Muhabbat ki hakikat

by thycreator on March 30, 2008, 09:00:03 AM
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Author  (Read 5151 times)
harashmahajan
Guest
«Reply #45 on: April 04, 2008, 03:24:32 AM »
In AansuoN  :tearyeyed:ki kahaaN bhi ajeeb hai...kabhi dikhaane maiN chale aate hain kabhi chhupane maiN chale aate haiN....


Apne saaye se bhi AshqoN ko chhupa kar rona
Jab bhi rona, chiraagoN ko bhujha ker rona


Harash

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
muhabbat ko dekhana hai to muhabbat se dekhea by siddharth in Shayri for Khumar -e- Ishq
Mohabbat ek hakikat hai...... by bhambra in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 22 23 »
Hakikat mein Gar wo by harashmahajan in Ghazals
hakikat by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
***HAKIKAT***_________Baadal by baadal102 in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan « 1 2  All »
Titanic26
Guest
«Reply #46 on: April 08, 2008, 04:09:15 PM »
Bahut khoob Thy ji.........
keep it up..........
Logged
Titanic26
Guest
«Reply #47 on: April 08, 2008, 04:10:40 PM »
kuch hai aap k jawaab me.........

Muhabbat ki duniya me sab-kuch hasee hai,
muhabbat nahi hai to kuch bhi nahi hai...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #48 on: April 26, 2008, 02:45:42 AM »
In AansuoN  :tearyeyed:ki kahaaN bhi ajeeb hai...kabhi dikhaane maiN chale aate hain kabhi chhupane maiN chale aate haiN....


Apne saaye se bhi AshqoN ko chhupa kar rona
Jab bhi rona, chiraagoN ko bhujha ker rona


Harash



Wah Harsh ji....bahut khoob ek bar phir....

Ab toh sookhi hain aakhen, lahoo jamne sa laga hai,
Dil mein jajjbon ka samandar kuch thamne sa laga hai,
Saansen chalti hai toh kehne ko hum bhi zinda hain,
Maut se aashiqui mein warna toh dil ramne sa laga hai...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #49 on: April 26, 2008, 02:50:37 AM »
kuch hai aap k jawaab me.........

Muhabbat ki duniya me sab-kuch hasee hai,
muhabbat nahi hai to kuch bhi nahi hai...

Thanks a lot Titanic ji....apke naam se kafi samajh mein aata hai apki muhabbat bhari jindagi ke bare mein...

Apne bat uthayi hi hai toh....

Muhabbat se yahan par kahan koi bhi juda hai,
Yuhi nahi kehte ki iska naam khuda hai,
Mil jaye ye kissi ko toh jahan haseen bana de,
Khone pe iss seh ke har raanjha hi mita hai..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #50 on: April 28, 2008, 09:20:19 PM »
Good one Amit!!
Logged
thycreator
Guest
«Reply #51 on: April 28, 2008, 10:22:56 PM »
Thanks again pooja ji....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #52 on: April 29, 2008, 03:00:17 PM »
Thanks a lot Pooja ji.........

Kabhi hasrat mein roye, kabhi haalat mein roye,
Iss dil ke sanjoye har ek hi jajjbat mein roye,
Muhabbat ab na jane aur kya kya din dikhayegi,
Hum toh taaron bhare chandani raat mein roye....sad5

kabhi kis baat per to kabhi bin baat ke roye
kabhi khud ki wafa per to kabhi uski jafa per roye
Khud ki hasrate na jaane kaya kaya duikhayegi
apni ek ek hasrat ko khud mai chupa kar roye
Logged
thycreator
Guest
«Reply #53 on: April 30, 2008, 03:01:17 AM »
kabhi kis baat per to kabhi bin baat ke roye
kabhi khud ki wafa per to kabhi uski jafa per roye
Khud ki hasrate na jaane kaya kaya duikhayegi
apni ek ek hasrat ko khud mai chupa kar roye

Pooja ji......

Hasrat ko maar kar khud jiya nahi jaata,
Jeher ka ye ghoont khud piya nahi jaata,
Tamannao ka diya apne ghar mein jalao tum,
Duje aasare ye kaam toh kiya nahi jaata..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #54 on: April 30, 2008, 12:50:13 PM »
BAHOOT KHOOB...

Bin manjil ke kisi raah per jaaya nahi jaata
akele akele kisi hasrat ko jagaya nahi jaata
waqat ki maar jab rooh tak ko kar de gayal
aise main koi deep, akele phir jalaya nahi jaata
Logged
thycreator
Guest
«Reply #55 on: May 23, 2008, 07:45:19 PM »
BAHOOT KHOOB...

Bin manjil ke kisi raah per jaaya nahi jaata
akele akele kisi hasrat ko jagaya nahi jaata
waqat ki maar jab rooh tak ko kar de gayal
aise main koi deep, akele phir jalaya nahi jaata

Good one Pooja ji......Its all about attitude...maine pehle bhi bataya apko

Khud hi se aaj khud ko alag karna hai mujhko,
Kissi ke liye ghut-ghut ke nahi marna hai mujhko..
Gar jeene ki lalak khudgarzi hai toh hua kare,
Jhoothe pyar ke janjeeron se nahi darna hai mujhko...Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #56 on: May 23, 2008, 07:49:05 PM »
dar nahi, jazbaat he sab jab mar jaaye
bin raah ke bataye, ki hum kidher jaaye
lalak hi nahi koi ab aor na he koi gurz
marne ki arzoo main kab tak jiye jaaye
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 05:23:43 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer