~~~~mila he nahi~~~~

by tanha dil tanha safar on June 30, 2005, 11:04:48 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 1609 times)
tanha dil tanha safar
Guest
Chaha tou bohat lakin woh mila hi nahin
Lakh koshish ki magar yeh faasla mita hi nahin

Is zamane ne majboor hi is qadar kia tha
K meri kisi sada par woh thehra hi nahin

Khuda se jholi phela kar manga tha ussay
Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin

Har aik se sabab poocha terey na milney ka
Har aik ne kaha woh tere liye bana hi nahin

Main apni tamam koshishoon k bawajood tujhey haar gaya
Aur tu usay mil gaya jis ne tujhey kabhi manga hi nahin

Itni shiddat se chaaha magar tu kisi or ka ho gaya
Shayad is jahan me wafa ka koi sila hi nahin




nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
JISE CHAAHA WO MILA NAHI by srikant in Shayri for Khumar -e- Ishq
Chaha tu bohut tha .....Wo mila hi nahi.... by farhanandu in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Wo Mila Hi Nahi by mili_genie in Shayri-E-Dard
Mila wo bhi nahi kerte, by sweet suh in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Mila hi nahi... by maya01 in Shayri-E-Dard
dolly
Guest
«Reply #1 on: June 30, 2005, 11:11:57 AM »
wow wow.....kya baat hai....(not Tanha).......bahut khoob............
Logged
dolly
Guest
«Reply #2 on: June 30, 2005, 11:25:23 AM »
kehte rahe hotonse,zindagi sekoi gila nahi.....
dil mein to thi bas ek baat...
mohabbat ka sila mila nahi...

bheed ka sailaab tha chaaron taraf...
iss soone dil ko humsafar mila hi nahi.....
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #3 on: June 30, 2005, 11:49:07 AM »
humne kaha de de usse mujhko
par sayad usne ye suna hi nahi

kya karte haar gaye hum bhi
jab kisi ne hume chaha hi nahi

mar tu jate par marte bhi kaise
uske intezaar ne marne diya hi nahi
Logged
jochahohojayein
Guest
«Reply #4 on: June 30, 2005, 12:08:21 PM »
ISHQ KE CHARAGO KE HAR TARAF HAI UJALE
ISHQ HO JAYE JISE WO BADA BASEEBO WALA HAI
Logged
Meena
Guest
«Reply #5 on: June 30, 2005, 02:58:31 PM »
tanha ji..bohot ache... kuch lines to bohot hi achi lagi mujhe:

"Khuda se jholi phela kar manga tha ussay
Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin

Har aik se sabab poocha terey na milney ka
Har aik ne kaha woh tere liye bana hi nahin "


baki sab ne bih bohot acha likh!!
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #6 on: July 02, 2005, 06:40:28 AM »
Quote from: "dolly"
kehte rahe hotonse,zindagi sekoi gila nahi.....
dil mein to thi bas ek baat...
mohabbat ka sila mila nahi...

bheed ka sailaab tha chaaron taraf...
iss soone dil ko humsafar mila hi nahi.....


bohot khoob


gar yunhi samjha hai tune uske dil ko aashiyana
to sun le aaj tu bhi ki tune usse samjha he nahi..................
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #7 on: July 02, 2005, 06:44:24 AM »
Quote from: "sandhaya"
humne kaha de de usse mujhko
par sayad usne ye suna hi nahi

kya karte haar gaye hum bhi
jab kisi ne hume chaha hi nahi

mar tu jate par marte bhi kaise
uske intezaar ne marne diya hi nahi



samjhaya usse hazar bar iss dil ne lekin
dil mein uske chahat ke phool khila he nahi............
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #8 on: July 02, 2005, 06:45:30 AM »
Quote from: "jochahohojayein"
ISHQ KE CHARAGO KE HAR TARAF HAI UJALE
ISHQ HO JAYE JISE WO BADA BASEEBO WALA HAI


bohot khoob............................................ .........................
Logged
tanha dil tanha safar
Guest
«Reply #9 on: July 02, 2005, 06:47:15 AM »
Quote from: "Meena"
tanha ji..bohot ache... kuch lines to bohot hi achi lagi mujhe:

"Khuda se jholi phela kar manga tha ussay
Khuda ne meri dua ko shayad suna hi nahin

Har aik se sabab poocha terey na milney ka
Har aik ne kaha woh tere liye bana hi nahin "


baki sab ne bih bohot acha likh!!


thnaks meena ji......................................


de diya tune bhi dard mujhe meri chahat ka
shayad iss dunia mein wafa ka koi sila he nahi..................
Logged
Meena
Guest
«Reply #10 on: July 02, 2005, 10:29:41 AM »
tanha ji....

kyu rakhte ho tum koi umeed is pattar dil zamane se,
hota nahin kuch hasil, koi bhi aas lagane se,
na soch beethi baaton ko tu bar bar aye dost,
ke zakhmo ki aag bujhti nahin usse bar bar barkane se!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: July 02, 2005, 10:34:26 AM »
ekdum madhosh likha hai.. Meena sis...

jo bhi chaha humne hua hi nahi
jis pyar ki tamana ki thi mila hi nahi

yeh dil taras gaya kisi ke pyar ko
magar aaj tak koi mila hi nahi

kuch phool khil kar murjha jaate hain
magar apna gulistaan to khila hi nahi
Logged
Meena
Guest
«Reply #12 on: July 02, 2005, 10:42:15 AM »
shukriya nikki sis and gud one too kuddiye!

humne bhi kiya tha kabhi kisi ka intezzar,
socha tha hume bhi milegi kushiyon ki bahar,
shayad Khuda hi bhul gaya likhni meri kisamt,
ke meri kishti hi doob gayi bich mazdar!!
Logged
nikki
Guest
«Reply #13 on: July 02, 2005, 10:46:43 AM »
too gud sis...n thanx a lot..

mil kar bichadna kya hota hai
koi hume bhi bataye
yeh dil ka lagana kya hota hai
hume bhi samjhaye

zindagi bhar ka saath kya hota hai
koi pal bhar ka hi sahi
hamara saath to nibhaye
Logged
Meena
Guest
«Reply #14 on: July 02, 2005, 10:52:30 AM »
gud gud kuddiye!!!!!!!!!!

pal bar ka sahara na mang aye dost,
mango to umar bhar ke liye,
Khuda bhi hisab rakhta hai aaj kal,
kahi palon me bhi na khat le aur bih pal apne hisab ke lyie!
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 09:43:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.096 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer