Muhabbat ke jaisa ( Fikr)

by janumanu on June 07, 2011, 11:04:13 AM
Pages: [1]
Print
Author  (Read 1362 times)
janumanu
Guest
muhabbat ke jaisa nasha hi nahi hai
sabhi kuch hai isme wafa hi nahi hai

pada aaine se lagana mujhe dil
mere jaisa koee bana hi nahi hai

musfat ka apni akela mai raahi
mere sath koe chala hi nahi hai

jala hai bujha hai, subah shaam suraj
dhala jo mera din ugaa hi nahi hai

ladega bhi kaise fir apas mai aadam
jahaN par suna hai khuda hi nahi hai

bade ghar ki ladki, bhale ghar ka ladka
laga to tha podha, phalaa hi nahi hai

pareshaan ho itne, aji baat kya hai
batana nahi ya.. pata hi nahi hai

laga kaise goolar ye daman ko mere
badha hi kiya gham, ghataa hi nahi hai

goolar... aisa phool kahte hai jisme rakho usme barkat hoti rahti hai


use maangna tum na taaroN se hargiz
gira jo wahaN se, milaa hi nahi hai

munafe ki tumko lagi fikr aadat
magar ishq mai to nafa hi nahi hai
[/color][/size][/size][/size]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Fikr-e-bandegi subah o shaam karo............(nazar ghouri) by nazar ghouri in Shairi - E - Zindagi « 1 2  All »
|| Fikr.....Priya... || by manzil-e-ishq in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Hadd-e-fikr say aagay by Brijinder in Shayri for Khumar -e- Ishq
EK FIKR by justtauseef in Miscellaneous Shayri
fikr......................(K_A) by khamosh_aawaaz in Shairi - E - Zindagi
ParwaaZ
Guest
«Reply #1 on: June 07, 2011, 11:26:04 AM »
Janumanu Jee Aadaab!


Lambe arse baad aapki kisi kalaam se ruberu huye haiN.. Usual Smile
Badi khushi mehsus ho rahi hai Usual Smile

Aap ki soch ke gehrai jo ashaaroN meiN samaaye to gazab
ke ashaar kalam se nikalte hai aapke ... Usual Smile

Aapki yeH kalaam bhi behad gehri aur umdaa rahi.. Usual Smile
Aapne zameen behad masoom si chuni hai padhne meiN achchi
lag rahi hai... Usual Smile           




muhabbat ke jaisa nasha hi nahi hai
sabhi kuch hai isme wafa hi nahi hai

Kia kahne Janab behad sahiN farmaya.. Usual Smile

Gar mohobbat meiN wafaa hoti
To youN na woH mujhse judaa hoti           


pada aaine se lagana mujhe dil
mere jaisa koee bana hi nahi hai

Kia kahne Janab bahtu achche daad Usual Smile         

musfat ka apni akela mai raahi
mere sath koe chala hi nahi hai

Achcha sher hai daad Usual Smile         

jala hai bujha hai, subah shaam suraj
dhala jo mera din ugaa hi nahi hai

Kia kahne janab yeH behad khub sher kaha hai daad Usual Smile         

ladega bhi kaise fir apas mai aadam
jahaN par suna hai khuda hi nahi hai

Masha Allah ki soch ka muzahera kiya hai janab..
Achcha rasta nikala hai daad Usual Smile         


bade ghar ki ladki, bhale ghar ka ladka
laga to tha podha, phalaa hi nahi hai

Achcha khayaal bayaaN kiya hai daad Usual Smile         

pareshaan ho itne, aji baat kya hai
batana nahi ya.. pata hi nahi hai

Waah janab waah bahut umdaa Usual Smile daad daad           

laga kaise goolar ye daman ko mere
badha hi kiya gham, ghataa hi nahi hai

goolar... aisa phool kahte hai jisme rakho usme barkat hoti rahti hai


Achcha hai janab.... Usual Smile

GhamoN ke beeNj woH mere gulshan e dil me dal gaya
Badhti gayi fasle bahaar apne hii bahaar se...           


use maangna tum na taaroN se hargiz
gira jo wahaN se, milaa hi nahi hai

Kia baat hai gazab ka ashaar kaha hai janab daad daad daad Usual Smile         

munafe ki tumko lagi fikr aadat
magar ishq mai to nafa hi nahi hai

Bahut umdaa Fikr sahaab... hazaroN daad maqte par Usual Smile         

[/color][/size][/size][/size]

Behad khub aur umdaa kalaam kahi hai Fikr sahaab ..
Dil se daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile
Likhate rahiye... Usual Smile
Aate rahiye...... Usual Smile

Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez Usual Smile         

Logged
nirala
Guest
«Reply #2 on: June 07, 2011, 11:29:39 AM »
ladega bhi kaise fir apas me aadam
……
iss sher ko smjh nai saka mai…

baaki ka kalaam…
bht bht bht umda hai…
its simply superb…
hats off to u
Logged
Satish Shukla
Khususi Shayar
*****

Rau: 51
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
25 days, 6 hours and 16 minutes.

Posts: 1862
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: June 07, 2011, 12:53:32 PM »

janumanu ji,

bahut khoob..kya ghazal kahee hai maza aa gaya..

Satish Shukla 'Raqeeb'
Logged
MANOJ6568
Khaas Shayar
**

Rau: 31
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
42 days, 19 hours and 59 minutes.

Astrologer & Shayer

Posts: 12017
Member Since: Feb 2010


View Profile
«Reply #4 on: June 07, 2011, 06:33:21 PM »
nice
muhabbat ke jaisa nasha hi nahi hai
sabhi kuch hai isme wafa hi nahi hai

pada aaine se lagana mujhe dil
mere jaisa koee bana hi nahi hai

musfat ka apni akela mai raahi
mere sath koe chala hi nahi hai

jala hai bujha hai, subah shaam suraj
dhala jo mera din ugaa hi nahi hai

ladega bhi kaise fir apas mai aadam
jahaN par suna hai khuda hi nahi hai

bade ghar ki ladki, bhale ghar ka ladka
laga to tha podha, phalaa hi nahi hai

pareshaan ho itne, aji baat kya hai
batana nahi ya.. pata hi nahi hai

laga kaise goolar ye daman ko mere
badha hi kiya gham, ghataa hi nahi hai

goolar... aisa phool kahte hai jisme rakho usme barkat hoti rahti hai


use maangna tum na taaroN se hargiz
gira jo wahaN se, milaa hi nahi hai

munafe ki tumko lagi fikr aadat
magar ishq mai to nafa hi nahi hai
[/color][/size][/size][/size]
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #5 on: June 07, 2011, 09:55:56 PM »
Wah wah Janumanu ji,baddiya peshkash ,bahut hi khoob,excellent. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
manjum
Guest
«Reply #6 on: June 08, 2011, 03:43:38 AM »
wah wah.... janumanuji... kamaal ki rachna hai.... ek ek sher asardar....khub...

 Applause Applause Applause
Logged
janumanu
Guest
«Reply #7 on: June 09, 2011, 10:19:02 AM »
Janumanu Jee Aadaab!


Lambe arse baad aapki kisi kalaam se ruberu huye haiN.. Usual Smile
Badi khushi mehsus ho rahi hai Usual Smile

Aap ki soch ke gehrai jo ashaaroN meiN samaaye to gazab
ke ashaar kalam se nikalte hai aapke ... Usual Smile

Aapki yeH kalaam bhi behad gehri aur umdaa rahi.. Usual Smile
Aapne zameen behad masoom si chuni hai padhne meiN achchi
lag rahi hai... Usual Smile           




Behad khub aur umdaa kalaam kahi hai Fikr sahaab ..
Dil se daad O mubarakbad kabul kijiye.. Usual Smile
Likhate rahiye... Usual Smile
Aate rahiye...... Usual Smile

Khush O aabaad rahiye...
Khuda Hafez Usual Smile         



thanks dear .............. thank u so much
Logged
janumanu
Guest
«Reply #8 on: June 09, 2011, 10:20:47 AM »
ladega bhi kaise fir apas me aadam
……
iss sher ko smjh nai saka mai…

baaki ka kalaam…
bht bht bht umda hai…
its simply superb…
hats off to u


ladega bhi kaise fir apas me aadam
jahaN pe suna hai khuda hi nahi hai

bhayee aajkal insaan ek hi bata pe liye jhagdtaa hai..... ye khuda woh khudaa, hindu muslim, ..
agar khuda hi na ho to ye problem hi nahi hogi na
ab shayer ka kya hai, soch leta hai
Logged
janumanu
Guest
«Reply #9 on: June 09, 2011, 10:21:38 AM »
janumanu ji,

bahut khoob..kya ghazal kahee hai maza aa gaya..

Satish Shukla 'Raqeeb'


janaab raqeeb saa'b
aapka behad shukrguzaar hun aapne , aur likhne ka hoNsla diya
Logged
janumanu
Guest
«Reply #10 on: June 09, 2011, 10:23:29 AM »
Wah wah Janumanu ji,baddiya peshkash ,bahut hi khoob,excellent. Hats off to you! icon_thumleft Applause Applause Applause Applause

shukriyaa. shurkiyaaa ..... shukriyaa
Logged
Pages: [1]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 01:57:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.151 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer