***mohobbat ka rog***

by kaushikbhawna008 on July 31, 2008, 07:22:32 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1078 times)
kaushikbhawna008
Guest
ham ho sake kisi aur k aisa ho na saka
wo ek pal bhi mere dil se juda nahi hai

geeli ret par pairon k nishaan ye kehte hain
shayd usse bhi ye tanhai kat.ti nahi hai

chand ki khamoshi se aksar yahi bayan hota hai
mujhse bichadkar wo kai raat shayd soya nahi hai

wo chupate hain shauk se apne palko mein aansu
par koi raaz-e-dil uska mujhse juda nahi hai

likhte hain kabhi wafa to kabhi be-wafaa use
par dil ko koi bhi naam ab jachta nahi hai

kaise karoon mein ankhein band jo najar na aa sake wo
mujhe band aankho se bhi uske siwa kuch dikhta nahi hai

palta hai dil mei kahi ab bhi mohobbat ka rog
shayd ye sach hai mout se pehle ye rog kat.ta nahi hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
mohobbat by jeet jainam in Shayri for Dard -e- Judai
mohobbat(3083) by manav30081993 in Shayri for Khumar -e- Ishq
mohobbat tum se sikhi by Dineshkumarjonty in Share:Love Poetry
Mohobbat ka izhaar by Dineshkumarjonty in Shayri for Khumar -e- Ishq
vakt ne mohobbat ko... by Dineshkumarjonty in Shayri-E-Dard
k.shael
Guest
«Reply #1 on: July 31, 2008, 09:36:58 AM »
 Applause  Applause
VERY NICE,
KAUSHIK KEEP GOING
BY. K.SHAEL


KEHTE HAI YE ROG ISHQ KA BURA HOTA HAI,
YE WO HOTA HAI JISME MOHABBAT KA AFSANA ADHURA
HOTA HAI,ISME MIT.TE KABHI GAMM NAHI KYUNKI,YE TO
KHUD KO MITANE KA EK ANDAAJ HOTA HAI....
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: July 31, 2008, 09:41:29 AM »
shukriya shally
Logged
baadal102
Guest
«Reply #3 on: July 31, 2008, 10:50:37 AM »
wah ji kya baat hai bhawana ji
bahut aacha likha hai aap ne

sheal ji bahut khub
thanx to share with us




Baadal
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #4 on: July 31, 2008, 10:57:11 AM »
shukriya baadal ji

aaj baarish mei mujhe bheeg jaane do
is baarish mei kuch ashk bahane do

rota mujhe koi dekhega to puchega pyaar k kisse
is baarish mei ab har gam ko beh jaane do

wo hai wafaadar ya bewafaa mein hi jaanti hoon
bas uski yaadon ko hi ab sehlaane do

gujra waqt kab laut kar aa saka "bhawna"
jo beet gaya ab use bhul jaane do
 
raahe ulfat ki hoti hain mohobbat ki sada
ab ye baat is dil ko bhi samjhane do
 
rahe gardishon mein ya mehfilon se rahe wasta
bas tanhaiyon ko hi ab gale lagane do
 
kitni meethi thi wo baatein suhani thi jo mulakatein
un meethi baaton k bharam se ab jee behlane do
 
aaj baarish mei mujhe bheeg jaane do



 

 
 
 
 
 
Logged
baadal102
Guest
«Reply #5 on: July 31, 2008, 10:59:59 AM »
bahut aache bhawana ji
keep it up
thanx again



Baadal
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: July 31, 2008, 11:01:00 AM »
ham ho sake kisi aur k aisa ho na saka
wo ek pal bhi mere dil se juda nahi hai

geeli ret par pairon k nishaan ye kehte hain
shayd usse bhi ye tanhai kat.ti nahi hai

chand ki khamoshi se aksar yahi bayan hota hai
mujhse bichadkar wo kai raat shayd soya nahi hai

wo chupate hain shauk se apne palko mein aansu
par koi raaz-e-dil uska mujhse juda nahi hai

likhte hain kabhi wafa to kabhi be-wafaa use
par dil ko koi bhi naam ab jachta nahi hai

kaise karoon mein ankhein band jo najar na aa sake wo
mujhe band aankho se bhi uske siwa kuch dikhta nahi hai

palta hai dil mei kahi ab bhi mohobbat ka rog
shayd ye sach hai mout se pehle ye rog kat.ta nahi hai


shukriya baadal ji

aaj baarish mei mujhe bheeg jaane do
is baarish mei kuch ashk bahane do

rota mujhe koi dekhega to puchega pyaar k kisse
is baarish mei ab har gam ko beh jaane do

wo hai wafaadar ya bewafaa mein hi jaanti hoon
bas uski yaadon ko hi ab sehlaane do

gujra waqt kab laut kar aa saka "bhawna"
jo beet gaya ab use bhul jaane do
 
raahe ulfat ki hoti hain mohobbat ki sada
ab ye baat is dil ko bhi samjhane do
 
rahe gardishon mein ya mehfilon se rahe wasta
bas tanhaiyon ko hi ab gale lagane do
 
kitni meethi thi wo baatein suhani thi jo mulakatein
un meethi baaton k bharam se ab jee behlane do
 
aaj baarish mei mujhe bheeg jaane do



 

 
 
 
 
 


Good Work Bhawna... Applause
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #7 on: July 31, 2008, 11:02:45 AM »
thnk u so much mahiya ji and baadal ji
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #8 on: July 31, 2008, 11:16:14 AM »
Bhawna

Very good work Applause Applause Applause

Keep it up Thumbs UP
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #9 on: August 06, 2008, 06:42:16 AM »
shukriya rajbir ji
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 11:29:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer