere jawaa iradon ke nazar karun toh kya karun,
Jo pyar jee hi na saka tu uski jawani le le...
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

Mere dil ki dua hai tujhe khushi hi ho haasil,
Tere badhte kadamo mein meri sason ki rawani le le..
Mere mehboob aaj meri bhi kahani le le..

So you made re-entry with a bang !! Bohot khoob Applause Applause Applause
Logged
baadal102
Guest
«Reply #11 on: September 06, 2008, 10:40:51 AM »
creator ji aap ne jo kaha hum us ka
dhayan rakhenge or koshish karenge
ki jald hi aap ki baat hum poori ker de

Baadal
Logged
thycreator
Guest
«Reply #12 on: September 06, 2008, 08:12:33 PM »
Thanks a lot Talat ji.......wapasi karne ki koshish hai...har bar ki tarah...

Baadal ji, aap kuch likhenge toh hi toh silsila aage badhega.
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #13 on: September 06, 2008, 09:05:43 PM »
Amit

Very touching and very beautiful Applause

Keep going Thumbs UP
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: September 07, 2008, 08:56:22 AM »
Amit ji

bohat khoob likha hai aapne great lines... Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:04:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.089 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer