~~~...Meri maut ka zimma...~~~

by Tosha on April 08, 2006, 06:30:22 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2801 times)
Tosha
Guest
yeh rang hara hai
meri tabyet hai peeli
seene main dil hai
aur hazaro zakham

is dil ka kasoor hi hai
zamane se kya ho ueed
jab ek ek kar ke tune
hi khoroda hai inhe

tune ek tofa diya hai
mefi wafo ka sila diya hai
dillagi kar ke sanam
tujhse mili bewafi hai

jaan tujhpe kurban thi
mere liye tu ek tha tu hi
katal kiya meri mohabbat ka
mujhe maut tune de hai



Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
jab meri maut ho by VIKRANT in Shayri for Khumar -e- Ishq
teri maut ya ke meri ....... by chiraaaaaaaaag in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Meri maut by Nino in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
~meri wafa meri maut ki waje bangayi..~ by roshni246 in Shayri-E-Dard « 1 2 ... 6 7 »
maut se pehla meri chahat.... by sagar_voski22@gmail.com in Shayeri for Dard -e- Bewafai
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #1 on: April 08, 2006, 06:48:53 PM »
Wahhh kya baat hai,bohat khoob Tosha.So,back wid a bang han? Winking .
Logged
Tosha
Guest
«Reply #2 on: April 08, 2006, 06:55:09 PM »
hmmm ... yeh Nidhi ... !!!

a bit low ya!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #3 on: April 09, 2006, 12:14:11 AM »
Bohat khoob Tosha... nice wording...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: April 09, 2006, 03:25:51 AM »

Hum sochte they tum do ge harr pal sath mera
Soch kar yeh choar di apni hi parchaayi hum ne

Jab jana tere ghar mein chraagh jalta nahi
Apni mehfil mein bhi shama na jalaayi hum ne

Khudaa ko khwaab mein bhi na dekha kabhi
Teri ulfat hi samjhi thi Khudaayi hum ne

Khabar mili ke tere hathon mein kisi aur ki mehndi saj gayi
Yeh sun kar apni maiyyat khud hi sajaayi hum ne

Mat soch keh abhi din aa poncha hai meri Maut ka
Tere thukraane ke baad hi raah-e-kaza apnaai hum ne

Farishte aa ke poochein meri lehad pe barbaadi ki dastaan
Meri wafaa tau dekh, teri jafaa bhi bataayi hum ne....



Lehad=Qabr
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #5 on: April 09, 2006, 04:42:38 AM »
meri maut ka zimma kya lega ye jaha .....
hum to aapni maut ko aapni dilruba kehte hai ...
humdard kya hoga ye zamana humara .......
aapne dard ko hi hum aapna rehnuma samajhte hai .....
Logged
Tosha
Guest
«Reply #6 on: April 09, 2006, 09:01:37 AM »
Thanx a lot Aryaan

and

Beautifuly said Tushar and Aryaan
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #7 on: April 10, 2006, 02:53:59 AM »
Bohat shukriya Tosha...
Logged
Tosha
Guest
«Reply #8 on: April 10, 2006, 04:28:15 PM »
meri nao main ched kar ke hazar
tum zindgi to jarokhe dene lage
banke hawa mere sine main samane lage
liya hai meri maut ka zimma saasen meri rokle
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: April 10, 2006, 04:36:46 PM »
wah wah   Tosha....  Aryan....  aap  dono  ne  baghot  accha likha......
Logged
Tosha
Guest
«Reply #10 on: April 10, 2006, 04:49:39 PM »
Thanx a lot waheed ...!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #11 on: April 13, 2006, 05:25:04 AM »
Intezzar tha mohabbar main tera
wo yaaden aur aakhon main tera chara
par tod gaya tu sare rishte naate
daard bhare zakhmo se dil challi kar gaya

Jaana hi tha to aaye kyo kushi ban kar
khamushi se chale jaate kyo gaye aasu baan kar
na sanjo paye to seena nahi tah yeh rishta
meri saason main kyo karwahat chod gaye

meethi meethi baaten wo saare thi zuthi
pyaar bhari wo mulaqate aab hui pheeki
nahi sambhal sakte the ho ubhara yeh rishta
is kadar mujhe maut ke hawale chod gaye
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #12 on: April 13, 2006, 05:42:20 AM »
Quote from: "Tosha"
Intezzar tha mohabbar main tera
wo yaaden aur aakhon main tera chara
par tod gaya tu sare rishte naate
daard bhare zakhmo se dil challi kar gaya

Jaana hi tha to aaye kyo kushi ban kar
khamushi se chale jaate kyo gaye aasu baan kar
na sanjo paye to seena nahi tah yeh rishta
meri saason main kyo karwahat chod gaye

meethi meethi baaten wo saare thi zuthi
pyaar bhari wo mulaqate aab hui pheeki
nahi sambhal sakte the ho ubhara yeh rishta
is kadar mujhe maut ke hawale chod gaye


dil tera toota hai dard mujhe ho raha hai ......
tujhe kya pata a sanam kya ehhsaans mujhe ho raha hai ....
ro raha hu mai tu kaha hai mujhe aa or sahara de de.....
dharkane hai meri dekh kaise aaj sulagti hui ......
tu aa or mujhe aapni aanchal ki hawa de de.....
mai janta hu tu door hai mujhse bahut ......
bulane per bhi mere tu na aayegi kabhi .......
lut gai duniya meri ek baar to aa ja .........
aa or ajj mujhe kam se kam mera kafan to tu lauta de.......
Logged
Tosha
Guest
«Reply #13 on: April 13, 2006, 06:05:59 AM »
ya Tushar ... aab ke likhne ka abdaz bahut hi accha hai ... !!

Tuta dil hai bejan saasen
khud to kich rahe hai din-b-din
manzil nahi hai bas yeh dejan raahe
is jeene se to bhala ki mujhe matu mile
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #14 on: April 13, 2006, 05:06:48 PM »
very nice toshu...baki dosto ne bhi acha likha!!  :D

maut ko hum kabse bulaye ja rahe hai,
toote sapno pe khud ko sulaye ja rahe hai,
kanton ki tara chubte hai yeh khwab kuch aise,
zakhm pa kar hum phir bhi muskuraye ja rahe hai!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:13:00 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer