Muhabbat ki hakikat

by thycreator on March 30, 2008, 09:00:03 AM
Pages: [1] 2 3 4
Print
Author  (Read 5152 times)
thycreator
Guest
Hello everyone....

Trying for my revival on yoindia, dekhna hai kitna kamayab ho pata hun.....


Muhabbat ki hakikat ko, samajh main kyun nahi paya,
Jab samjha toh yahi samjha, na sathi hai na hai saaya,

Meri deewangi ka ab toh aalam ye hua dekho,
Khud ko kho ke bhi dekha, bewafa phir bhi kehlaya..

Wo mujhse rutha baitha hai, na ab apna samajhta hai,
Nahi samjha saka usko, jo apna dil bhi dikhlaya..

Wo kya ilzaam ab dega, khuda ka keher dekha hai,
Raqeebon ki fehrisht mein, mera bhi naam hai aaya..

Jo ye anzaam-e-ulfat hai, tauba hum toh karte hain,
Khudaya kyu bhala tune, Gunah ye humse karwaya...

Muhabbat ki hakikat ko, samajh main kyun nahi paya,
Jab samjha toh yahi samjha, na sathi hai na hai saaya..


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
muhabbat ko dekhana hai to muhabbat se dekhea by siddharth in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat ek hakikat hai...... by bhambra in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 22 23 »
Hakikat mein Gar wo by harashmahajan in Ghazals
hakikat by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
***HAKIKAT***_________Baadal by baadal102 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
harashmahajan
Guest
«Reply #1 on: March 30, 2008, 12:13:11 PM »
Quote
Hello everyone....

Trying for my revival on yoindia, dekhna hai kitna kamayab ho pata hun.....


Muhabbat ki hakikat ko, samajh main kyun nahi paya,
Jab samjha toh yahi samjha, na sathi hai na hai saaya,

Meri deewangi ka ab toh aalam ye hua dekho,
Khud ko kho ke bhi dekha, bewafa phir bhi kehlaya..

Wo mujhse rutha baitha hai, na ab apna samajhta hai,
Nahi samjha saka usko, jo apna dil bhi dikhlaya..

Wo kya ilzaam ab dega, khuda ka keher dekha hai,
Raqeebon ki fehrisht mein, mera bhi naam hai aaya..

Jo ye anzaam-e-ulfat hai, tauba hum toh karte hain,
Khudaya kyu bhala tune, Gunah ye humse karwaya...

Muhabbat ki hakikat ko, samajh main kyun nahi paya,
Jab samjha toh yahi samjha, na sathi hai na hai saaya..

thycreator ji..hum aapko is khoobsoorat Bazm maiN aapke rivival ke liye khush-aamdiid kehte haiN our umeed kerte haiN ki aapka izafa yahaaN per soodmand saabit hoga our yakeenan aapke funn se is bazm ki rounaq badegi...Aapke mutaabik aisa lagta hai ke aap pehle bhi kaafi arsa yahaN bita chuke haiN toh sabhi puraane funkaar aapko jaante hi hoNge...our umeed kerta hooN aapke zer-e-saya humko bhi kutchh seekhne ko mil jaayega...our ye bhi umeed kerta hooN ki aap bhi is bazm maiN dubara aaker mayuus nahiN hoNge.....Khush raheiN.....

Kutchh asharas aapki Ghazal ko pad ker Zehen maiN aayeiN haiN....aapki Ghazal ko samarpit kerta hooN..umeed haiN pasand aayeNge......



Mohabbat maiN lagta hai tumeh bahoot sataya gaya hai
yahi woh wazeh hai shayad tumse ab uska saya gaya hai

Woh aalam-e-dewaangi kyuiN suna rahe ho aaj hamko
Yakeenan tummse uske gaam ka pata chhupaya gaya hai

kutchh Suna hai ke woh samjha hai na samjhe ga kabhi
yakeeN tumko is weham ka aakhirish dilaaya gaya hai

Usne likh diya tera naam ab raqeeboN ke fehriht maiN
Sitamm ab tumhaare dil par is kader dhaya gaya hai

Woh keh chuke haiN ab, kabhi ho sakeNge na tere
ye ashq-e-gum ka zeher unhi se laaker pilaya gaya hai


Harash
Logged
thycreator
Guest
«Reply #2 on: March 30, 2008, 04:12:52 PM »
Apki shabdon ke liye tahe dil se shukriya Harsh ji, maine yoindia par pehle bhi kafi accha waqt bitaya, lekin zamane mein ulajhne se ab yahan aana jaana thoda kam ho gaya hai...phir se ek koshish hai ki shayad main yahan kuch aur waqt bita saku....

Apki likhi panktiyan bhi padhi.....kafi accha likha hai apne.. Applause socha main bhi kuch likh ka apko jawab de dun....

Nigah-e-ashk ke jharokhon se hi bas deedar kiya hai,
Dhoondhali hi dikhi hai dunia jab bhi pyaar kiya hai..

Wo koi aur hi honge jo gul-e-muhabbat khilate hain,
Mere dil par toh bas kaaton ka hi waar kiya hai..

Sunte the hum bhi kisse kabhi laila aur majnu ke,
Aise kisso ko toh bas sapno mein hi sakar kiya hai..

Kare jurrat bhi ab kaise ki muhabbat karein phir se,
Dil ke tukadon ko palkon se ikattha humne sarkar kiya hai
....Usual Smile
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #3 on: March 30, 2008, 04:47:33 PM »
Quote
Apki shabdon ke liye tahe dil se shukriya Harsh ji, maine yoindia par pehle bhi kafi accha waqt bitaya, lekin zamane mein ulajhne se ab yahan aana jaana thoda kam ho gaya hai...phir se ek koshish hai ki shayad main yahan kuch aur waqt bita saku....

Apki likhi panktiyan bhi padhi.....kafi accha likha hai apne..  socha main bhi kuch likh ka apko jawab de dun....

Nigah-e-ashk ke jharokhon se hi bas deedar kiya hai,
Dhoondhali hi dikhi hai dunia jab bhi pyaar kiya hai..

Wo koi aur hi honge jo gul-e-muhabbat khilate hain,
Mere dil par toh bas kaaton ka hi waar kiya hai..

Sunte the hum bhi kisse kabhi laila aur majnu ke,
Aise kisso ko toh bas sapno mein hi sakar kiya hai..

Kare jurrat bhi ab kaise ki muhabbat karein phir se,
Dil ke tukadon ko palkon se ikattha humne sarkar kiya hai....


thycreator ji..adaab...Zehen maiN bahoot sakooN mila ki behtareen likhne waale Tariin shaksiat ki abhi kami nahi hai..aapke ek pukhta ahsaas liye ye tehreer ko anjaam diya hai....aapko meri janib se daad pesh hai kabool farmaiiyega....

Woh nahiN mera magar  mohabbat ne ikraar kiya hai
Sach kahooN  hamne uski bagawat se pyaar kiya hai

Dost tha woh mera magar dushman ki tarah dansta raha
jalim ki dekh Fitrat hamne fir bhi  pyaar kiya hai


Harash
 
Logged
thycreator
Guest
«Reply #4 on: March 30, 2008, 07:02:42 PM »
Harsh ji,

Ek bar phir se apka bahut bahut dhanyawad.....

Aur bahut sach kaha bhi hai apne.......


Muhabbat mein majnu ko dar dar firte hi dekha hai,
Ishq mein humne insaan ko girte hi dekha hai..

Jo hain anjaam-e-muhabbat se gaflat humne unko,
Sada se toot kar bas khaaq mein milte hi dekha hai..

Banaye aashiyan ishq ka, sabhi mansoobe rakhte hain,
Aise iradon ko humne sapno mein palte hi dekha hai..

Khuda jaane hai aage badhna meri fitrat rahi hai par,
Bina manzil bas raah-e-ishq mein chalte hi dekha hai..

Logged
sarthika
Guest
«Reply #5 on: March 30, 2008, 07:19:56 PM »
bahoot khoob thycreator and good reply Harsh!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #6 on: March 30, 2008, 10:15:06 PM »
Thanks a lot Sarthika ji.....aapne kuch nahi likha....agali bar apse ummeed rahegi hame bhi....Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #7 on: March 30, 2008, 11:49:02 PM »
Apki shabdon ke liye tahe dil se shukriya Harsh ji, maine yoindia par pehle bhi kafi accha waqt bitaya, lekin zamane mein ulajhne se ab yahan aana jaana thoda kam ho gaya hai...phir se ek koshish hai ki shayad main yahan kuch aur waqt bita saku....

Apki likhi panktiyan bhi padhi.....kafi accha likha hai apne.. Applause socha main bhi kuch likh ka apko jawab de dun....

Nigah-e-ashk ke jharokhon se hi bas deedar kiya hai,
Dhoondhali hi dikhi hai dunia jab bhi pyaar kiya hai..

Wo koi aur hi honge jo gul-e-muhabbat khilate hain,
Mere dil par toh bas kaaton ka hi waar kiya hai..

Sunte the hum bhi kisse kabhi laila aur majnu ke,
Aise kisso ko toh bas sapno mein hi sakar kiya hai..

Kare jurrat bhi ab kaise ki muhabbat karein phir se,
Dil ke tukadon ko palkon se ikattha humne sarkar kiya hai
....Usual Smile

Bahut khoob Thycreator ji

Mohobbat ki hakikat ko jana kisne?
Jisne bi Mohobbat ki, sirf dil jala ke baita


 
Logged
Roja
Guest
«Reply #8 on: March 30, 2008, 11:56:09 PM »


Mohabbat maiN lagta hai tumeh bahoot sataya gaya hai
yahi woh wazeh hai shayad tumse ab uska saya gaya hai

Woh aalam-e-dewaangi kyuiN suna rahe ho aaj hamko
Yakeenan tummse uske gaam ka pata chhupaya gaya hai

kutchh Suna hai ke woh samjha hai na samjhe ga kabhi
yakeeN tumko is weham ka aakhirish dilaaya gaya hai

Usne likh diya tera naam ab raqeeboN ke fehriht maiN
Sitamm ab tumhaare dil par is kader dhaya gaya hai

Woh keh chuke haiN ab, kabhi ho sakeNge na tere
ye ashq-e-gum ka zeher unhi se laaker pilaya gaya hai


Harash


Bahut khoob Harash ji...
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #9 on: March 31, 2008, 02:48:45 AM »
Shukriyaa^h Roja ji our thycreator ji....our khoob kaha aapne creator saheb.....


Mohabbat maiN ab dar-dar batakne ka chalan ho chala hai
Na dekhi aisi be-rukhi ke majnu ab bad-chalan ho chala hai

Harash
Logged
thycreator
Guest
«Reply #10 on: March 31, 2008, 05:37:02 AM »
Thanks a lot Roja ji for your kind words......kaisi hain aap??

Kabhi socha bhi na tha din kayamat ke bhi aayenge,
Muhabbat ki khata kar li, ab sapna sach hua sa hai...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #11 on: March 31, 2008, 05:39:32 AM »
Shukriyaa^h Roja ji our thycreator ji....our khoob kaha aapne creator saheb.....


Mohabbat maiN ab dar-dar batakne ka chalan ho chala hai
Na dekhi aisi be-rukhi ke majnu bad-chalan ho chala hai

Harash



Thanks a lot Harsh ji.......

Muhabbat se bhare kisse toh kisse hi hote hain,
Yahan har roz har laila ka har majnu badalta hai..
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #12 on: March 31, 2008, 06:48:53 AM »

Shukriyaa^h Roja ji our thycreator ji....our khoob kaha aapne creator saheb.....


Mohabbat maiN ab dar-dar batakne ka chalan ho chala hai
Na dekhi aisi be-rukhi ke majnu bad-chalan ho chala hai

Harash



Thanks a lot Harsh ji.......

Muhabbat se bhare kisse toh kisse hi hote hain,
Yahan har roz har laila ka har majnu badalta hai..


Ji durust kaha aapne creator sahab....duniyaa ab toh samajhne ka kaabil hi kahaaN..apne apne kahaaN dost..

Insani Fitrat misaaleiN badalti rehti hai
Mout toh roz Niwaale badalti rehti hai

Bari ajeeb hai dunia, tawayafon ki tereh,
Hamesha chahne wale badalti rehti hai...


Harash
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #13 on: March 31, 2008, 09:47:08 AM »
Bohat khoob Harash ji aur thycreator ji.. Applause
Logged
ghanshyam22
Guest
«Reply #14 on: March 31, 2008, 10:50:33 AM »
gr8 yaar icon_flower
Logged
Pages: [1] 2 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:39:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.119 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer