Muhabbat ki hakikat

by thycreator on March 30, 2008, 09:00:03 AM
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Author  (Read 5090 times)
zakhmola
Guest
«Reply #30 on: April 01, 2008, 09:21:36 AM »
ishq ki aag mein
Dil humney bhi jalaya tha magar
Aag peit ki jo lagi
Usney uss aag ko bujha diya...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
muhabbat ko dekhana hai to muhabbat se dekhea by siddharth in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat ek hakikat hai...... by bhambra in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 22 23 »
Hakikat mein Gar wo by harashmahajan in Ghazals
hakikat by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
***HAKIKAT***_________Baadal by baadal102 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
harashmahajan
Guest
«Reply #31 on: April 01, 2008, 09:36:27 AM »
Zakhmola ji aapko kis ling se sambhodit kerooN nahiN maloom....par aapki tehreer achhi hai....bahoot khoob....Harash
Logged
Pooja
Guest
«Reply #32 on: April 01, 2008, 02:45:18 PM »
bahoot khoob Amit!!

Thanks Mahiya!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #33 on: April 01, 2008, 05:08:54 PM »
Very Beautiful Creation Amit... Applause
I read each and every shayari of this thread.. And everyone is one step beyond other..

Good Work, Harsh, Roja, Syednaami, Pooja di.. Applause


Thanks a lot Mahiya ji......apke encouraging words ke liye.....Usual Smile

Kabhi ye arzoo thi hum bhi nigaah-e-jaam piyenge,
Ab toh bas maykade mein hasrat-e-nasha karte hai,
Kissi ko phir na ho naseeb ye gustaakh muhabbat,
Tahe dil se hum bas yahi dua karte hai...Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #34 on: April 01, 2008, 05:09:43 PM »
bahoot khoob Amit!!

Thanks Mahiya!!

Thanks a lot Pooja ji......Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #35 on: April 01, 2008, 05:31:51 PM »
Ha ha ha...........sahi kaha apne sach mein

Kehne ko bol muhabbat ke gungunate hain sabhi,
Dunia se asali chehra yahan chupate hain sabhi,
Pehle haath tham kar dil mein baste hai sabke wo,
Aur phir tod kar ussi ko muskurate hain sabhi..

bahoot sahi kaha Amit!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #36 on: April 01, 2008, 05:40:45 PM »
Bohat khoob Harash ji aur thycreator ji.. Applause

Thanks a lot honeyrose ji......aur sirf claps.....aap bhi kuch likh deti....tongue3

Okies thycreator ji..Usual Smile

Zindagi ney humhe unka saath na diya
Joh bhi mila woh kudha ney bhi saath na diya

Umar bhar intezaar karke tak gaye koi saath na diya
Dil ki chonton ne kabhi sukoon se jeene na diya


Ye hui na baat...............Usual Smile

Iss dard se muhabbat ab toh ho gayi humko,
Ek ye hi sheh hai jo kabhi bewafa nahi hoti....Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #37 on: April 01, 2008, 05:41:29 PM »
Ha ha ha...........sahi kaha apne sach mein

Kehne ko bol muhabbat ke gungunate hain sabhi,
Dunia se asali chehra yahan chupate hain sabhi,
Pehle haath tham kar dil mein baste hai sabke wo,
Aur phir tod kar ussi ko muskurate hain sabhi..

bahoot sahi kaha Amit!!!

Thanks a lot pooja ji....Usual Smile
Logged
thycreator
Guest
«Reply #38 on: April 01, 2008, 05:48:52 PM »
Creator sahab......pasandgii ke liye mamnoon hooN sahab...aap jaise ba-zauq dostoN ke paighaam se hauslaa miltaa hai..... our maasha^allaha achchhii kaavish hai aapki maziid ahsaar ka  aage bhii intezaar rahegaa..... Bilkul aaj ke doRh ka silsila hai ye ....Mohabbat koi asaan jazba nahiN ke log ise ratti bhar bhi jii sakeiN...pyaar ka maksad hi bhool chuke haiN log...sirf ek kashish si baaki reh gayi hai jo waqt ke saath saath dhundhali si paRh jaati hai...meri janib se aapko aapki kavishh par dher saari daad dete hain kabool farmayeiN...

Itna bhi nahiN asaaN shama ban khud fanah hona
YuiN dekhe haiN bahut hamne maikhane maiN tabah hona
Paimane toot jate haiN yuiN dil ke sath hi aise
Ke dil ab raah dekhe hai wafa ka khud wafa hona.


Harash

Wah Harash ji...........bahut khoob....dil khush ho gaya....

Ab toh hum ishq bewafaon se kiya karte hain,
Jan kar bhi zeher ke ghoont piya karte hain,
Dil dukhta hai phir bhi toota nahi ismein,
Gamon se hi ab hum gamon ki dawa karte hain...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #39 on: April 01, 2008, 07:36:27 PM »
bahoot khoob Amit!!! apka sath dene ki ek aor koshish:

Zindagi ki haqiqat ko jab bhi pyar se takraya
Ek toota hua khwab hi hamesha hath ayya

Sath mila unka, jo the na kabhi sath
Na jaane kis kis sath ne zindagi ko hai rulaya

Zindagi ki haqiqat ko jab bhi pyar se takraya
Ek toota hua khwab hi hamesha hath ayya!!!!
Logged
harashmahajan
Guest
«Reply #40 on: April 02, 2008, 03:46:35 AM »
waah pooja ji you are just great......achhi kavish


Quote
Wah Harash ji...........bahut khoob....dil khush ho gaya....

Ab toh hum ishq bewafaon se kiya karte hain,
Jan kar bhi zeher ke ghoont piya karte hain,
Dil dukhta hai phir bhi toota nahi ismein,
Gamon se hi ab hum gamon ki dawa karte hain...

Bahoot hi khoobsoorati se likha hai aapne Creator ji.....khush rahiye Ga....


Gar naam de diya tuune meri mohabbat ko be-wafayii ka
Kya hoga meri paristish ka jo ki hai muddatoN se maine.


Harash

Logged
thycreator
Guest
«Reply #41 on: April 02, 2008, 06:24:05 AM »
bahoot khoob Amit!!! apka sath dene ki ek aor koshish:

Zindagi ki haqiqat ko jab bhi pyar se takraya
Ek toota hua khwab hi hamesha hath ayya

Sath mila unka, jo the na kabhi sath
Na jaane kis kis sath ne zindagi ko hai rulaya

Zindagi ki haqiqat ko jab bhi pyar se takraya
Ek toota hua khwab hi hamesha hath ayya!!!!


Bahut accha kahan apne pooja ji......

Sang chalne se hi yu toh koi humsafar nahi hota,
Kehne ko toh apna saaya bhi saath chalta hai..
Logged
thycreator
Guest
«Reply #42 on: April 02, 2008, 06:32:09 AM »
Gar naam de diya tuune meri mohabbat ko be-wafayii ka
Kya hoga meri paristish ka jo ki hai muddatoN se maine.


Harash



Thanks a lot Harash ji.....hum toh hamesha khush rehte hain....mauka koi bhi ho....Usual Smile

Inn aankhon se ab ashk ka ek katra nahi behta,
Mere aansso bhi ab toh mujhse hain bewafa hue...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #43 on: April 02, 2008, 04:27:52 PM »
bahoot bahoot shukaria Harsh ji and Amit ji!! app likh hi itna cha rahe hai ki jawab apne app acha ban jaata hai!!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #44 on: April 02, 2008, 04:34:02 PM »
Thanks a lot Pooja ji.........

Kabhi hasrat mein roye, kabhi haalat mein roye,
Iss dil ke sanjoye har ek hi jajjbat mein roye,
Muhabbat ab na jane aur kya kya din dikhayegi,
Hum toh taaron bhare chandani raat mein roye....sad5
Logged
Pages: 1 2 [3] 4
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:24:44 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.105 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer