Meri Udasi

by Talat on September 17, 2004, 05:08:01 AM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 13
Print
Author  (Read 11565 times)
Talat
Guest
Ek din ek udas lamhe ne
muskurate hue jo dekh liya
jaane kya dil main soch liya
raasta mera hans ke rok liya
aur seene se lag gaya aise
jaise bichra hua koi apna
ek muddat ke baad milta hai
tab se woh mere paas rehta hai
isliye dil udaas rehta hai.(NM)
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
udasi by Sonu in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2 ... 8 9 »
!!__-Os ke Udasi-_!! by khamosh.larka in Shayri for Khumar -e- Ishq
udasi ka ye dard by mkv in Share: Poetry of Pain
*** udasi kaha se ati hai***,,,,,,,,,,,,,,,,,tanowar by Tanowar Jahan in Miscellaneous Shayri
Meri jan bolo kyon hai itni udasi by prashad in Shayri-E-Dard
waheed_rose2004
Guest
«Reply #1 on: September 17, 2004, 07:42:11 AM »
nice one talat......

yeh to sab kehne ki baatein hain ghalat ho ke sahi
magar is dil ko karun kya ye hai ruswaai............
Logged
Talat
Guest
«Reply #2 on: September 17, 2004, 09:44:37 AM »
Thanx....

Khulta kisi pe kyon mere dil ka mamla
Sheroan ke inteqaab ne ruswa kiya mujhe! (NM)
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #3 on: September 19, 2004, 06:13:36 AM »
Ik Tu Ke Ghurezaan Hi Rahaa Mujh Se Bahar Tor
Ik Men Ke Terey Naqsh E Qadam Choom Rahaa Tha...
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: September 19, 2004, 10:48:19 AM »
Wah! kya likhte ho!! Really nice....
Logged
nishita
Guest
«Reply #5 on: September 20, 2004, 08:35:03 AM »
bohat achhe talat and waheed
Logged
Talat
Guest
«Reply #6 on: September 20, 2004, 09:36:52 AM »
Thanx Nishita... Usual Smile
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: September 20, 2004, 05:00:04 PM »
thanx Nishita Jee...........

Youn Mere Dil Ko Mohabat Ki Saza Di Tum Ne
Khwab Main Aiye Jahan Neend Ura Di Tum Ne....
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: September 21, 2004, 06:06:35 AM »
Kehte the ki ab khwabon hi main mulaqaat hogi
Raat bhar jaagte hain wo khuda jaane kis liye!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #9 on: September 21, 2004, 07:54:14 AM »
Aay ummer-e Rawan
Aa paas mery


Ik khuwab sunanaa hay tuj ko
Ik derd kee tees hay dil main
Ik rang dikhanaa hay tujh ko

Aay ummer-e-rawaan
Aa paas mery
Yeah neem see khmooshee
Yeah neend ki palkain bojhal see
Iik khawab saa zehn-o-dil per hay

Aay ummer-e-rawaan
Aa paas mery
Tujh say fakt yeah kahnaa hay
Raftaar ko apnee dheemee rakh
Ik shaks say milnna hay mujh ko
Millny ki gharee ju tehree hay
Du chaar sadee yaa abb k bers
Aay ummer-e rawaan
Aa paas mery
Logged
Talat
Guest
«Reply #10 on: September 21, 2004, 08:37:11 AM »
Bahot achche Waheed!!!
Logged
Tosha
Guest
«Reply #11 on: September 21, 2004, 09:06:45 AM »
es kadar pyaar se mila jo yeh udas lamha
ab udasi tere chare pe raas nahi aati
hasi kushi ie udasi to de de wedai
haasi bhati hai hai tujhpe
yeh hasi jo udasi aapne samg laye...!
Logged
Talat
Guest
«Reply #12 on: September 23, 2004, 07:03:20 PM »
Kabhi yoon bhi aa meri ankhon main, ki meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaaz de magar us ke baad sahar na ho
WO bara raheem-o-kareem hai, mujhe ye sifat bhi ata kare
Tujhe bhoolne ki dua karoon to meri dua main asar na ho
Kabhi din ki dhoop main jhoom kar kabhi shab ke andheron ko choom kar
Yoonhi sath sath chalen sada kabhi khatm apna safar na ho
Mere paas mere habib aa, zara aur dil ke khareeb aa
Tujhe dharkano main basa loon main ki bicharne ka kabhi darr na ho!!! (NM)
Logged
yasir_sensitive
Guest
«Reply #13 on: September 23, 2004, 09:52:50 PM »
Jaher teri yaadon ka peeti gayi mein,
tu bhul gaya mujhey aur yaad karke tujhey jeeti gayi mein,

Jeena bhi chahti thi khushi ke saath,
par rulaya tuney itna, ki biiiigar gayi har baat,

sapney khatam ho gaye, aankhain suni suni meri,
Jasbaat tut ke bhikhar gaye bas yahi ik aakhri nishani teri,

Muskrahat pe teri sab kuch kiya maine nisar,
ishq ka aisa laga rog mujhey, me rehne lagi bemar,

tera hi ik khyaal tha mere maan me har lamha,
badal gaye saare mausam, par dukh na badla, kaisa Ye samaa!

Jee to saki na. aur marna bhi mila na mujhey,
bas waqt gujarta raha aur phir bhi deti rahi duayain tujhey,

tarsi har ik khwaish ko yaad karke, barsi meri aankhain,
Peeti rahi jaher me, yaad karke teri pyari pyari baatain!!!!
Logged
Talat
Guest
«Reply #14 on: September 24, 2004, 04:08:26 PM »
Kabhi paa ke tujhko khona, kabhi kho ke tujhko paana
Ye janam janam ka rishta tere mere daramiyaan hai!!

(NM)
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 13
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:40:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer