.:meri pukaar:.

by sanya310 on August 03, 2007, 04:12:02 PM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2052 times)
sanya310
Guest
sazaa hai yeh wafa ki
ya jurmaana hai ye pyaar ka
na dikhti kahin aankhen uski
na chehra mere dildaar ka

kya nahi hai ussey fikr meri
ya andaaza iss intezaar ka?
kaise dilaun yakeen ussey
iss ishq ke khumaar ka

rootha hai ya bewafaa
ya dil hai uska pathar ka
taras gaye naina mere
bechain hai dil deedar ka

un honton ki hansi ka
woh chehre par nikhaar ka
saath guzare lamhon ka
woh mausam e bahaar ka

chubhti hai doorie us se
jaise vaar koi talwaar ka
kya khata thi meri jo
mila dukh sansaar ka

dhoond ke laaye koi usey
de ata pata sarkaar ka
na khat aya na khabar aayi
na jawaab meri pukaar ka ...



*Copyrighted material*
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil ke pukaar by muneeb in Shayri-E-Dard
Mein Aur Meri Qaid-e-Tanhai Ki "Pukaar" by Zamir Ka Qaidi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Jaantaa hoon, pukaar sun key, woh aayengey naheen!' by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
Pukaar lo mujh ko! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
meri her bandagi me pukaar hai Teri by Asif samani jaunpuri in Shairi - E - Zindagi
Ricky
Yoindian Shayar
******

Rau: 8
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
4 days, 3 hours and 56 minutes.

Posts: 2455
Member Since: Dec 2003


View Profile
«Reply #1 on: August 03, 2007, 05:20:18 PM »
That is very nice.

Sanya..
I think here :
Quote
dhoond ke laaye koi, mujhe
ata pata sarkaar ka
na khat aya na khabar aayi
na jawaab meri pukaar ka ...

You forgot typing something..
ie. ata pata de sarkaar ka
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: August 03, 2007, 06:37:48 PM »
Beautiful Sanya !!! Usual Smile
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #3 on: August 03, 2007, 09:41:56 PM »
Sani

Bahut khoob !

Very very nice lil sis :D
Logged
sanya310
Guest
«Reply #4 on: August 03, 2007, 10:24:37 PM »
Thanks a lot Ricky, oh and thanx again for correcting.. was a typing error! :D
thanku so much Talat and Bhaiya Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #5 on: August 06, 2007, 10:52:06 PM »
Bohat khoob Sanya...
Logged
sanya310
Guest
«Reply #6 on: August 07, 2007, 12:04:08 AM »
thanks a lot aryaan Usual Smile
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #7 on: August 07, 2007, 04:48:38 AM »
Quote from: "sanya310"
sazaa hai yeh wafa ki
ya jurmaana hai ye pyaar ka
na dikhti kahin aankhen uski
na chehra mere dildaar ka

kya nahi hai ussey fikr meri
ya andaaza iss intezaar ka?
kaise dilaun yakeen ussey
iss ishq ke khumaar ka

rootha hai ya bewafaa
ya dil hai uska pathar ka
taras gaye naina mere
bechain hai dil deedar ka

un honton ki hansi ka
woh chehre par nikhaar ka
saath guzare lamhon ka
woh mausam e bahaar ka

chubhti hai doorie us se
jaise vaar koi talwaar ka
kya khata thi meri jo
mila dukh sansaar ka

dhoond ke laaye koi usey
de ata pata sarkaar ka
na khat aya na khabar aayi
na jawaab meri pukaar ka ...



*Copyrighted material*



wow.. a beautiful piece sanya ji...kuch likha hai shayad aapko pasand aaye


chuban iss dard ki kaise main bayaan karu
pass jo tu nahi,chaaron pehar aahein bharu

kab talak yuhi mujhe tum sataoge mere humdum
aaapne hijar-o-gum ki kiske aage fariyad karu

har ghadi ek ajeeb sa shor sunai deta hai mujhe
dhadkano mein uthati maujoN ka kahan se main agaaz karu

yu tanha tanha kaise kaaTun main dard teri judai ka
aakhir insaan hu,aaise mein kab tak intezar ka zehar piyu...!!!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #8 on: August 07, 2007, 10:21:08 AM »
thnx a lot manav.. boht hi khubsoorat farmaya hai apne bhi..

haathon mein haath liya,
lakeeron ko dekh kar mujhse kaha
humqalam ho gaye aap sabse
par aapka apna koi na ban saka
sachayi kitni hai in alfazon mein
phir khud ko khudse humqalam kar ke pocha
nikli awaz, dheere se koi farmaya
Shayad..shayad.
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #9 on: August 08, 2007, 10:00:34 AM »
wah saniya!! manav ji...gud reply!!!

 :D
Logged
sanya310
Guest
«Reply #10 on: August 08, 2007, 01:59:14 PM »
thnx a lot meena !! :D
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: August 08, 2007, 02:21:43 PM »
bahoot khoob sanya and Manav ji!!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #12 on: August 08, 2007, 03:34:12 PM »
thnxa lot pooja.. Usual Smile
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #13 on: August 09, 2007, 11:08:53 AM »
Thanks Meena and Pooja... app dono ne kuch nahi likha ??
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #14 on: August 09, 2007, 11:11:28 AM »
Sanya app boohaat achha likhte ho

Quote from: "sanya310"
thnx a lot manav.. boht hi khubsoorat farmaya hai apne bhi..

haathon mein haath liya,
lakeeron ko dekh kar mujhse kaha
humqalam ho gaye aap sabse
par aapka apna koi na ban saka
sachayi kitni hai in alfazon mein
phir khud ko khudse humqalam kar ke pocha
nikli awaz, dheere se koi farmaya
Shayad..shayad.



dard-e-judai mein teri khoye rehte hain
ashkon se palkein bheegoye baithe hain

sanjoye the khawab,wohi chubbe hain ajj
jinke dum par saansein piroye baithe hain

mere humkadam,mere jeevan saathi,
teri hi umeed se umeed loye* baithe hain

loye= roshni
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 01:05:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer