Muje kafan bhej do papa.

by mistufer on March 25, 2008, 09:11:44 PM
Pages: 1 [2]  All
Print
Author  (Read 3538 times)
mistufer
Guest
«Reply #15 on: March 27, 2008, 03:52:49 PM »
Mahiya ji adaab.....pehle toh maiN aapse Gujaarish kerooNga ki meri iss Duvidha ko door kariN ki aap hi Shikha haiN kya? happy3....agar haiN toh ye do do id kyuiN ? Shocked Even More just for infornmation happy3 ..hehehe.....iss yaaraane-bazm meiN aapki ye Guftgoo paRhi ourr yakeen maaniye bahoot hi achha laga ke yahaN bhi aise log haiN jo dil se paRrh ker hi apna review dete haiN Warna toh hameshaan yahi dekha gaya hai ke apne clicks badaane ke chakkerr maiN sabhi yahi likhte chale jaate haiN...'bahoot badiya' hai notworthy....our Galti se unhe agarr yeh poochh liya jaaye ki jis perr unhone yeh likha hai.....usmeiN tha kya?...toh woh uska subject tak nahiN bata paayeNge happy3....Lekin aapke reviews maiN hamne alag baat dekhi hai...our aapse darkhwaast hai ki apnii pesh_kash ko isi tarah banaye RakheiN.

our aapki zehen se nikle apne waalden ke liye jazba bhi paRha....ourr kyuiN na ho...aapko bhi sabhi ki tarah apne  waalden se utna hi pyaar hai....our waise bhi theek kaha aapne waalden ke liye uska bachha dil aziiz hota hi hai lekin Kavii ki soch ko aaj tak koi bhi aalam-fazal nahiN rok paya....our agar rokne jaisa socha jaye toh ek likhari (writer)apni us uRhaan ko ... jo uske dil se Guzar rahi hai..kabhi bhi kagaz per nahiiN utaar paayega..our yaraane-bazm woh plateforrm hai jahaN har insaan apne dil ke hazoom apnii nazm ke Zarie yahaaN pesh ker sakta hai..our wahii ker sakta hai jo kerne ka Hunar rakhta hai....Nira ji ne bhi apni nazm ke janib se kuchh isii tarah kahne kii koshish kii hai our  nazm kii soorat kutchh iss tarah nikli ke woh har dil leel gayii.....  Cryingtearyeyed
Humm sabhi log yahaN... ''Likhne waale ka'' likhne ka hunar dekheiN toh woh bharpoor jhalakta nazer aayega....jiske liye hum log yahaaN haiN....Subject chun.na hi toh likhne waale ki kala our uski soch ka namoona hai.....our itne dil ko chhoo lene waale andaaz se ye nazm pesh kii gayii hai ke isko padne ka dil baar baar kerta hai....woh insaan pata nahii kis DoRrh se Guzra ho shayad hum andaza na laga paayeiN hoN....Jo baat hamare Zehen  se Guzar rahii hai ....Kya wahi baat...likhne waale ke Zehen se nahiN Guzri hogi?....Likhne wala Behtar jaanta hai....ki woh kya likh gaya...Meri taraf se phir se is pur-asar nazm ko Dil se salaam icon_salut...bahoot bahoot Shukriyaa^h.....Mahiyaa ji Is writing ka Credit bhi aap hi ko jata hai..aapka bhi bahoot bahoot Shukrriyaa^h......Harash


Nira.. I am really Out of Words.. This is really very very touching. Very nicely written.  Applause I know, its painful to even think of this subject.. And You have done a Wonderful Job..  Applause

Ek baat jaroor kehna chahungi.. humare parents humein zindagi dete hai, usey jeena sikhaate hai aur chahte hai ki hum zindagi ko bharpoor jiyein.. agar unse hi kafan maanga jaaye to, unke dil par kya beetegi... Yeh to aapki haar mein unki haar ho gayi naa...

Please don't mind, but I wrote, what I felt..  Feared.
Sorry for this lecture, but I just could not stop myself from writing this...

harash ji

aapne sach hi kaha hai ki writer dilse jab yeh alafaz likhate hain toh toh kis daur se guzarta hai. yeh aap se jayada koi nahi jaan sakta , maine aapki dard se likhi mostly sari ghazal aor nazms padhi hain. aapke saath ki bahut abhari hoon, aage bhi yunhi saath dete rahiyega iltizaa karti hoon.

apna khayal rakhiyaga.

nira
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bhagwaan jee bacha lo muje by 99% §hå®èèf_Mµñda in SMS , mobile & JOKES
muje naaz hai by majid in Shayri for Khumar -e- Ishq
........Baba Kafan Bhej Do............ by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
TUM MUJE KABHI..... by sajid_ghayel in Shayri for Khumar -e- Ishq
Kud ke aag ke dariya me tujhe kinare bhej diya by Imdad in Shayri for Dard -e- Judai
mistufer
Guest
«Reply #16 on: March 27, 2008, 03:57:40 PM »
nira ji bohut hi dard se bhari hui line likhi hai aapne..........aapne to hame rone par majbur hi kar diya

khushi ji

maafi chahti hoon aapko rulane ka, dard ki awaaz hi itni ghahri hoti ki vo diltak paunch jati hai.

aako pasand aayi nazm aapka shukriya adaa karti hoon.
take care
nira
Logged
mistufer
Guest
«Reply #17 on: March 27, 2008, 04:13:33 PM »
Nira.. I am really Out of Words.. This is really very very touching. Very nicely written.  Applause I know, its painful to even think of this subject.. And You have done a Wonderful Job..  Applause

Ek baat jaroor kehna chahungi.. humare parents humein zindagi dete hai, usey jeena sikhaate hai aur chahte hai ki hum zindagi ko bharpoor jiyein.. agar unse hi kafan maanga jaaye to, unke dil par kya beetegi... Yeh to aapki haar mein unki haar ho gayi naa...

Please don't mind, but I wrote, what I felt..  Feared.
Sorry for this lecture, but I just could not stop myself from writing this...

Mahiya ji
aapko yahan dekhar bahut khushi huyi, aapne nazm ko saraya dilse dhanyawaad deti hoon. aapne sahi kaha hai ki koi alaud jab yeh mangti hai toh unke dil par kya guzarti hongi. hum sab apne mata pita ko chahte, unki izzaat karte, unka saaya apne saath bana rahe uski kaamna rakhte hai. main bhi unmain se hi hoon.

par aap isse ek lekhakh ke nazar se dekhain, maine vo jazbaaton aapke samne layi hoon jo kabhi naa kabhi kisi ke dil se is awaaz ke roop mein nikalti ki khash muje bhi mere kafaan baijde taki main bhi unke paas chala jayoon, yeh ek haarne ki baat nahi hoti vo pyaar bhi hota maa papa ke prati, jab bacha akela ho jata hai.

plz muje aapka is aoer dhayan karana bikul bhi lucture nahi laga, in fact aacha laga ki aapne haq se muje is aor dhayan karaya.

apna khayal rakhna aor yunhi saath deti rahna.
nira


niraji aapne bahut achi baat kahi, kabhi-kabhi zindagi ki iss daud mein,jab kabhi insaan apne aap ko tanha paata hai,jab koi apna humesha ke liye bichad jaata hai dil se yeh sada zaroor nikalti hai ke "mujhe bhi apne paas bulao"... mujhe aapki yeh kavita bahut pasand aayi,aur umeed karta hoon ke aap hamesha itni achi aur gehri kavitaye likhte rahenge..

khwaish ji
aapka ko meri nazm ki ghahriye pasand aaye aapne uske ehsaas mahsoos huye, dilse shukriya adaa karti hoon,koshish karoongi kuch aisa hi likhoon jo sab ke dilon thak dastak de. aapka saath yahan mila muje acha laga. apna khayal rahna

nira
Logged
Talat
Guest
«Reply #18 on: March 27, 2008, 09:15:16 PM »
Ye dil dehla dene waali peshkash thi aapki Nira... Really wonderful Applause

Aapki is nazm se mujhe ek aur nazm yaad aa gayi jo maine kaafi pehle kahin padhi thi....Ye poem Earth Quake victims ko dedicated thi.....

Waheed ne ise Yoindia pe bhi kuch saal pehle share kiya tha

http://www.yoindia.com/shayariadab/shayriedard/baba-kafan-bhej-do-t13923.0.html

Eid Ayii hai...Baba kaffan bheij do !

Mera, Munni ka
Bhaiya ka, Ammi ka
Or piyari daddi ka,Baba kaffan bheij do

Ab kambal bichonay nahi chahiye
Mujh ko apnay khilonay nahi chahiye
Apni munni ko gudiya nahi chahiye
Koi khwabon ki pudia nahi chahiye
Koi patloon,shirt,or ghadi bhi nahi
Daddi maa ke liye chharhi bhi nahi

.....
Eid aai hai Baba...Kaffan bheij do !

Mera bassta na janay kahan kho gya
Meray kapde na janay kahan dafan hain
Saari chidiyaan na janay kahan urr gayin
Janay sab ashiaanay kahan dafan hain
Daddi maa k hathon main tasbeeh thi
Janay ab is k dannay kahan dafan hain
Jo meray piyare bhaiya ki ankhon main thay
Khwahishon k khazanay kahan dafnn hain

Khair ..! Ab dhooondhna kia?

Kaffan Bheij Do
EID AAI HAI BABA...KAFFAN BHEJ DO
(Not Mine)
Logged
mistufer
Guest
«Reply #19 on: March 27, 2008, 09:56:01 PM »
Ye dil dehla dene waali peshkash thi aapki Nira... Really wonderful Applause

Aapki is nazm se mujhe ek aur nazm yaad aa gayi jo maine kaafi pehle kahin padhi thi....Ye poem Earth Quake victims ko dedicated thi.....

Waheed ne ise Yoindia pe bhi kuch saal pehle share kiya tha

http://www.yoindia.com/shayariadab/shayriedard/baba-kafan-bhej-do-t13923.0.html

Eid Ayii hai...Baba kaffan bheij do !

Mera, Munni ka
Bhaiya ka, Ammi ka
Or piyari daddi ka,Baba kaffan bheij do

Ab kambal bichonay nahi chahiye
Mujh ko apnay khilonay nahi chahiye
Apni munni ko gudiya nahi chahiye
Koi khwabon ki pudia nahi chahiye
Koi patloon,shirt,or ghadi bhi nahi
Daddi maa ke liye chharhi bhi nahi

.....
Eid aai hai Baba...Kaffan bheij do !

Mera bassta na janay kahan kho gya
Meray kapde na janay kahan dafan hain
Saari chidiyaan na janay kahan urr gayin
Janay sab ashiaanay kahan dafan hain
Daddi maa k hathon main tasbeeh thi
Janay ab is k dannay kahan dafan hain
Jo meray piyare bhaiya ki ankhon main thay
Khwahishon k khazanay kahan dafnn hain

Khair ..! Ab dhooondhna kia?

Kaffan Bheij Do
EID AAI HAI BABA...KAFFAN BHEJ DO
(Not Mine)

celmera ji
aapne mahsoos kiyeh ehsaas , aapka shukriya adda karti hoon. yunhi saath dete raiyega.

waheed ji ki nazm ne muje bhi rula diya. sach jinke pariwar wale us earth quake kho gaye unke dil par kya beeti hoogi.

thankhs for sharing it, yout take care.
nira
Logged
Pages: 1 [2]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 11:49:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.214 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer