Mohabbat Se Ab Nikaal Mujhe,,. {Aarzu},.

by Jaanasheen on May 07, 2012, 07:36:50 PM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1177 times)
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
Saans Lena Hua Muhaal Mujhee,.
Is Mohabbat Se Ab Nikaal Mujhe,.

Ab Main Teri Hi Zimmedaari Hoon,.
Kho Na Jaaoon Kaheen Sambhaal Mujhe,.

Ab Behelta Nahi Main Lafzon Se,.
Ab Na Dena Koi Misaal Mujhe,.

Sab Ke Baare Mein Sochta Hoon Magar,.
Apna Rehta Nahi Khayaal Mujhe,.

Jaate Jaate Woh Kis Liye Palti,.
Ab Sataayega Ye Sawaal Mujhe,.

Saaf Keh Do Tumhaare Dil Mein Jo Hai,.
Inn Bahaano Se Ab Na Taal Mujhe,.

Yaad Rakhna Na Bhool Paaya Hoon,.
Hai Isi Baat Ka Malaal Mujhey,.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #1 on: May 07, 2012, 07:47:29 PM »
Merheba Merheba Azeem saheb. Bahut hi khoobsurat andaaz mei.n likhi aapne ye ghazal. Bahut hi khoob.

Lekin ek sawaal bhi, matle ke she'r se ye matlab nikal raha hai k aap mohabbat mein phanse hain aur isse nikalne ki ilteja ker rahe hai.n, yaani ki aap mohabbat se munh mode rahe hai.n, aap hausla haar rahe hai.n. Mohabbat se haarna to bhai saraasar ghalat hai. Main neeche ek-aadh she'r likhta hu.n aapke liye:

Aasaa.n nahi hai ishq ye jaan lijiye
Ye aag ka dariya hai aur dub k jaana hai

Ye kissne keh diya tumse k baazi haar baithe hum
Mohabbat mei.n lutaane ko abhi ye jaan baaqi hai
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #2 on: May 07, 2012, 07:50:03 PM »
Merheba Merheba Azeem saheb. Bahut hi khoobsurat andaaz mei.n likhi aapne ye ghazal. Bahut hi khoob.

Lekin ek sawaal bhi, matle ke she'r se ye matlab nikal raha hai k aap mohabbat mein phanse hain aur isse nikalne ki ilteja ker rahe hai.n, yaani ki aap mohabbat se munh mode rahe hai.n, aap hausla haar rahe hai.n. Mohabbat se haarna to bhai saraasar ghalat hai. Main neeche ek-aadh she'r likhta hu.n aapke liye:

Aasaa.n nahi hai ishq ye jaan lijiye
Ye aag ka dariya hai aur dub k jaana hai

Ye kissne keh diya tumse k baazi haar baithe hum
Mohabbat mei.n lutaane ko abhi ye jaan baaqi hai

Shukriya Bhai,.

Ye Bas Ek Tanz Hain, Ke Saans Lena Hua Muhaal Mujhe, Ab Mohabbat Se Nikaal Mujhe,.

Waise Mohabbat Karne Ke Baad Mohabbat Se Peeche Kaun Hataa Hai,.
Saansein Khatam Hoti Hai, Maut Zindagi Ko Aati Hai Mohabbat Ko Nahi,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 07, 2012, 07:53:07 PM »
Aure Ye Line Kuch Aapne Line Par,.

Doobe Mohabbat Ke Samander Mein, Par Pyaase Nikle,.
Zara Si Thandak Ke Liye, Chain Saara Gawaa Diya,.

Yun To Karni Thi Hukumat Hume Zamaane Par,.
Mohabbat Ne Is "Azeem Ko, Ghulaam Banaa Diya,.
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #4 on: May 07, 2012, 08:15:35 PM »
Phir sahi hai.
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #5 on: May 08, 2012, 03:48:25 AM »
waah waah
Logged
killbill
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
24 days, 7 hours and 41 minutes.
Posts: 2130
Member Since: Oct 2010


View Profile
«Reply #6 on: May 08, 2012, 08:22:22 AM »
baht khoob Azeem ji
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: May 08, 2012, 08:29:35 AM »
waah waah

Shukriya
Logged
Anahita
Guest
«Reply #8 on: May 08, 2012, 12:03:32 PM »
BAHUT KHOOBSOORAT GHAZAL.
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Quateel Ahmad
Guest
«Reply #9 on: May 08, 2012, 12:13:52 PM »
Azeem sahab, ghazal Achchi lagi. Mubarakbad aur daad pesh hai!

Lekin tasveer badi disturbing hai!
Logged
soudagar
Guest
«Reply #10 on: May 08, 2012, 12:16:00 PM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley icon_salut icon_salut icon_salut
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #11 on: May 08, 2012, 01:51:04 PM »
Applause Applause Applause Applause Applause  bahut bahut khoob likha hai aapne Azeem ji....!!!
Logged
rituraj_parwar
Guest
«Reply #12 on: July 07, 2012, 02:27:22 PM »
waah kya baat hai.
Logged
BANSI DHAMEJA
Guest
«Reply #13 on: July 07, 2012, 04:25:53 PM »
AZEEN JI APNE BAHUT KHOOB LIKHA HAI. main kuchh arz kar raha hoon

MOHABAT MEN KOI KISIKO DUBOTA NAHIN
JAB KOI DUBOTA NAHIN TO KOI NIKALEGA NAHIN

KHUD HI DOOBTE HAIN DRYA-E-MOHABAT MEN
JO DOOB JATE HAIN NIKALNA CHAHTE NAHIN
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 29 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #14 on: July 09, 2012, 10:03:18 AM »
baht khoob Azeem ji

Shukriya Kill Bill Ji,.
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 04:50:23 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.136 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer