Mujhe Aisi Duniya Nahi Chahiye....

by Aryaan on March 08, 2005, 12:45:24 AM
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Author  (Read 4823 times)
diljala
Guest
«Reply #30 on: June 05, 2005, 10:53:11 AM »
Quote
isko bemhriye kismat ka sila kahtai hai.n
mar gaye hum to jamane ne bahut yaad kiya..
Logged
diljala
Guest
«Reply #31 on: June 05, 2005, 10:55:36 AM »

rat aayegi to phir hoga thakan ka aahasas
din to uumido.n ki raho.n mai.n guzar jayega..[/img]
Logged
diljala
Guest
«Reply #32 on: June 05, 2005, 10:57:47 AM »
ye payar murravat ye akhlass wafadari
lafjo.n ki tijarat hai lafjo.n ki khariddari...
Logged
diljala
Guest
«Reply #33 on: June 05, 2005, 11:00:12 AM »
iske hoto.n pe tabbsum hai aankh hai num
usne bhi gum apna jamne se chpya hoga
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #34 on: June 08, 2005, 08:14:32 PM »
Bohat achey Diljala......

Sath dil ke chale, dil ko nahi roka hum ne
Jo na apna tha, us ko toot kar chaha hum ne
Ek dhoke mein kati umer hamari saari
Kya batayein kisey paya, kisey khoya hum ne
Logged
Ghazhal
Guest
«Reply #35 on: June 09, 2005, 09:28:49 PM »
Quote from: "Aryaan"
Ashk jab deeda-e-tarr se nikla
Ek kaanta sa jigar se nikla

Phir na main raat gaye tak ghar lauta
Doobti shaam jo ghar se nikla

Ek maiyat ki tarha lagta tha
Chaand jab Qaid-e-sehar se nikla

Mujhko manzil bhi na pehchan saki
Main keh jab gard-e-safar se nikla

Haaye duniya ne isey ashk kaha
Khoon jo zakhm-e-nazar se nikla


Bohat Khoob likha Aryaan apne....alfaz nahi ahin mere pas ap ki tareef karne ke lie Usual Smile ..hamesha aise hi likhte raha kijie :D
Logged
Ghazhal
Guest
«Reply #36 on: June 09, 2005, 09:34:01 PM »
Quote from: "Aryaan"

 WaQt Tau Humein Bhula Chuka Hai
MuQaddar Bhi Na Bhula De

Dosti Dil Se hum Isiliye Nahi Karte
Kyunke Darte Hain Koi Phir Se Na Rula De

Zindagi Mein Hamesha Naye Log Milenge
Kahin Zyada Tau Kahin Kam Milenge..

Aitbaar Zara Soch Kar Karna...
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge

Khushboo Ki Tarha Aapke Paas Bikhar Jayeinge
Sukoon Ban kar Dil Me Utar Jayeinge

Mehsoos Karne Ki Koshish Tau Kijiye
Door Hote Huwe Bhi Paas Nazar Aayeinge....


WOOOW  Usual Smile..really nice Aryaan...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #37 on: June 10, 2005, 12:19:01 AM »
Bohat bohat shukriya Ghazhal...... & welcome to yoindia......Usual Smile
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #38 on: June 24, 2005, 04:49:56 AM »
Hamesha jo khud ko sajaaye rakhte hain
Andar aur hi huliya banaaye rakhte hain

Patthar aankhein hi dikhaayi deti hain
Dil mein ek darya sa rukaye rakhte hain

Duniya ki sunte tau marr gaye hote kab ke
Hum hain jo dil ko manaaye rakhte hain

Hai kya zindagi, hai aage ab kaunsi balaa
Bas duaaon mein haath uthaaye rakhte hain

Chaah kar bhi amal ki hain sirf naseehatein
Auron ke darmiyan nazrein jhukaaye rakhte hain
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:32:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer