Meri tasvir

by Nino on March 11, 2005, 09:08:09 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1124 times)
Nino
Guest
Meri tasvir mein rang aur kisi ka to nahin
gher lein mujhako sab aake main tamaashaa to nahin

zindagi tujhase har ik saans pe samajhautaa karoon
shauq jeene ka hai mujhako magar itanaa to nahin

ruuh ko dard mila dard ko aankhein na mili
tujhako mahasus kiya hai tujhe dekha to nahin

sochate sochate dil doobne lagata hai mera
zahan ki tah mein 'Nino' koi dariya to nahin
Logged
desikuri
Guest
«Reply #1 on: March 11, 2005, 09:15:14 AM »
wah nino wah
Logged
Nino
Guest
«Reply #2 on: March 11, 2005, 09:23:20 AM »
Shukria
Logged
dhadkan
Guest
«Reply #3 on: March 11, 2005, 09:40:48 AM »
zindagi tujhase har ik saans pe samajhautaa karoon
shauq jeene ka hai mujhako magar itanaa to nahin

Kya khoob kaha Nino...
Logged
akela
Guest
«Reply #4 on: March 11, 2005, 09:43:40 AM »
bahoot khoob likha hai nino ji
Logged
Nino
Guest
«Reply #5 on: March 11, 2005, 10:43:01 AM »
Shukria aap sab ka
Logged
Nino
Guest
«Reply #6 on: March 11, 2005, 10:56:00 AM »
Akhm-e-tanhai mein Khushboo-e-hina kis ki thi
saaya divaar pe mera tha sada kis ki thi

uski raftaar se lipti rahi meri aankhein
us ne mud kar bhi na dekha ki vafaa kis ki thi

waqt ki tarah dabe paanv ye kaun aayaa hai
main andhera jise samajha vo qabar kis ki thi

aansuoon se hi sahi bhar gayaa daaman mera
haath to main ne uthaaye the dua kis ki thi

meri aahoon ki zabaan koi samajhata kaise
zindagi itani dukhi mere sivaa kis ki thi

aag se dosti us ki thi jalaa ghar mera
di gai kis ko saza aur Khata kis ki thi

main ne andha ban  kar bhi andhere kaate
kis ke bas mein thi zameen abr-o-havaa kis ki thi

chhod di kis liye tuune "Nino" duniyaa
justjoo si tujhe har waqt bata kis ki thi
Logged
sanya310
Guest
«Reply #7 on: March 11, 2005, 11:01:56 AM »
nice one nino!!
Logged
Nino
Guest
«Reply #8 on: March 11, 2005, 11:15:09 AM »
maanaa ke musht-e-Khaak se badakar nahin hoon main
lekin hava ke raham-o-karam par nahin hoon main

insaan hoon dhadakate huye dil pe haath rakh
yun Doobakar na dekh samundar nahin hoon main

chehare pe mal rahaa hoon siyaahi naseeb ki
aainaa haath mein hai sikander nahin hoon main

Gaalib teri zameen mein likkhi to hai Gazal
tere kad-e-sukhan ke baraabar nahin hoon main (NM)
Logged
Nino
Guest
«Reply #9 on: March 11, 2005, 11:15:57 AM »
thank u sanya
Logged
Meena
Guest
«Reply #10 on: March 11, 2005, 03:42:22 PM »
"zindagi tujhase har ik saans pe samajhautaa karoon
shauq jeene ka hai mujhako magar itanaa to nahin "


wahhhhhhhhhh, dil ko chu gaye yeh alfaz!!!!!! superbb!

 :D
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 10:31:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer