.:meri pukaar:.

by sanya310 on August 03, 2007, 04:12:02 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 2067 times)
sanya310
Guest
«Reply #15 on: August 09, 2007, 11:16:12 AM »
thats beautiful manav ji!!

jispar sab nisaar kar baithe hain
wohi humse khafa ho baithe hain
chidakte thhe jaan jis shaks par
ussey zamaney ki rangeeniyon mein
kho baithe hain..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil ke pukaar by muneeb in Shayri-E-Dard
Mein Aur Meri Qaid-e-Tanhai Ki "Pukaar" by Zamir Ka Qaidi in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Jaantaa hoon, pukaar sun key, woh aayengey naheen!' by abdbundeli in Shayri for Dard -e- Judai
Pukaar lo mujh ko! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
meri her bandagi me pukaar hai Teri by Asif samani jaunpuri in Shairi - E - Zindagi
Manav Mehra
Guest
«Reply #16 on: August 09, 2007, 11:33:46 AM »
well said sanya....


chalte chalte main raah apni bhool gaya
sung tha mera humdum,uska bhi hath chutt gaya
abb tanha bhatakta rehta hu apni hi duniya mein
baigane toh baigane,apno se "Manav" door hua ...!!!
Logged
sanya310
Guest
«Reply #17 on: August 09, 2007, 11:50:01 AM »
good one manav...

chaaha thha usey apne aap se ziyada
bina kuch maange, beshumaar pyaar diya
par bewafai ki hudd ko bhi humne seh liya
aur tadapte dil ne uff tak na kiya..
Logged
Sahiba Zehra
Guest
«Reply #18 on: August 12, 2007, 03:23:09 PM »
gud gud  both sanya G n manav G

:D :D :D
Logged
sanya310
Guest
«Reply #19 on: August 12, 2007, 08:43:22 PM »
thanks a lot sahiba Usual Smile
Logged
Talat
Guest
«Reply #20 on: August 14, 2007, 12:21:39 PM »
Good ones Sanya and Manav... Keep it up Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: August 15, 2007, 02:09:44 PM »
Dik ki pukar dil main hi rah jaati hai
Chah kar bhi juban se nikal nahi paati hai
Bahte hai ankho se kuch ansoo waqat-be waqat
Aor dil ki pukar kahin ander hi dab jaati hai...
Logged
Manav Mehra
Guest
«Reply #22 on: August 18, 2007, 04:43:14 AM »
Thanks Sanya, Talat and Pooja

dil ki pukar ko maine lafzo mein piroya hai
na jane kayun mera humdum nirmoya* hai
aata nahi karar bina uske mujhe "manav"
aur woh na jane,kiski yaadon mein khoya hai

nirmoya= bedard, jiss koi fikar nahi
Logged
sanya310
Guest
«Reply #23 on: September 28, 2007, 06:39:18 PM »
bohot ache pooja n manav!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #24 on: September 28, 2007, 06:43:55 PM »
Quote from: "sanya310"
sazaa hai yeh wafa ki
ya jurmaana hai ye pyaar ka
na dikhti kahin aankhen uski
na chehra mere dildaar ka

kya nahi hai ussey fikr meri
ya andaaza iss intezaar ka?
kaise dilaun yakeen ussey
iss ishq ke khumaar ka

rootha hai ya bewafaa
ya dil hai uska pathar ka
taras gaye naina mere
bechain hai dil deedar ka

un honton ki hansi ka
woh chehre par nikhaar ka
saath guzare lamhon ka
woh mausam e bahaar ka

chubhti hai doorie us se
jaise vaar koi talwaar ka
kya khata thi meri jo
mila dukh sansaar ka

dhoond ke laaye koi usey
de ata pata sarkaar ka
na khat aya na khabar aayi
na jawaab meri pukaar ka ...



*Copyrighted material*


Superb Sanya....kya baat hai...Fantastic
Logged
sapnaa
Guest
«Reply #25 on: September 28, 2007, 07:31:26 PM »
Quote from: "sanya310"
sazaa hai yeh wafa ki
ya jurmaana hai ye pyaar ka
na dikhti kahin aankhen uski
na chehra mere dildaar ka

kya nahi hai ussey fikr meri
ya andaaza iss intezaar ka?
kaise dilaun yakeen ussey
iss ishq ke khumaar ka

rootha hai ya bewafaa
ya dil hai uska pathar ka
taras gaye naina mere
bechain hai dil deedar ka

un honton ki hansi ka
woh chehre par nikhaar ka
saath guzare lamhon ka
woh mausam e bahaar ka

chubhti hai doorie us se
jaise vaar koi talwaar ka
kya khata thi meri jo
mila dukh sansaar ka

dhoond ke laaye koi usey
de ata pata sarkaar ka
na khat aya na khabar aayi
na jawaab meri pukaar ka ...



*Copyrighted material*


Sanya lovely one...nicely expressed
Logged
sanya310
Guest
«Reply #26 on: September 28, 2007, 09:01:51 PM »
thnk u sooo much gaurav  n sapnaa.. m glad u guys liked it!! :D
Logged
paani
Guest
«Reply #27 on: September 29, 2007, 06:52:05 AM »
Fantastic Sanya n all
Logged
sanya310
Guest
«Reply #28 on: September 29, 2007, 06:55:13 AM »
thnk u so much paani Usual Smile
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:46:50 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer