Muhabbat ki hakikat

by thycreator on March 30, 2008, 09:00:03 AM
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Author  (Read 5149 times)
thycreator
Guest
«Reply #15 on: March 31, 2008, 04:21:04 PM »



Ji durust kaha aapne creator sahab....duniyaa ab toh samajhne ka kaabil hi kahaaN..apne apne kahaaN dost..

Insani Fitrat misaaleiN badalti rehti hai
Mout toh roz Niwaale badalti rehti hai

Bari ajeeb hai dunia, tawayafon ki tereh,
Hamesha chahne wale badalti rehti hai...


Harash


Bahut hi accha likha apne Harash ji......a really nice way to put forward the truth......Usual Smile


Kaun Yad karta hai tere chale jaane ke bad,
Jab rehne par tere kadar kuch teri na hui,

Yahi hai rasm dunia ka sadiyon se aye dost,
Ye dunia toh aaj tak kabhi kissi ki na hui...

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
muhabbat ko dekhana hai to muhabbat se dekhea by siddharth in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat ek hakikat hai...... by bhambra in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 22 23 »
Hakikat mein Gar wo by harashmahajan in Ghazals
hakikat by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
***HAKIKAT***_________Baadal by baadal102 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Pooja
Guest
«Reply #16 on: March 31, 2008, 04:24:21 PM »
good one Amit!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #17 on: March 31, 2008, 04:24:49 PM »
Bohat khoob Harash ji aur thycreator ji.. Applause

Thanks a lot honeyrose ji......aur sirf claps.....aap bhi kuch likh deti....tongue3
Logged
thycreator
Guest
«Reply #18 on: March 31, 2008, 04:25:53 PM »
good one Amit!!

Thanks a lot Pooja ji....lekin sirf appreciation aap par suit nahi karta....tongue3
Logged
thycreator
Guest
«Reply #19 on: March 31, 2008, 04:27:18 PM »
gr8 yaar icon_flower

Thanks a lot dear.
Logged
syednaami
Guest
«Reply #20 on: March 31, 2008, 04:28:05 PM »
Shauq itna tha bas deedar hojaye
dard itna tha dil main judai ka
socha nahin ki pyar ka matlab judai bhi hai


LIFE....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: March 31, 2008, 04:38:01 PM »
Hello everyone....

Trying for my revival on yoindia, dekhna hai kitna kamayab ho pata hun.....


Muhabbat ki hakikat ko, samajh main kyun nahi paya,
Jab samjha toh yahi samjha, na sathi hai na hai saaya,

Meri deewangi ka ab toh aalam ye hua dekho,
Khud ko kho ke bhi dekha, bewafa phir bhi kehlaya..

Wo mujhse rutha baitha hai, na ab apna samajhta hai,
Nahi samjha saka usko, jo apna dil bhi dikhlaya..

Wo kya ilzaam ab dega, khuda ka keher dekha hai,
Raqeebon ki fehrisht mein, mera bhi naam hai aaya..

Jo ye anzaam-e-ulfat hai, tauba hum toh karte hain,
Khudaya kyu bhala tune, Gunah ye humse karwaya...

Muhabbat ki hakikat ko, samajh main kyun nahi paya,
Jab samjha toh yahi samjha, na sathi hai na hai saaya..




Lijiye janab.. apki hi kavita ko najar mai rakhte hue... kuch likhne ki koshish ki hai:

Muhabbat ki hakikat ko, samajh main kyun nahi paya
Jitna samjhata gaya, utna hai iska arth kam jaan paaya

Jitna bhi dil se chaha use humne dosto
Na jaane kyun, utna hi door usko khud se paaya

Kabhi kuch to kabhi kuch bahane milte rahe hume
Her baat maan kar bhi, tanhaai ka saya hi hath ayya

Khud ko mitane se bhi nahi milta pyar is zamane main
Umar bhar khud ko rula kar, ab yahi samjh main ayya

Jise nahi tumse pyar wo kabhi na hoga tumhara
Itani si haqiqat jan.ne main, na jaane kaya kaya gum hai uthaya

Muhabbat ki hakikat ko, samajh main kyun nahi paya
Jitna samjhata gaya, utna hai iska arth kam jaan paaya!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #22 on: March 31, 2008, 04:44:07 PM »
Dekhiye is tasveer ko zara ghor se
muhabbat ka yeh haal hai janab
kyun jalaate ho dil ko is azaab main
dekho har shakhs ki nazar main hai pagal woh.


LIFE....
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #23 on: April 01, 2008, 03:21:45 AM »



Ji durust kaha aapne creator sahab....duniyaa ab toh samajhne ka kaabil hi kahaaN..apne apne kahaaN dost..

Insani Fitrat misaaleiN badalti rehti hai
Mout toh roz Niwaale badalti rehti hai

Bari ajeeb hai dunia, tawayafon ki tereh,
Hamesha chahne wale badalti rehti hai...


Harash


Bahut hi accha likha apne Harash ji......a really nice way to put forward the truth......Usual Smile


Kaun Yad karta hai tere chale jaane ke bad,
Jab rehne par tere kadar kuch teri na hui,

Yahi hai rasm dunia ka sadiyon se aye dost,
Ye dunia toh aaj tak kabhi kissi ki na hui...



waah creator ji....bahoot khoob..our shukriyaa6H pasandagii ke liye....
Duniyaa toh aisi hi hai...dekhne ka aandaaz apna apna ...


Har cheez ko dekhne ka apna ik andaz hota hai
Jidher hota hai par ik be-wafa saath hota hai

Harash
Logged
thycreator
Guest
«Reply #24 on: April 01, 2008, 07:02:12 AM »

Lijiye janab.. apki hi kavita ko najar mai rakhte hue... kuch likhne ki koshish ki hai:

Muhabbat ki hakikat ko, samajh main kyun nahi paya
Jitna samjhata gaya, utna hai iska arth kam jaan paaya

Jitna bhi dil se chaha use humne dosto
Na jaane kyun, utna hi door usko khud se paaya

Kabhi kuch to kabhi kuch bahane milte rahe hume
Her baat maan kar bhi, tanhaai ka saya hi hath ayya

Khud ko mitane se bhi nahi milta pyar is zamane main
Umar bhar khud ko rula kar, ab yahi samjh main ayya

Jise nahi tumse pyar wo kabhi na hoga tumhara
Itani si haqiqat jan.ne main, na jaane kaya kaya gum hai uthaya

Muhabbat ki hakikat ko, samajh main kyun nahi paya
Jitna samjhata gaya, utna hai iska arth kam jaan paaya!!


Wah Pooja ji...........

Azeeb rishta hai muhabbat ka barasti boondon se,
Baarish ki ek raat toh ye baat hui thi,
Inhi boondon mein bheeng ishq ye parwan chadha tha,
Baarish uss jamane mein bhi din raat hui thi,
Ab toota hai dil ussi bewafa ke haathon se,
Kal aankhen thi meri nam aur barsat hui thi....Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #25 on: April 01, 2008, 07:06:10 AM »

waah creator ji....bahoot khoob..our shukriyaa6H pasandagii ke liye....
Duniyaa toh aisi hi hai...dekhne ka aandaaz apna apna ...


Har cheez ko dekhne ka apna ik andaz hota hai
Jidher hota hai par ik be-wafa saath hota hai

Harash
[/quote]

Ha ha ha...........sahi kaha apne sach mein

Kehne ko bol muhabbat ke gungunate hain sabhi,
Dunia se asali chehra yahan chupate hain sabhi,
Pehle haath tham kar dil mein baste hai sabke wo,
Aur phir tod kar ussi ko muskurate hain sabhi..
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #26 on: April 01, 2008, 07:10:48 AM »
Very Beautiful Creation Amit... Applause
I read each and every shayari of this thread.. And everyone is one step beyond other..

Good Work, Harsh, Roja, Syednaami, Pooja di.. Applause
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #27 on: April 01, 2008, 07:17:52 AM »
Bohat khoob Harash ji aur thycreator ji.. Applause

Thanks a lot honeyrose ji......aur sirf claps.....aap bhi kuch likh deti....tongue3

Okies thycreator ji..Usual Smile

Zindagi ney humhe unka saath na diya
Joh bhi mila woh kudha ney bhi saath na diya

Umar bhar intezaar karke tak gaye koi saath na diya
Dil ki chonton ne kabhi sukoon se jeene na diya
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #28 on: April 01, 2008, 07:48:56 AM »
Adaab Mahiyaa ji....tehreer pasandagi ke liye maiN aapka tahe-e-dil se mamnoon hoon...our umeed kerta hooN aap isi tarah hammara Hounsla afzaayii kerte raheNge....Ek baar phir Shukriyaa^h


Harash


Very Beautiful Creation Amit... Applause
I read each and every shayari of this thread.. And everyone is one step beyond other..

Good Work, Harsh, Roja, Syednaami, Pooja di.. Applause

Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #29 on: April 01, 2008, 08:14:42 AM »

waah creator ji....bahoot khoob..our shukriyaa6H pasandagii ke liye....
Duniyaa toh aisi hi hai...dekhne ka aandaaz apna apna ...


Har cheez ko dekhne ka apna ik andaz hota hai
Jidher hota hai par ik be-wafa saath hota hai

Harash

Quote
Ha ha ha...........sahi kaha apne sach mein

Kehne ko bol muhabbat ke gungunate hain sabhi,
Dunia se asali chehra yahan chupate hain sabhi,
Pehle haath tham kar dil mein baste hai sabke wo,
Aur phir tod kar ussi ko muskurate hain sabhi..

Creator sahab......pasandgii ke liye mamnoon hooN sahab...aap jaise ba-zauq dostoN ke paighaam se hauslaa miltaa hai..... our maasha^allaha achchhii kaavish hai aapki maziid ahsaar ka  aage bhii intezaar rahegaa..... Bilkul aaj ke doRh ka silsila hai ye ....Mohabbat koi asaan jazba nahiN ke log ise ratti bhar bhi jii sakeiN...pyaar ka maksad hi bhool chuke haiN log...sirf ek kashish si baaki reh gayi hai jo waqt ke saath saath dhundhali si paRh jaati hai...meri janib se aapko aapki kavishh par dher saari daad dete hain kabool farmayeiN...

Itna bhi nahiN asaaN shama ban khud fanah hona
YuiN dekhe haiN bahut hamne maikhane maiN tabah hona
Paimane toot jate haiN yuiN dil ke sath hi aise
Ke dil ab raah dekhe hai wafa ka khud wafa hona.


Harash
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:06:46 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer