Meri Khamoshi Ya Meri bebasi.....

by punam on July 21, 2008, 02:56:18 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 14582 times)
punam
Guest
«Reply #15 on: July 24, 2008, 06:57:40 AM »
wah ji bahut khoob...aap ne bhi kuch kam nahi likha..

laga woh ho gaye the dur mujh se
dikha andhera hi andhera har jagah
kah nahi sakte hui haalat kya...

kis se bant.te dard apna
bebas ho kar rah gaye the
samajh men na aaya karen to karen kya...

phir bhi na jaane kyun dil se
bar bar uthhta yeh sawaal tha
dur hoke mujhse woh rah sakenge kya...

roke na ruk rahe the aansoo
laga barbaad hogayi mere dil ki duniya
aur is zindagi men ab rakha hai kya...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri life mai .. kisi ko meri ye ghazal bahot pasand hai by clicksahil in Shayri-E-Dard
khamoshi meri ko by HumTum in Miscellaneous Shayri
Meri khamoshi hi mere by diya_diggaz in Shayri for Khumar -e- Ishq
~meri wafa meri maut ki waje bangayi..~ by roshni246 in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
kabhi meri khamoshi ki zabaan samjo (poet:taasir siddiqui) by Taasir siddiqui in Ghazals
punam
Guest
«Reply #16 on: July 25, 2008, 10:02:16 AM »
kya kehne aap dono ke
Har Shabd Jaise Sachai Aur Dard Main Dooba Hua Hai
Sidha Dil Main Utar Gaye
Great Job Both Of You Lagey Raho.

Sukriya shihab ji...aap ko isme dard aur sachai nazar aayi..
chalo humara likhna safal ho gaya samjho...
Logged
syednaami
Guest
«Reply #17 on: July 25, 2008, 06:22:09 PM »
Itne Dard Bhare Alfaaz Kahan Se Laaye Hai
Lagta Hai Dil Main Kahin Raaz Chhupaye Hai.
......
Hum To Bus Dua Ke Siwa Kuch Nahi Kar Sakte Hai
Jald Puri Ho Aapki Jo Bhi Jaayaz Tamannae.n Hai


Wah,,, Shihab baba kya dard ko dard ki zubaan men bayaan kia hai...
Kaafi alag aur doob kar likha gaya hai...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #18 on: July 25, 2008, 06:24:32 PM »
good work Punam, Sami and Shihab!!
Logged
punam
Guest
«Reply #19 on: July 26, 2008, 06:35:45 AM »
Itne Dard Bhare Alfaaz Kahan Se Laaye Hai
Lagta Hai Dil Main Kahin Raaz Chhupaye Hai.

Jarur Chaha Hoga Aapne Sache Dil Se Kisi Ko.
Tabhi To Dard Aur Aansu Inaam Main Paaye Hai.

Is Andaaz Se Sunaayi Aapne Haal.e.Zindagi Apni
Jise Padkar Humare Bhi Aansu Nikal Aaye Hai.

Hum To Bus Dua Ke Siwa Kuch Nahi Kar Sakte Hai
Jald Puri Ho Aapki Jo Bhi Jaayaz Tamannae.n Hai

Bahut khoob shihab ji...aap bhi kuch kam nahi dil ki baat aur dard bayan karne men...
Logged
punam
Guest
«Reply #20 on: July 26, 2008, 06:37:00 AM »
good work Punam, Sami and Shihab!!

Sukriya pooja di...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #21 on: July 27, 2008, 07:51:59 PM »
Behtareen behtareen behtareen

Sab ne apne apne jazbaat ki behtareen aqqasi ki.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #22 on: July 30, 2008, 10:18:36 PM »
Bohat Boha Shukaria Bhai Jaan...
Par Mera Koi Kamaal Nahi Isme
Maine Jitna Aap Logn Ka Dard Mehsoos Kiya
Usko Lafzon Main Daalne Ki Koshish Ki Hai.
Khair Shukariya Bhai...hmhm

Shihab baba bahut deep likh rahe ho aajkal...

Kahne ko to dard hota hai bahut,,
Par sahne ko jo sahe wohi jaane,,
Haal-e-dil apna to hai hi kharaab,,
Par rafeeq na hota to kon maane..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: July 31, 2008, 04:30:32 PM »
nice lines sami
Logged
syednaami
Guest
«Reply #24 on: July 31, 2008, 08:02:53 PM »
Shukriya Pooja jee,,, thanks so much...
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #25 on: February 14, 2009, 05:18:40 PM »
nice one
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #26 on: July 06, 2009, 01:21:26 AM »
Wah Punam ji mindblowing very beautiful creation, icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
wonderful lines by Syednaami ji,sayyid ji and Shihab ji. Applause Applause Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #27 on: July 06, 2009, 05:13:04 AM »
Shukriya Madhuwesh saahiba, aap bhi poetry likho yahan.
Logged
punam
Guest
«Reply #28 on: July 06, 2009, 05:23:55 AM »
Thanx a lot Madhu ji mujhe to iska title tak yaad nahi tha...
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:57:21 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer