··¤(`×[¤(Gumon ki Mehfil)¤]×´)¤··

by Naya_Daur on March 13, 2006, 06:19:23 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
Print
Author  (Read 5450 times)
Naya_Daur
Guest

Har taraf toh Shor hai
Hum kahan le ke farayad jayein

Manzilon se fasla bardne laga
Koshish meri kuch toh rang laye

Rahein dassti hai nagino ki tarah
Musafir kya kare,kahan jaye

Gum Zameen Par hai aasmaan ki tarah
Bhag kar Inse hum kahan jaye

Ab mukadar hamaare saath na rahe
Kiske liye hum apna Hath badayein

Aag ki lapet mein saara gulshan
Hum apna aashiana kahan le kar jayein

Majara Aansoon ka kya kahiye
Karvan aaye,Karvan Jaye

Kis jagah nahi hai Gum ki poonch
JEET usse dar kar kahan jaye!


-----------------------------------------------------
Be-Intehaa nafraton ka rasta tha uska pyar
Be-naam Musafir ka safar diya Mujhe...!!!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mehfil by neerajB in Shayri for Khumar -e- Ishq
mehfil by majid in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
mehfil,... by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
Gumon ka caravan... by Silence in Shayri-E-Dard
Zindgi gumon se ndhal hai by daadaulasad in Shayri for Khumar -e- Ishq
Pooja
Guest
«Reply #1 on: March 13, 2006, 06:44:34 PM »
Duniya ka hai shor, duniya ne fariyaad kab suni
Apne dil ko yunhi na torr, kisi ki manjil kabhi nahi chini

Tanha hai Rasta, Tanhai ko hi sath bana
Musafir nahi tu is per akela, kuch aor kadam aggy to barra

Sirf jo dekhogy apne gum, to ghabra jaogy e dost
Charo taraf najar ghuma, ho sake to kisi jakhami ko apna humdard bana

Kisi ke dil main, apna ashiyana basa
De kar payaar ki sougaat, apna gulshan khilla

Ansoo ka dour khatam hua, Subah ki Kiran to jaga
Karvan atty  rahein, karva jaaty rahein, apne dil per vijay pahle khud to pa!!!


--------------------------------------------------------------------
Mood kuch aor tha.. magar kuch aor hi ho gaya
Chupa tha kahin koi chor, Jo kuch bol hi gaya.....

Kuch likh rahi hu... shayad pasand ayye!!!

Be-panah nafarat ka dour dekha hai
Ab kisi se koi shikwa, shikayat nahi
Uske payaar mai, khud ko itna jaleel kiya
Khud ki najar mai, khud ki ab koi chah nahi

Bikharna kisko kahty hai, toot kar chahna kaya hota hai
Her lafz ko, khud jee kar, jakhmo se sarlarth maine hai kiya
Dard ki nagri mai basera mera, kis liye dastak mujko hai diya
Khamoshi meri kuch kahein na kahien
Pal pal jakhamo se risty is khoon ko
Sawikaar maine khud hi to hai kiya!!!!
Logged
D K
Guest
«Reply #2 on: March 13, 2006, 08:45:59 PM »
That was great BD bhai and Pooja ji Usual Smile

Saaya hi jab saath nahi deta to kya...
Is namuraad duniya mein kaun kiska hai,

Apne hi jab zakhm gehra de jaate hain...
Kaise kahein ki ye laachaar dil uska hai,

Daastaan sunayein bhi to kise sunayein...
Ye zamana sun ke thahake maar ke hasta hai.
Logged
TOUCHY
Guest
«Reply #3 on: March 13, 2006, 08:47:59 PM »
Very Nice B D, POOJA AND DK.....
Logged
D K
Guest
«Reply #4 on: March 13, 2006, 09:06:40 PM »
thnx Touchy ji Usual Smile
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #5 on: March 13, 2006, 09:09:50 PM »
Dk jo bhi likhega woh awesome hain, awesome rahega..Bass baat khatam....
Quote from: "D K"
That was great BD bhai and Pooja ji Usual Smile

Saaya hi jab saath nahi deta to kya...
Is namuraad duniya mein kaun kiska hai,

Apne hi jab zakhm gehra de jaate hain...
Kaise kahein ki ye laachaar dil uska hai,

Daastaan sunayein bhi to kise sunayein...
Ye zamana sun ke thahake maar ke hasta hai.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: March 13, 2006, 09:41:28 PM »
Good one DaaKku Kaliya@DK.COM
Logged
D K
Guest
«Reply #7 on: March 13, 2006, 10:02:23 PM »
shukriya dildaare and pooja ji Usual Smile
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #8 on: March 13, 2006, 10:04:34 PM »
Aa jao mere jaan..Pooja ne kya kuch kahan be tujhe..Mereko bohot burra laga...
Logged
D K
Guest
«Reply #9 on: March 13, 2006, 10:08:36 PM »
Ek humko deewana kehna koi gunah nahi
Duniya wale aashiqon ko aur bahot kuchh kehte hain Winking

NM
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: March 14, 2006, 04:35:08 AM »
Wah bahut hee khoob likha hai Jeet Pooja ji and DK bhai...........

Gumaon ki Mehfil mein teri Fariyaad liye baitha hoon......
Teri Bewafai ke baad aaj teri Mahobbat ka chiraag jalaye baitha hoon......
Kyun nahi bhool paa raha hoon tujhe kyun mein teri aas liye baitha hoon....
Pata hai mujhe ki tu na hogi kabhi meri phir tera Intezar kiye baitha hoon.........!!!!!!!!!!!

~~**Badnaam Shayar**~~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: March 14, 2006, 06:17:28 AM »
Thanks and good one BS JI!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #12 on: March 14, 2006, 10:48:06 AM »
Sukriya Pooja,Dildaar,DK,Gaurav n Touchy !!!
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: March 14, 2006, 03:54:24 PM »
janab post shuru ki hai aggy ab kuch likh kar bhi jaye!!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #14 on: March 14, 2006, 06:30:45 PM »
kya karein,, dard ko ek daage mein pironne ke liye, waqt lagta hai,,sham ko thora jaldi mein tha,, abhi chain hai...
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:50:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer