+++++Mujhe Bhul Jao+++++

by punam on February 26, 2008, 04:45:31 AM
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Author  (Read 2808 times)
Shikha12
Guest
«Reply #15 on: February 27, 2008, 01:23:48 PM »
Nice Work Punam...
and a perfect reply Khawaish...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tum mujhe bhUl bhI jAo.... by lamhay_terbin in Shayri-E-Dard
- Mujhe Bhul Mat Jana - by Meena in Miscellaneous Shayri
mujhe bhul jao by kaushikbhawna008 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Mujhe bhul jana~~~~~Rahi~~~~~~~ by Rahi2001 in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Mujhe tum bhul jao... mann by mann.mann in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
Talat
Guest
«Reply #16 on: February 27, 2008, 01:52:38 PM »
karte hain jisse pyar woh agar kehede mujhe bhul jao
phir bhi usse dil se nikal nahi sakte hain hum..

kehde koi agar woh tha bewafa..jhoota tha uska pyar
bewafa usse keh nahi sakte hain hum...

maante hain hum woh majboor hai, uske dil me bhi dard hai
sirf pana hi nahi pyar me khud ko mitana bhi jaante hain hum..

hamare aansoo kahi na banjaye uski pao ki zanjeer
dard dil me dabake uski khatir muskurane ki kasam khaaye hain hum..

uski khushi uski salamat dilse chahte hain hum
uske khilaf ek labz sun.na nahi chahte hain hum...

iss janam me na mil sake, agle janam me hume milade..
bas ab yehi dua khuda se maangte hain hum...


Bohot khoob Punam....beautiful !
Logged
Talat
Guest
«Reply #17 on: February 27, 2008, 01:53:39 PM »
Iss zindagi mein koi kissi ko nahi bhool paata
woh baat alag hai ke,insaan waqt se bhi to nahi lad paata....

har ek ko apne dil ka dard sunane se kuch nahi haasil "punam"
sach to yeh hai ke,samajne wala hi hai yeh dard  ko samaj paata....

jo kadam aap kisi ke saath chale the
usse kyon nahi yaad karte???
jo kadam saath na chal sake usse yaad kar kyon
aapka dil hai ro jaata....

kisi ki majboori ko samaj kar chup ho jaana
bhi bahut badi baat hai mohabbat mein,
par khud ko mitaakar,
koi kuch bhi haasil nahi hai kar paata....

jisse aap pyaar karte ho,usse kuch aise yaad karna
ke woh yaadein aapko khushi de sake ZINDAGI bhar
ghamo ko dil mein rakh kar do kadam bhi nahi hai
insaan chal paata....

zindagi bahut badi hai aur isse jeene ke wajeh
bhi bahut hote hai dil ke paas,
ek guzarte lamhe ke liye khud ko
insaan itni badi  saza to nahi de paata...

iss zindagi mein koi kisi ko nahi bhool paata
woh baat alag hai ke, insaan waqt se bhi to nahi lad paata.....



Bohot khoob Khwaish !
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #18 on: February 28, 2008, 10:42:48 AM »
Bahut Khooooooob PUNAM & KHWAISH Ji..


Tanhaai Kis Ko Kahate Hain, Mujhe Pata nahi Yaaron,
Kyunki Har Waqt Unki Haseen Yaaden Saath Rahati Hain...

Kabhi Jo Gir Bhi Padhte Hain Aansoo, Unki Judaai Me,
Rokta Hoon To Yeh Kambakht Aankhen Bura Maan Leti Hain.....

Logged
punam
Guest
«Reply #19 on: February 28, 2008, 10:48:39 AM »
Shikha di talat di and vicky ji thanx...

vicky ji bahot acha likhe aap ne..
Logged
punam
Guest
«Reply #20 on: February 28, 2008, 10:51:08 AM »
chalo kuch likhne ki koshish main bhi karti hun....

Band aankhon me tum..khuli aankhon me tum
dil me bhi tum..
jahan dekhun tum hi tum nazar aate ho...

aankhon se dur kyun nahi jate ho
mujhe kyun itna tadpate ho...

kaise bhool paun tumhe kyun nahi batate ho..
ghav dil ko deke kahan chup jaate ho

ghav pe malham nahi lagate ho
dil ko bhi chor ke nahi jaate ho..

her jagah tum nazar aate ho
mujhe kyun itna tadpate ho...

waqt mujhpe rehem nahi khaati
maut bhi paas aane nahi deti..
dil se tumhari yaad chor nahi jaati...

her jagah tum nazar aate ho..
mujhe kyun itna tadpate ho...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #21 on: February 28, 2008, 05:01:39 PM »
koi chaah kar bhi kabhi
ek dusre ko nahi bhool payenge
jo pal saath bitaye the,
woh pal aankhon ke saamne aakar phir tehar jayenge....

log kal bhi chalte the, aaj bhi chalte hai,
aur aane wale kal mein bhi chalte hi reh jayenge
zindagi ke is safar mein bas..kadmo ke nishaan reh jayenge.....

par afsos waqt ke saath yeh bhi mit jaayenge..
jab tak shayad hum bhi jeena seekh jayenge.....

Umeed ki dor ko hamesha thaam kar rakhna "punam"
jo gir jaate hai phool shaak se,
woh phir kabhi na khil payenge...

Ab inn aansuo ko naa behne do is tarah,
yeh aansu teri majbooriyon ko dekh kar
aur bhi tujhe rulayenge...

Jab jaante ho aap ke woh bewafa nahi tha,
par woh wafa bhi to na kar saka,
Jaane kya NAAM phir yeh Duniya wale
usse deh jayenge...

'KHWAISH" KI YEH GUZARISH HAI AAPSE,
AAP BAS RAAHON PAR APNE CHAL KAR TO DEKHO
MANZIL KHUD HUMSAFAR BANKAR TERI
HAR RAAH PAR SAATH NIBHAYENGE....

KYA HUA JO WOH SHAKS TERE SAATH NA DE SAKA
USKI YAADON KE MELE MEIN
AAP APNA MAN BEH LAYENGE....

KOI CHAAH KAR BHI KABHI
EK DUSRE KO NAHI BHOOL PAYENGE....
Logged
punam
Guest
«Reply #22 on: February 28, 2008, 05:05:34 PM »
Bahot acha likha aap ne kitu ji..

log kal bhi chalte the, aaj bhi chalte hai,
aur aane wale kal mein bhi chalte hi reh jayenge
zindagi ke is safar mein bas..kadmo ke nishaan reh jayenge.....

zindagi ki sachayi yehan nazar aa rahi hai...
nice one..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #23 on: February 28, 2008, 05:07:45 PM »
wah kaya baat hai.. bahoot khoob kitu.. yah lines bahoot hi sahi kahi hai apne

Ab inn aansuo ko naa behne do is tarah,
yeh aansu teri majbooriyon ko dekh kar
aur bhi tujhe rulayenge...
Logged
punam
Guest
«Reply #24 on: February 29, 2008, 03:32:39 PM »
Tut ke bikhar gaya woh mehel jiska
buniyad sheeshe se banaye the tum...
tumhare mehel ka har sheesha
jab pata tumhe mera puchega
dil hi dil me mujhe yaad karoge tum...

chandni raaton me tumhe
shola banke chandni dehkayegi
her ek saans me mujhe yaad karoge tum..
bhul jane ki her ek kosish se
mujhe aur jyada yaad karoge tum...

jab bhooli bisri yaadon me
mujhe dekho ge tum...
rub se tumhare salamati ka,
dua karte huye paoge tum..
Logged
Roja
Guest
«Reply #25 on: February 29, 2008, 03:45:53 PM »
chalo kuch likhne ki koshish main bhi karti hun....

Band aankhon me tum..khuli aankhon me tum
dil me bhi tum..
jahan dekhun tum hi tum nazar aate ho...

aankhon se dur kyun nahi jate ho
mujhe kyun itna tadpate ho...

kaise bhool paun tumhe kyun nahi batate ho..
ghav dil ko deke kahan chup jaate ho

ghav pe malham nahi lagate ho
dil ko bhi chor ke nahi jaate ho..

her jagah tum nazar aate ho
mujhe kyun itna tadpate ho...

waqt mujhpe rehem nahi khaati
maut bhi paas aane nahi deti..
dil se tumhari yaad chor nahi jaati...

her jagah tum nazar aate ho..
mujhe kyun itna tadpate ho...


Wah wah punam...
Logged
Roja
Guest
«Reply #26 on: February 29, 2008, 03:48:14 PM »
Tut ke bikhar gaya woh mehel jiska
buniyad sheeshe se banaye the tum...
tumhare mehel ka har sheesha
jab pata tumhe mera puchega
dil hi dil me mujhe yaad karoge tum...

chandni raaton me tumhe
shola banke chandni dehkayegi
her ek saans me mujhe yaad karoge tum..
bhul jane ki her ek kosish se
mujhe aur jyada yaad karoge tum...

jab bhooli bisri yaadon me
mujhe dekho ge tum...
rub se tumhare salamati ka,
dua karte huye paoge tum..


Every emotional lines punam. Very good.
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #27 on: February 29, 2008, 03:49:08 PM »
Nice punam dear.. Usual Smile
Logged
punam
Guest
«Reply #28 on: February 29, 2008, 04:15:26 PM »
thanx roja di and Honey di....
Logged
syednaami
Guest
«Reply #29 on: May 10, 2008, 09:16:54 AM »
Superb, very thoughtful and comes directly from the heart, imaginative creation. Bravo!!  Applause
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 01:22:56 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer