***mujhe chahat ki pyaas thi unki***

by kaushikbhawna008 on October 29, 2008, 07:32:35 AM
Pages: [1] 2  All
Print
Author  (Read 2445 times)
kaushikbhawna008
Guest
mujhe chaht ki pyaas thi unki
unhone dard ka samandar pila diya
haath khali na rahe mere isliye
saath tanhaiyon ka pakda diyaa

mita hua to kuch likha hua
khat wo pakda gaya
keh gaya ki bhula dena mujhe tum bhi
aur har arsa wo mujhe yaad ata gaya

ya mere khuda kaisa wo khudgarz nikla
khud bhi tanha raha aur mujhe bhi rula diya
kehta hai ki wo bhul chuka hai sab kuch
fir bhi uske dil mei ab tak pyaar mera hi hai basa hua

kaisi ye reet kaisi ye chot hai e-khuda
mein jism aur meri jaan hai mujhse juda
khila khila hai manjar charo taraf mere
par deep dil ka mere hai bhuja hua
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Unki Chahat ka Jaadu @ Tosha by oooppps in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 ... 6 7 »
Unki chahat ko apni mohabbat bana ke dekh by jaffartaufique in Shayri for Khumar -e- Ishq
unki chahat...................................................... by mnish in Ghazals
Unki chahat aisi hai to ........mkv by mkv in Shayri for Khumar -e- Ishq
sajid_ghayel
Guest
«Reply #1 on: October 29, 2008, 08:01:18 AM »
mujhe chaht ki pyaas thi unki
unhone dard ka samandar pila diya
haath khali na rahe mere isliye
saath tanhaiyon ka pakda diyaa

mita hua to kuch likha hua
khat wo pakda gaya
keh gaya ki bhula dena mujhe tum bhi
aur har arsa wo mujhe yaad ata gaya

ya mere khuda kaisa wo khudgarz nikla
khud bhi tanha raha aur mujhe bhi rula diya
kehta hai ki wo bhul chuka hai sab kuch
fir bhi uske dil mei ab tak pyaar mera hi hai basa hua

kaisi ye reet kaisi ye chot hai e-khuda
mein jism aur meri jaan hai mujhse juda
khila khila hai manjar charo taraf mere
par deep dil ka mere hai bhuja hua

Aaj tere dard se hain muje shikayat
q tune apna hale-e-dil muje suna diya
achcha khasa khush tha aaj main kitna
teri is ghazel ne bhavna muje rula diya

                            -sg-
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #2 on: October 29, 2008, 08:07:35 AM »
sajid ye tera badakpan hai jo tune
mere gam ko apna maan liya
meine to bas wahi likha tha ghayl
to ab tak mere saath hai hua


maaf karna sajid ji aapko rulane ka hamara irada na tha
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #3 on: October 29, 2008, 08:32:57 AM »
sajid ye tera badakpan hai jo tune
mere gam ko apna maan liya
meine to bas wahi likha tha ghayl
to ab tak mere saath hai hua


maaf karna sajid ji aapko rulane ka hamara irada na tha
Irada karte nahi lekin irada mera jan lete hain
Mera aasoo jo gire samandar me woh pehchan lete hain
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #4 on: October 29, 2008, 08:37:46 AM »
Bhawna and Sajid

Aaj to aap dono chaaye hue ho Applause

Very nice !
Logged
syednaami
Guest
«Reply #5 on: October 29, 2008, 08:40:57 AM »
Kaushik Bhawna Jee,
Bahut umda kalaam likha hai, bahut badhiya.
Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #6 on: October 29, 2008, 08:45:55 AM »
thnk u sajid ji notworthy

thnk u syed ji notworthy

thnk u rajbir ji notworthy  Usual Smile
Logged
baadal102
Guest
«Reply #7 on: October 29, 2008, 09:42:25 AM »
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut khoob bhawna ji N saajid ji

Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #8 on: October 29, 2008, 09:47:57 AM »
thnk u so much baadal ji notworthy
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: October 29, 2008, 04:45:06 PM »
mujhe chaht ki pyaas thi unki
unhone dard ka samandar pila diya
haath khali na rahe mere isliye
saath tanhaiyon ka pakda diyaa

mita hua to kuch likha hua
khat wo pakda gaya
keh gaya ki bhula dena mujhe tum bhi
aur har arsa wo mujhe yaad ata gaya

ya mere khuda kaisa wo khudgarz nikla
khud bhi tanha raha aur mujhe bhi rula diya
kehta hai ki wo bhul chuka hai sab kuch
fir bhi uske dil mei ab tak pyaar mera hi hai basa hua

kaisi ye reet kaisi ye chot hai e-khuda
mein jism aur meri jaan hai mujhse juda
khila khila hai manjar charo taraf mere
par deep dil ka mere hai bhuja hua


samjh nahi atta Bhawna kaya kahu.. apki is kavita ko parr kar.. jaise mere dil ka haal apki kalam likh gai... bahoot hi acha likhti hai app...
KUCH APKE LIYE LIKH RAHI HU.. Shayad apko acha lage..


gir gir kar bhi wo kyun humare dil se nahi girta
dunia ke in sawalo ko choro,
khud ke liye khud ke pass
koi bhi jawab nahi hota

jaana hai zindagi ko, uske jaane ke baad
zindagi main koi, kabhi itna bedard nahi hota
hoga kuch uske apne he khawabo-khayalo main
jis main humare liye koi bhi rasta nahi hota

jaane wale ko rok saka hai kon, is jahan main
bas yahi soch kar man ko hai kuch honslla hota
Ajj nahi to kal, humko bhi badte jaana hai zindagi ke sung
pahla kadam badana he hai, bas mushkil hota!!

Logged
kaushikbhawna008
Guest
«Reply #10 on: October 30, 2008, 04:59:57 AM »
bohut bohut shukriya pooja ji jo aapne apne vichar bhi likhe kaafi acha likha hai aapne bhi Applause
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: October 30, 2008, 06:06:29 AM »
Good one Bhawna Ji
Equally good response  Pooja Ji
Logged
Sammual
Guest
«Reply #12 on: October 30, 2008, 01:40:45 PM »
Bhawna And Sajid Ji Bahut Hi Khoob Likha Hai Aapne.
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #13 on: October 30, 2008, 02:00:16 PM »
thanks sammual but all credit should goes to bhavna na woh itna achcha likhti na hum achcha reply de pate. thanks for recognizing our effort brother.
Bhawna And Sajid Ji Bahut Hi Khoob Likha Hai Aapne.
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #14 on: October 30, 2008, 03:37:43 PM »
bahoot khoob likha hai bhawna..sajid aur pooja ji
Logged
Pages: [1] 2  All
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:26:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer