Mujhe Ab Laut Jaane Do...

by angel4u on May 09, 2009, 03:21:06 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2579 times)
angel4u
Guest
I came across this poetry, Somethign very much related to my feelings with Yoindia. As many people here know YOINDIA is just not a site for me, but very very close to my heart. Always a homely atmosphere, beautiful hearted people. Its something very much hidden wanted to convey to some of the Yoindian friends, especially Roja, Khwaish, Talat, Sophi and Vikas (MANN). Kabhi kabhi aisa bhi hota hia zindagi mein ke dil ko sambhalna mushkil ho jaata hia, itna pyaar aur lagaav dekhke dil sambhalta to hia, par tanhaiyon aur gumnaamiyon ke andhere mein phir se kahin khone ko dil karta hia... Yoindia se ek pagli si ladki ANGEL bani, yahan itni sanwri, nikhri, har ek dost ne is ladki ko ANGEL jo aaj hai wo banaya. Har ek ka dilse shukriya ada karti hoon. Thanks for supporting me always and understanding too..



Mujhe Ab Laut Jaana Hai,
Achanak Ab Toot Jaana Hai,
Ke Mere Des Se Aage Koi Pardes Mera Muntazir Hai,
Aur Mere Dostone Mere Hathon Mein,
Safar Ka Zaad Bhi Pakda Diya Hai,
Guzishta Kal Ki Sab Baatein Bhulae Jaa Raha Hoon,
Par Wo Baatein Jo Tere Hasas Chehre Par Numayein Thi,
Wo Saare Lafz Jo AshQon Ki Surat Aankh Mein Utre,
Tere Khamosh Paykar Mein Chhupe Gamnaak Afsane,
Teri Guftaar Ki Rimjhim,
Teri Riftaar Ke Mausam,
Tere Kirdaar Ka Moti,
Tere Dilse Ubalte Khoon Ke Beawaz Se Nagme,
Tere Chehre Ke Khaal-O-Khad, Nigahon Mein Chhupe Dariya,
Tere Ehsaas Ki Shiddat,
Tere Jazbaat Ki Hiddat,
Main Sab Kuch Yaad Rakhunga,
Teri Khamosh Awazein,
Mere Mazi Ke Hissa Bankar Bhrengi,
Mujhe Ab Laut Jaane De,
Achanak Toot Jaane De...


NM
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
**~*Mujhe Baahon Mein Bikhar Jaane Do**~* by *~*Pakeezah Aanchal*~* in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
mujhe mohabbat ki aag me jal jaane do by innocent.devil20 in Shayri-E-Dard
' Uss Ne Mujhe Bhuul Jaane Ki Mannat Maangi...! ' by Amanush... in Shayri-E-Dard
Ab Mujhe Jaane do by Pooja in Shayri-E-Dard « 1 2 3  All »
.{ Intezaar Hain Dost Mujhe Tere Laut Aaney Ki - Best Friendz }. by Omi-Shru in Shayri for Khumar -e- Ishq
saaz_haldwanvi
Guest
«Reply #1 on: May 09, 2009, 04:58:40 AM »
nice sharing angel, whose composition is this?
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #2 on: May 09, 2009, 05:11:34 AM »
Thanks Angel. We always There for u Usual Smile

And this really a beautful Sharing dear.
Logged
aaina
Guest
«Reply #3 on: May 09, 2009, 06:14:03 AM »
I came across this poetry, Somethign very much related to my feelings with Yoindia. As many people here know YOINDIA is just not a site for me, but very very close to my heart. Always a homely atmosphere, beautiful hearted people. Its something very much hidden wanted to convey to some of the Yoindian friends, especially Roja, Khwaish, Talat, Sophi and Vikas (MANN). Kabhi kabhi aisa bhi hota hia zindagi mein ke dil ko sambhalna mushkil ho jaata hia, itna pyaar aur lagaav dekhke dil sambhalta to hia, par tanhaiyon aur gumnaamiyon ke andhere mein phir se kahin khone ko dil karta hia... Yoindia se ek pagli si ladki ANGEL bani, yahan itni sanwri, nikhri, har ek dost ne is ladki ko ANGEL jo aaj hai wo banaya. Har ek ka dilse shukriya ada karti hoon. Thanks for supporting me always and understanding too..



Mujhe Ab Laut Jaana Hai,
Achanak Ab Toot Jaana Hai,
Ke Mere Des Se Aage Koi Pardes Mera Muntazir Hai,
Aur Mere Dostone Mere Hathon Mein,
Safar Ka Zaad Bhi Pakda Diya Hai,
Guzishta Kal Ki Sab Baatein Bhulae Jaa Raha Hoon,
Par Wo Baatein Jo Tere Hasas Chehre Par Numayein Thi,
Wo Saare Lafz Jo AshQon Ki Surat Aankh Mein Utre,
Tere Khamosh Paykar Mein Chhupe Gamnaak Afsane,
Teri Guftaar Ki Rimjhim,
Teri Riftaar Ke Mausam,
Tere Kirdaar Ka Moti,
Tere Dilse Ubalte Khoon Ke Beawaz Se Nagme,
Tere Chehre Ke Khaal-O-Khad, Nigahon Mein Chhupe Dariya,
Tere Ehsaas Ki Shiddat,
Tere Jazbaat Ki Hiddat,
Main Sab Kuch Yaad Rakhunga,
Teri Khamosh Awazein,
Mere Mazi Ke Hissa Bankar Bhrengi,
Mujhe Ab Laut Jaane De,
Achanak Toot Jaane De...


NM

very nice shring angel.....................

safr diya hai to manzil ka pata bhi daiga
mera khuda mujhay raasta dikha bhi daiga

qadam qadam pe dikhayega aayatain apni
har ek mod per manzar mujhay naya daiga

lapait daiga mujhay zulmato.n ki chadar mai
phir ek charaagh meri raah mai jala daiga

badha ke dil mai kisi intezaar ki lazzat
nazar ke waaste taro.n ka silsila daiga

rakhega mujhko sada jabr ki panaho.n mai
jo khaab daikhne lag jaun.n to jaga daiga

zamee.n ki piyaas badhyega aag barsa kar
lahoo ko harf e sadaqat ka waasta daiga

karam kya ke ata ki gunaah ki tufeeq
karam karega gunaho.n ki jab sila daiga


 (poetry by prof. mughni tabassum)
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 14 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #4 on: May 09, 2009, 06:17:55 AM »
Nice Sharing Angel Ji, Aur Aslam Bhai  Great Job Yaar,.
Bohat Achche,.,
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #5 on: May 09, 2009, 10:34:49 AM »
nice angel ji & aaina ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #6 on: May 09, 2009, 02:27:37 PM »
nice sharing angel, whose composition is this?

I dotn know, i had just come across it, thought its fit for dedication to YOINDIA...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #7 on: May 09, 2009, 02:28:33 PM »
very nice shring angel.....................

safr diya hai to manzil ka pata bhi daiga
mera khuda mujhay raasta dikha bhi daiga

qadam qadam pe dikhayega aayatain apni
har ek mod per manzar mujhay naya daiga

lapait daiga mujhay zulmato.n ki chadar mai
phir ek charaagh meri raah mai jala daiga

badha ke dil mai kisi intezaar ki lazzat
nazar ke waaste taro.n ka silsila daiga

rakhega mujhko sada jabr ki panaho.n mai
jo khaab daikhne lag jaun.n to jaga daiga

zamee.n ki piyaas badhyega aag barsa kar
lahoo ko harf e sadaqat ka waasta daiga

karam kya ke ata ki gunaah ki tufeeq
karam karega gunaho.n ki jab sila daiga


 (poetry by prof. mughni tabassum)

Thanks ...
nice one
Logged
angel4u
Guest
«Reply #8 on: May 09, 2009, 02:31:53 PM »
Thanks Angel. We always There for u Usual Smile

And this really a beautful Sharing dear.

Thank You Sophi... Thanks to you guys for being there always....
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: May 09, 2009, 02:41:21 PM »
good sharing Angel!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #10 on: May 09, 2009, 02:48:52 PM »
Thanks Di...
Logged
Roja
Guest
«Reply #11 on: May 09, 2009, 03:23:53 PM »
Lovely sharing dear angel  Clapping Smiley
Logged
angel4u
Guest
«Reply #12 on: May 09, 2009, 04:28:18 PM »
Thanks Roja.. Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #13 on: May 09, 2009, 04:36:41 PM »
Thanks Roja.. Usual Smile

welcome sweetu

Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #14 on: May 09, 2009, 06:39:39 PM »
Angel dear.. Poem to aapne Bahut acchi share ki hi hai.. !!

Par Poem ke Upar JO aapne Pyaare Pyaare Alfaaz Likhe Hain.. wo Dil ko choo gaye.. Padh kar mehsoos hua ki aap Yoindia se aur Hum se sab se kitna pyaar karti hain.. Main Bassssss itna Hi Kahunga ki Hum sab bhi aapko Bahut Pyaar karte Hain.. Usual Smile Usual Smile


**~** Mann **~**
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 14, 2024, 03:46:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer